Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, November 14, 2014

Dil aaj kal meri sunta nahi

Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal paas rehta nahi

Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal paas rehta nahi
Ye tujhse hi milne ko chaahe
Ye teri hi karta hai baatein
Kya tum ho... Kya tum ho wohi
Kya tum ho... Kya tum ho wohi
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..

Teri aankhon ke raste ye chale jaata hai
Jo bulaaun main kabhi, laut aata nahi
Bekhabar ye zamaane se takraata hai
Bedhadak mujhse kehta hai "Main hoon yunhi"
Ye tujhse hi milke huaa hai
Jo teri nazar ne chhuaa hai
Kya tum ho, Kya tum ho wohi
Kya tum ho, Kya tum ho wohi..

Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..

Hai hunar ek naya isko tujhse mila
Muskura ke ye milta hai sabse abhi
Aadhi raaton mein mujhko ye deta utha
Mujhse pooche ye raatein kyun kat.te nahi
Ye tujhse hi milne ko chaahe
Ye teri hi karta hai baatein
Kya tum ho, Kya tum ho wohi
Kya tum ho, Kya tum ho wohi..

Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..
Dil aaj kal meri sunta nahi
Dil aaj kal..


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...