Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, April 17, 2014

Jo bheji thi dua

Kise poochu..
Hai aisa kyu?
Bezubaan saa ye jahaan hai

Khushi ke pal
Kahaan dhoondu?
Benishaan sa waqt bhi yahaan hai

Jaane kitne labon pe gile hain
Zindagi se kayi faasle hain

Paseejte hai sapne kyun aankhon mein
Lakeere jab chhoote inn haathon se yun bewajah

Jo bheji thi dua
Woh jaake aasmaan se yun takra gayi
Ki aa gayi hai laut ke sadaa

Saanson ne kahaan rukh mod liya
Koi raah nazar mein naa aaye
Dhadkan ne kahaan dil chhod diya
Kahaan chhode in jismon ne saaye

Yehi baar baar sochta hoon tanha main yahaan
Mere saath-saath chal raha hai yaadon ka dhuaan

Jo bheji thi duaa
Woh jaake aasmaan se yun takra gayi
Ki aa gayi hai laut ke sadaa
 
 
 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...