Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 13, 2014

Us Ki Yaad Aani Chahiye Thi

Use Ek Saltant 
Ek Rajdhani Chahiye Thi

Mohabat Mein Bhi Usko 
Hukmarani Chahiye Thi



Bicharny Ka Wo Pahly Se 
Tahiyya Kar Chuka Tha

Use Meri Tarf Se 
Badgumani Chahiye Thi



Tu Phir Se Imtihaan Pe Imtihaan 
Lene Laga Hai

Humain Is Umer Mein 
Kuch Maherbani Chahiye Thi


Ada Mujh Ko Faqt Tha 
Sarsri Kirdaar Krna

Use Shohrat Ki Khatir 
Ek Kahani Chahiye Thi

Yehi Tareekh Thi
Tark e Taluq Jab Hua Tha

Wohi Din Hai Tu 
Us Ki Yaad Aani Chahiye Thi



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...