Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, February 17, 2011

Dard-e-Mohabbat

300×323
" Dard-E-Mohabbat "

Tu Ne Chonk Kar Har Simt Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-E-Mohabbat Ne Sadaa Di Hogi
Yeh Jo Moti Baraste Hain Teri Yaad Me Aksar
Badaloun Ne Meri Aankhoun Ko Dua Di Hogi
Jhilmil Hui Aankh Jo Ek Baat Sonchi Mein Ne
Hawa Ne Jaakar Usse Zaroor Batadi Hogi
Zikr Aaya Jo Kabhi Mera Uski Mehfil Me
Kafiyat Mitane Ko Ussne Baat Ghooma Di Hogi
Woh Raah Se Guzra Magar Palat Ke Bhi Naa Dekha
Aaqri Umeed Mareez-E-Ishq Ki Bujha Di Ussne
Aye Dil Tu Sadaa Raha Khush Fahem Laikin
Ussne Surat Bhi Meri Bhuladi Hogi
Naam Koi Naa Le Meri Zindagi Ka Yahan
Shaher Me Ussne Manadi Karwa Di Hogi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...