Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, January 31, 2014

Mujhe Khud Saa Paao Gi

Main Janta Hon 
Tou Ne Sulaa Diya Hai Khud Ko 
Kuch Sumjhaa Kar Dua
Par Machal Jao Gi Tab 
Jab Tum Mujhe 
Khud Saa Paao Gi
(Nazim Ali)



Thursday, January 30, 2014

Tumhara Zikr Hi Hota Hai

Pocha Tu Mujh Se Bhi Boht Jata Hai 
Nazim Kuch Or Kahon
Main Kiya Kahon Yar 
Jo Bhi Kehta Hon 
Tumhara Zikr Hi Hota Hai
(Nazim Ali)



Wednesday, January 29, 2014

use mera kar de

Hai ikhteyaar mei tere 
tu maujza kar de
    woh shaks mera nahi hai 
use mera kar de
    yeh reh-guzar kahin 
khatam hi nahi hoti
    zara si door to raasta
 hara bhara kar de
    main us ke shor ko dekhun
 woh mera sabar dekhe
    mujhe chiraagh bana de 
use hawa kar de
    akeli shaam 
bahut hi udaas karti hai
    kisi ko bejh 
koi mera hum-nawa kar de




yeh bura hua

Mujhe ek manzil-e-khaas ka 
na pata chala, 
yeh bura hua
    meri Justaju 
meri aarzoo hui raaigan, 
yeh bura hua
    meri zest maut se kam nahi, 
mera gham bhi ab mera gham nahi
    teri dastaan mein 
samaa gai meri dastaan, 
yeh bura hua
    mujhe apne naghmom se hai gila, 
mera raaz raaz reh na saka
    woh jale chiraaghon ki tarha 
woh utha dhuNaa, 
yeh bura hua
    tere intezaar mein baith kar,
 mujhe zindagi to mili magar
    mera saath chod ke 
chal diya mera karwaaan, 
yeh bura hua
    mujhe yaad thi yeh na thi khabar, 
mere gham mein hai bada asar
    meri ek aah se jal gaye kai aashiyaan, 
yeh bura hua




Tuesday, January 28, 2014

Kisi Ke Chor Jane Ka



Tanhaiyon Ka Ek Alug Hi Maza Hai
Is Mein Darr Nehin Hota 
Kisi Ke Chor Jane Ka

Friday, January 24, 2014

Ussi Ne Kaha Tha

Aik Awaz Hai 
Jo Kano Mein Gunj Rehti Hai
 Aik Chehra Hai
Jo Meri Ankhon Ke Samne
 Bar Bar Aa jata Hai
Mere Dil Ka Sakon Thi Wo ....
Ussi Ne Kaha Tha
Panchiyon Ko Azad Kro
 ALLAH Ki Rehamt Hogi ...
ALLAH Ki Makhloq Ko Azad Kro ....
Us Ne Kaha Tha
 Aik Mazzloom Ko 
Azad Krne Ka Matlab Hai 
Sari Insaniyat Ko Azad Krna ...
Aj Moqa Mila Hai 
Uski Baat Pe Ammal Krne Ka .... 
Or Main Wohi kr Raha Hon ...
Lashari Sab Jin Ke Apne Sapne 
Pure Ni Hote Na ...
Wo Dussron Ke Sapne 
Pure Krte Hain... 
Mgr Ye Baat Ap Ni Sumjhon Ge ...
ap ni ...



Thursday, January 23, 2014

yaar ko humne ja-ba-ja dekha






yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chhupa dekha
kahin mumkin hoa kahin wajib
kahin fani kahin baqa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
kahien woh baadshaah-e-takht nasheen
kahin kaasa liye gadaa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
kahin wo der libaas-e-mashokan
bar-sare naaz aur aada dekha
kahin zahir jahin chupa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin aashiq niyaz ki soorat
seena Girya-o-dil jala dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha








Tou Mujh Mein Shamil Hai

Kuch Youn 
Tou Mujh Mein Shamil Hai 
Main Main Hi Hon 
Or Tou Tou Hi Hai
( Nazim Ali ) 



Wednesday, January 22, 2014

Dard Hi Rehta Hai.....

Kabi Kabi Dard Ki Sabi Haddein 
Tot Jaati Hain...
Mgr Phir Bi Dard...
Dard Hi Rehta Hai.....
Dard Tu Ab Pehle Se Bi
 Zayada Hota Hai
Kya kron ...!!
Kambakhat...!!
Meri Koi Sunta Hi Nehin
Ankhein Hain 
Wo Sokh Chuki Hain 
Or 
Haye 
Dard Phir Bi Wohi Hai
Or Suchi Baat 
Meri Umeed 
Wohi Ki Wohi
K
Shayad Koi Ab Bi
Aaye Ga 
Or 
Mujhe Apne Sath Le Jaye Ga
Mgr 
Khawab Kahan Such Hote Hain
Nazim 
Kab Kisi Ko Meri Parwaa Hai
Waqt Guzr Hi Jana Hai
Or 
Mujhe Tanhaa Hi Rehna Hai 
Bass Dard Hi Sehna Hai 
Or
Hanste Hi Rehna Hai
Mgr
Phir Bi Dard...
     Dard Hi Rehta Hai..... 
( Nazim Ali )





Wohi Tu Hai Apna

Phir Mujhe Us Ne Hai Pukara 
Phir Main Us Ki Janib Chala Nazim 
Wohi Tu Hai Apna 
Phir Jane Kyun 
Wo Apnata Nehin Mujhe 
( Nazim Ali )
 



Thursday, January 9, 2014

Use Dur Se Hi Tak'ta Rahaa

Use Dur Se Hi Tak'ta Rahaa 
Youn Waqt Kat'ta Rahaa 
Najane Kyun 
Nighein Thami Rehii
Bass Us Ke Chehre Pe Hi 
Jammiii Rehiiii
Kabi Chand Sumjh Kr 
Kabi Chandni
Hum Use Dekhte Rehe 
Bardi Tehzeeb Se 
Par Socha Na Tha 
Us Ka Dedar Hoga
Itne Qareeb Se



Wo Kbi Mila Ni Karta

Youn Be Intihaa Mangne Se 
Qismatein Kb Badalti Hain
Naseeb Mein Jo Na Ho 
Wo Kbi Mila Ni Karta 
(Nazim Ali)

Monday, January 6, 2014

Boriyat

Na Jane 
Kon Sa 
Mousam Hai 
Aj Kal

Udasi,
 Boriyat 
Or 
Na Jane
 Kiya Kiya ..?




I Am Always Sad Here

Still Person Always Are Alone Here 

That's Why I Am Always Sad Here 

( Nazim Ali )
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...