Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 30, 2015

Abi Aati Hon

Khwab Le Jaao

Jab haqeeqat ye ban nahi sakte
Meri aankho' n se khwab le jaao.

Teri Khatir


تیری خاطر ہی جلائے تھے یہ آنکھوں کے دیّے
تُجھ کو اچھے نہیں لگتے تو بُجھا دیتے ہیں

Badal


اجلے بادل پہ اشارے سے علینا لکّھا
میرے محسن نے مری یوں بھی پذیرائی کی
علینا

Friday, May 29, 2015

Yeh Zindagii


یہ زندگی --- یہ زندگی
چھوڑ جانے والے جب
یونہی چھوڑ جاتے ہیں
وہ یہ ہی سمجھتے ہیں
ایسے چھوڑ جانے سے
جان تو نہیں جاتی
سانس چلتی رہتی ہے
دل دھڑکتا رہتا ہے
کوئی مر نہیں جاتا
کیا انہیں نہیں معلوم ؟
دل دھڑکتے رہنے کو
سانس چلتے رہنے کو
زندگی نہیں کہتے !!!

Khawahish


خواہش !!
کشتیاں۔۔۔۔۔۔۔۔۔ کاغذی سہی
لیکن
خواب وخواہش کےرنگ
سچے ہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔!

Hum Kehin Na The

خوش فہمیوں کے دشت سے نکلے تو یہ کھُلا
آگے تو اک ہجوم تھا اور ھم کہیں نہ تھے

Mera Saraaa Jahan..


دل کا کچا مکان تم سے تھا
یه زمیں آسمان تم سے تھا
تم گئے هو توتب کُھلا مجھ پر
مرا سارا جہان تم سے تھا

(فاخره بتول

Rabte Mein Rehe

Use Kehna In Dino Hum Se Rabte Mein Rehe ..
Suna Hai Akser Log December Mein Bichar Jate Hain ..

Ghumgeen Hai

Zindagi Haseen Bhi Or Ghumgeen Bhi Hai   
Jise Chaho Wo Mil Jaye Tou Haseen Warna Ghumgeen Hai 
 
(Nazim Ali)

Ab Tu Mujhe Pukar Le

Tou Ban Jaa Mera 
Main Ban Jawn Tera 
Aa Tou Mujhe Chun Le 
Main Tujhe Chun Lon 
Chahy Mujhe Le Jaa Kehin Bhi 
Chahy Ho Le Sang Mere 
Mujhe Le Chal Chahy 
Sari Duniya Ko Chor Kr
Bass Tou Sath De 
Or Mera Sath Le 
Aa Mujhe Or Thora Sa Nikhar De
Mera Hath Tham Le Tou
Aa Tujhe Sumbhal Lo Main
Mujhe Ikhtiyar De 
Mujhe Apne Dhang Se Tou Koi Roop De
Or Mujhe Apne Rang Mein Tou Rang De 
Nazim Tu Intazar Mein Hai Kab Se 
Ab Tu Mujhe Pukar Le Or Aa Mujhe Sanwar De 
(Nazim Ali)

Aye December

LO MAIN CHAL DIYA AB MUJHE NA KEHNA KUCH 
SHAKAYATEIN MAJBORIYAN HASRATEIN 
UMEEDEIN TANHAIYAN 
MUJHE SE NEHIN HAIN 
YE SABHI TUMHARI HI ADATEIN HAIN 
AYE DECEMBER ....!
(Nazim Ali)

Hai Wo Bhi Adhuraa

Kb Ye Sune Ga Meeri K December Hai Adhuraa 
Jaa Tou Chala Jaa K Main Hon Hi Adhuraa 
Main Kis Tarif Jao Mera Koi Ashiyana Hi Nehin 
Main Kese Chillaon K Ab Reh Giya Hon Adhuraa 
Tot'ta Tou Koi Jur Hi Deta Nazim 
Par Koi Kya Kre Jb Hon Hi Adhuraa 
Mujhe Uski Batein Sahara Lagti Thi Nazim 
Khul Kr Samne Aya Tu Hai Wo Bhi Adhuraa
Ab Kya Rekhon Umeed Main Aye December Tujh Se 
Tou Ne Hi Tu Dikhaya Hai Har Khawab Mujhe Adhuraa
(Nazim Ali)

Dua Kare Nazim

Aajaaa Aik Sath Beth Kr Ye Dua Kare Nazim 
Ho Sktaa Hai Ye Saal Humara Ho Jaye

Thursday, May 28, 2015

Kanch Ki Guriyaaa

Dekho Main Woh Dekho Main Wohi Hon Kanch Ki Guriyaaa
Bass Main Ab Logo Ka Dil Behlana Seekh Gyiii
Dard Tou Ab Bhi Hota Hai Dil Mein Kehin
Bass Ab Main Ghum Ko Apne Chupana Seekh Gyiii
Kbi Main Choti Si Bat Pe Bhi Ro Diya Krti Thi
Bass Ab Main Bhool Ke Sb Muskurana Seekh Gyiii
Kbi Jhoot Se Nafrat Hua Krti Thi Mujhe Bass Ab Main Such Ko Chupana Seekh Gyiii
Sapne Tou Sapne Hi Hote Hain Akhir Sajal
Bass Ab Main Kya Haqiqat Kya Fasana Seekh Gyiii
Main Wohi Kanch Ki Guriyaaa...
(Dua Sajal)

Berukhi

Anjam Yehi Hoga Berukhi Ka Apni Nazim 
Bhol Jaye Ge Ek Din Anna Ko Apni ...!
(Nazim Ali)

Sabi Aik Se Hain

Koi Tou Dikhaa De Yahan Mukamal Nazim 
Do Char Hi Nehin Yahan Sabhi Aik Se Hain 
(Nazim Ali)

Tanhaa Ho Giya Hon Nazim

Main Kese Keh Don K Tanhaa Ho Giya Hon Nazim 
Ary Pehle Kab Koi Mere Sath Rehta Tha ...!
(Nazim Ali)

Mujh Sa Na Mile Koi

Main Tumhein Kuch Kehna Tu Nehi Chahta Nazim 
Han Bass Ye Hai K Tumhein Ab Mujh Sa Na Mile Koi ..!
(Nazim Ali)

Mohabbat Hai Josh Mein

Aa Bhi Jaa K Abi 
Mohabbat Hai Josh Mein...
Sapno Pe Pari Barf 
Abi Nehin Pigaliii 
Abi Dil Ka Mosum 
Sohana Hai 
Khushbo Ke Gulisatano Tak 
Sitaron Ki Haddon Tak
Or Mujh Mein 
Ek Hi Kamiii Hai 
Har Chiz Pukar Rhii Hai 
Bass Teri Hi Kamiii Hai 
Aa Bhi Jaa K Abi 
Mohabbat Hai Josh Mein...
(Nazim Ali)

Laparwaa Hon

Main Sunta Hon Dusron Se Apna Haal Nazim 
Dekh Tere Bina Main Kitna Laparwaa Hon ..!
(Nazim Ali)

Shukariya Janab

Tere Aane Se Umeedein Jaag Gayiii Thiii Nazim
Hassratein Bana Di Ap Ne Shukariya Janab ..!
(Nazim Ali)

Mohabbat Naam Hai Issi Ka

Mohabbat Naam Hai Issi Ka ..!
Ansowon Ko Jo Musalsal Kar De 
Hassraton Ko Latadad Kar De
Wasal Ki Tamazat Ko Be Shumar Kar De
Rozz-o-Shab Ka Jaggna Hi Muqader Kar De
Aakhir Bata Tu Sehi ..!
Mila Kya Hai Is Mohabbat Se ..!
Han 
Or Jeena Bhi Muhaal Kar De
Mohabbat Naam Hai Is Ka ..!
(Nazim Ali)

Duniya Ko Khaliii Pao Gaye

Duniya Ko Khaliii Pao Gaye Nazim 
Silsalay Jo Milne Ke Khatam Kar Do Ge 
(Nazim Ali)

Kb Bholta Hai Koi

Kb Bholta Hai Koi Door Jane Se Nazim
Ojhal Hota Hai Ankhon Se Mgr Rehta Khayalon Mein Hai 
(Nazim Ali)

Tanhaaa Hi Tu Tha

Jao Use Ye Sumjhaa Do Yaro Tanhaaa Hi Tu Thaa ..!
Ek Tere Chale Jane Se Or Kya Tanhaaa Hona Hai ..!
(Nazim Ali)

Dil Behal Sa Jata Hai

Kahan Gum Ho Gaye Ho Nazim G
K Tere Aane Se Dil Behal Sa Jata Hai 
(Nazim Ali)

Ek Mulaqat Ho

Ek mulaqat ho, tu mere paas ho
Jeene ki wajah tum bano, tum bano
Ban ke tu rahbar, mujhko mila hai
Tu mil gaya main muqammal huya
Ek mulaqat zaroori, hai zaroori, jeene ke liye
Haan mulaqat zaroori, hai zaroori, zindagi ke liye

Main tujhe choom loon, chahat si hoti hai
Paas tu jo rahe, rahat si hoti hai

Chal pyaar ki nayi shuruaat ho
Kuch na kahe par, saari baat
ho
Ban ke tu rahbar, mujhko mila hai
Tu mil gaya main muqammal huya 

Har pal dil mein adhoorapan sa hai
Bhatke tanha, banjara jeevan hai

Main hoon kya bas
, ek aadha aasmaan

Naa rakh paaun fasl
a darmiyaan
Ban ke tu rahbar, mujhko mila hai
Tu mil gaya main muqammal huya
Ek mulaqat zaroori, hai zaroori, jeene ke liye
Haan mulaqat zaroori, hai zaroori, zindagi ke liye

Aao Aa Jao

Aao Aa Jao Aa Kr Dekh Lo Nazim 
Pyar' Guitar' Kitabein Or Wo Kamra Wesa Hi Hai ..!
(Nazim Ali)

Mom ki Targa pigaltiii ja rhi hai zindagii

Mom ki tarah pighalti ja rahi h zindagi,
Kyu es tarah hath se fisal rahi h zindagi
Hum tumhe pana chahte hain
Apne dil mein chupana chahte hain,
Per kyu unchahe sadmo se gujar rahi h zindagi,
Har pal dekhna chahti hai ye nigahe tumhe,
Taras rahi h ujalo me machalne ko zindagi,
Na jane kyu beet rahi h andhero me ye zindagi

Umeedon Ke Silsale

Aye Zindagi Chor De Ab Ye Umeedon Ke Silsale
Main Thak Sa Gaya Hon Nazim Dil Ko Sumbhalte Sumbhalte ...
(Nazim Ali)

Waqt Guzar Giya

Mujhe Mat Pukar Aye Zindagi 
Waqt Guzar Giya Tujhe Pane Ka 
(Nazim Ali

Tera Kasoor Kya Hai

Kuch Alug Nehi Hai Tujh Se Mera Hal Nazim 
Majbor Hon Main Is Mein Tera Kasoor Kya Hai ...
(Nazim Ali)

Pal Pal Ka Hisaab

Kbhi Soch Tu Sehi Khud Ko Uski Tarha Nazim 
Pal Pal Ka Hisaab Mil Jaye Ga Tujhe Mohabbat Ka
(Nazim Ali)

Kya Khob Likha Hai

Kya khob likha hai kisi ne...

Bakash deta hai Khuda unko
Jinki kismat kharab hoti hai

Wo hargiz nahi bakashe jate hai
Jinki neeyat kharab hoti hai

Na mera ek hoga na tera lakh hoga
Na tareef teri hogi na mazak mera hoga

Garor na kar Shah e shareer ka
Mera bhi khaak hoga tera bhi khaak hoga

Zindagi bhar branded branded krne waalo
Yaad rakhna kafan ka koi brand nahi hota

Koi ro kr dil bahlata hai
Or koi hass kr dard chupata hai

Kya karamaat hai kudrat ka
Zinda insaan pani me doob jata hai or murda tair ke dikhta hai

Maut ko dekha to nahi pr shayad wo boht khobsurat hogi
Kambakhat jo bhi uss se milta hai jeena chor deta hai

Gazab ki aikta dekhi logo ki zamane me
zindo ko girane me or murdo ko uthane me

Zindagi me na jane kon si baat aakhri hogi
Na jane kon si raat aakhri hogi

Milte julte baate krte raho yaaro
Ek dusre se na jane kon si mulaqat aakhri hogi...

Sano

Suno...!

Main Qissa-e-Mukhtsar Nahi Tha...

Warq Ko Jaldi Palat Gaye Ho Tum...!

Funkari Warna

Yeh Alag Baat Hai Ke Hum Chor Chuke Hain Funkari Wrna ...!

Tere Jese To Hum Matti Ke Bana Lete The ...!

Kassssh

Kasssssh ....

Lout Aayen Bachpan K Wo hi Din

Na Koi Zarorat Thi ...!

Na Koi Zaroori Tha ...!

Chala Aata Hai

Bohat Dekha Hai Maine Raste Badal Kr Nazim 
Kambakhat Meri Sunta Hi Kahan Hai Chala Aata Hai 
(Nazim Ali)

Udaasi ki

Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki
Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki
Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki
Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki

Main Koi Hawa Ka Jhonka Ni Hon

Kya Soch Rhi Hain Ap .. ?
Main kOi Hawa Ka Jhonka Ni Hon .... 
Jo Youn Pal Mein Guzar Jaon Ga .... 
(Nazim Ali)

Sooraj Dooba Hai Yaaron

Matalbi Matlabi Ho Ja Zara Matlabi...!
Duniya Ki Sunta Hai Kyun
Khud Ki Bhi Sun Le Kbhi

Matalbi Matlabi Ho Ja Zara Matlabi...!

Kuch Baat Ghalat Bhi Ho Jaaye
Kuch Der ye Dil Bhi Kho Jaaye
Befikar Dhadkane, 
Iss Tarah Se Chale
Shor Goonje Yahaan Se 
Wahaan

Sooraj Dooba Hai Yaaron
Do Ghoont Bashe Ke Maaro
Raste Bhula Do Saare Gharbaar Ke
Gham Tum Bhula Do Saare Sansaar Ke ...!

Tere Hone Se Hi

Teri saanson ki saans mein Jo hoon toh main hoon Tere khwabon ki aanch mein Jo hoon toh main hoon Tere hone se hi mera hona hai Tujhko khona jaise khudko khona Tu jo hai toh main hoon Yun jo hai toh main hoon Tu jo hai toh main hoon Yun jo hai toh main hoon Bin tere mera kya hai Jisko sunu jisko kahun Bin tere mujh mein kya hai Jisko jiyun jis mein rahun Tujh mein hi duniya meri hai Tere ik pal mein sadiyan meri Bin tere main sehra saa hoon Bin tere main qatra bhi nahi Tere hone se hi mera hona hai Tujhko khona jaise khudko khona Tu jo hain toh main hoon Yun jo hai toh main hoon Tu jo hain toh main hoon Yun jo hai toh main hoon Tu mere chehre pe hai raahat saa jo thehra huaa Main bhi tere haathon mein kismat sa hoon, bikhra hua Tu meri rooh saa hai Tujhko chhu ke main zinda lagun Jab bhi main mujhko dekhun Mujh mein bhi main tujh sa lagun Tere hone se hi mera hona hai Tujhko khona jaise khudko khona Tu jo hai toh main hoon Yun jo hai toh main hoon Tu jo hai toh main hoon Yun jo hai toh main hoon

Dil E Wehshi

Dil-E-Wehshi Ko Ab Aisi Saza Di Jaye.,

Jab Bhi Yeh Boley To Awaaz Daba Di Jaye.,

La-Taalluq Sey Jab Rehney Lagein Ghar K Makeen.,

Phir Yeh Behtar Hay K Ghar Mein Diwaar Utha Di Jaye.,

Jab Kabhi Dost Tumhein Khud Sey Beyzaar Lagay.,

Aisey Har Dost Ko Na Milney Ki Saza Di Jaye.,

Jiss Sey Dar Ho Kabhi Aashiyaan K Jalney Ka.,

Aisi Har Shama Sar-e-Shaam Bujha Di Jaye.,

Koocha-E-Yaar Mein Jab Barhney Lagey Auron Ka Hajoom.,

Kiun Na Uss Yaar Sey Phir Jaan Churra Li Jaye.,

Yaad Jab Koi Karey Apney Lamha-E-Fursat Mein Hamhein,
hum Bhi Farigh Nahi Yeh Baat Bata Di Jaye...!!!

Wohi Raaton Ki Bedaari

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,
Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,
Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,
Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,
Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak…….!!

Soch

Mai Pyar ton Vadh 
Tainu Pyar Karan 
Tainu Sajda Sohne Lakh Vaar Karan 
Je Din Nu Tun Dehde Raat Maahi 
Ve Mai Raat Samajh Aitbaar Karan 

Main tere Layi Duniya Nu chhadeya 
Tere Layi Door Apne Karre 
Ve Main Tenu Kina Chaandiyaan 
Eh Gal Teri Soch ton Parre 
Main Sahan Bin Saar Haan Sakdi 
Tere Bina Pal Vi Naa sarre 
Ve Main Tainu Kinna Chhandiyaan 
Eh Gal Teri Soch ton Parre...! 

Akhiyan ch har Vele Tera Mukh ve 
Takk Tainu Tuttde ne Saare Dukh Ve 
Deed Teri Da.. Aahe Nazara 
Naa Pyas Lagge teh naa Lagge Bhukh Ve...

Tere Bina aau na Supne 
Supne Vi Jhidhak ke Main Dhare 
Ve Main Tainu Kinna Chhandiyaan 
Eh Gal Teri Soch ton Parre...! 
Ve Tere Rahan Meriya Naa 
Manzilan nu Jaan Tu Vi Darre 
Ve Main Tainu Kinna Chhandiyaan 
Eh Gal Teri Soch ton Parre...! 

Zindagi de Ditte Tainu Saare Hakk Ve 
Gairaan Val Takya na Akh Chak Ve 
Kach Utte Vi Nach Javangi 
Waffa Meri Teh Naa Kari Shak Ve...

Ik tainu Paaun De Karke 
Ginti naa Kinne Zakham Jare 
Ve Main Tainu Kinna Chhandiyaan 
Eh Gal Teri Soch ton Parre...! 
Tere Layi Jo Jazbaat Jaani 
Sone Chandiyan ton Vi Khare 
Ve Main Tainu Kinna Chhandiyaan 
Eh Gal Teri Soch ton Parre...!

Wednesday, May 27, 2015

Friends Picture

My Painting

Friends Picture

Khayal Bhi Apna Hi Dalna Mere Khayal Mein

Main Moom Hon Mujhe Dhaal Lo Apne Khad-O-Khal Mein
Khayal Bhi Apna Hi Dalna Tum Mere Khayal Mein
Main Pyar Krti Hon Tum Se K Tum Mujh se
Jawab Dhoond Lo Mere Hi Sawal Mein
Sath Rehna Jb Ofaq Pe Ho Mere Muqader Ka Suraj
Tum Ko Mera Hi Wasta Chor Jana Mujhe Mere Zawal Mein
Ho Gaya Jo Mazi Tha Aye Ga Jo Wo Maloom Nehin
Jesa Bhi Hai Jee Lo Tum Haal Ko Bass Haal Mein..
(Dua Sajal)

My Painting

Rao Fasial Shabbir

Tuesday, May 26, 2015

Tere Khayalon


Kya Itne Door Nikal Aaye Hain Hum...

K Tere Khayalon Mein Bhi Nahi Aate...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...