Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, May 28, 2015

Dil E Wehshi

Dil-E-Wehshi Ko Ab Aisi Saza Di Jaye.,

Jab Bhi Yeh Boley To Awaaz Daba Di Jaye.,

La-Taalluq Sey Jab Rehney Lagein Ghar K Makeen.,

Phir Yeh Behtar Hay K Ghar Mein Diwaar Utha Di Jaye.,

Jab Kabhi Dost Tumhein Khud Sey Beyzaar Lagay.,

Aisey Har Dost Ko Na Milney Ki Saza Di Jaye.,

Jiss Sey Dar Ho Kabhi Aashiyaan K Jalney Ka.,

Aisi Har Shama Sar-e-Shaam Bujha Di Jaye.,

Koocha-E-Yaar Mein Jab Barhney Lagey Auron Ka Hajoom.,

Kiun Na Uss Yaar Sey Phir Jaan Churra Li Jaye.,

Yaad Jab Koi Karey Apney Lamha-E-Fursat Mein Hamhein,
hum Bhi Farigh Nahi Yeh Baat Bata Di Jaye...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...