Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, November 14, 2014

Kis tarah se shukar tera ab ada karu main

Kis tarah se shukar tera ab ada karu main
Kis tarah se shukar tera ab ada karu main
Iss mohabbat ka harjana kis tarah bharu main
Khaamosh reh kar bhi keh gaye
Dariya sa dil tak beh gaye
Tum par ho raha hai poora aitbaar
Tum hi ho hifaazat meri suno
Ye kaha hai rooh ne
Kis tarah se shukra tera ab ada karu main

Ishq ka bas naam liya
Maine samjha nahi tha isey
Tune sikhaaya ki ye hai ibaadat
Rooh ki bhaasha hai yeh
Teri badolat paayi woh daulat
Jo mili na mujhko kahin
Jazbaat hadd se badhne lage
Dene lage sadaa tujhe
Har pal hai zaroori ab tera deedar
Kis tarah se shukr tera ab ada karu main
Iss mohabbat ka harjana kis tarah bharu main




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...