Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, September 27, 2013

Tamana Saza Ki Thi...!!!

Safar-E-Wafa Ki Raah Mein 
Manzil Jafa Ki Thi,
Kaghaz Ka Ghar Bana K Bhi 
Khawahish Hawa Ki Thi,



Thi Jugnuon K Shehr Mein 
Taron Se Dushmani,
Mashooq Chaand Tha 
Aur Tamanna Subha Ki Thi,



Tum Ne To Ibadat Ka 
Tamasha Bana Diya,
Chahat Namaz Ki Thi 
Per Aadat Qaza Ki Thi,



Maine To Zindagi Ko 
Tere Naam Likha Tha,
Shayad Mgr Kuch Aur Hi 
Marzi Khuda Ki Thi,



Dard He Dena Tha 
To Pehle Bata Detay,
Hum Ko Bhi Azal Se He 
Tamana Saza Ki Thi...!!!

teray naam pa aa key harey hain

Zabt ki kaun sii manzil thii??? 
Kis muqam pa aa key harey hain 
itnaa tou tumhain maloom hii hai 
teray naam pa aa key harey hain 
Kabhii khud par jabar kiyaa hum ney 
Kabhii khud ko yun bey moal kiya 
Hum subhoon key loatney waley they 
Ik shaam pa aa key harey hain 
Ik dard e musalsal hota hai 
Ik barish andar hoty hai 
Key heeroon jaiseey log yahan 
Ilzaam pa aa key harey hain 
Kab jeet ka hum ney dawaa kiya 
Yeh azal abad ka qissa hai 
Hum be khabry key alam mai
 Anjaam pa aa key harey hain... - 

Ye Soch Ke Kabhi

Woh Muntazir Hi Nahin Tha 
Meri Raahon Ka 

Ye Soch Ke Kabhi 
Waada Nehin Kiya Mainey 

dukh tu aik jaisa hai

Be-khaloos logoon se 
ijtenab karna hai .....
mujh ko apnay rishtoon ka 
ehtasab karna hai, ........
tum ko bhool jana hai 
tum ko yaad rakhna hai .......
dukh tu aik jaisa hai 
intakhab karna hai........ 

Abhi Thehr0o Zara !!

YEh Me !! 
Ye K0o-e-DAar, 
Ye TNnhai D0oSt0o,
KIya Tum Bhi Ban Gaye H0o
TamaShai D0oSt0o,



PEgham-e-MArg HEy K !! 
PAyam-E-HabEEb HEy..

Sar Sar ChaLi K 
BaaD-E-MuraD Aai D0oSt0o...,



Ye Kiya !! 
K Ek TEer-E-Mulamt Na SEh Sky !!

H0ni HEy K0o-Ba-K0o 
Abhi RuSwai D0St0o..,



AaGhaz-E-Shaam-E-HiJjr HEy !!! 
BEthy Rah0o !!
Abhi Thehr0o Zara !! 
K m0at HEy Tanhai D0st0o,



ZanJeer Kat Gai K !!! 
K0oi D0ost Kat GAya

KuCh T0ou Kah0o 
Ye KEsi SAda Aai D0oSt0o...

Ek Bar Us K0o 
MEri NiGah0o'n SEy DEkh L0o

Phir Khud Kah0o !!! 
K K0on HEy S0oDai D0ost0o,








wo apni tehreer mein likhti hai

Kya kya baatein 
wo apni tehreer mein likhti hai, 
ek nayi takdeer 
meri takdeer me likhti hai, 
wo aisi hamdard k 
apne pyar ke saare lafz 
mere haathon ki lakeer mein likhti hai,
 koi raaz chhupana shayad 
pasand nahi use, 
wo apna har khawab 
khuli tabeer mein likhti hai, 
main uska ek man-chaha qaidi hoon 
issi liye naam mera 
wo zulfon ki zanjeer mein likhti hai, 
bol uthe ek ek ta‘assur 
us ke chehre se, 
Saari kahani wo 
apni tasveer mein likhti hai, 
khoob chehekti hai 
wo khat ke pehle hisse mein, 
lekin dil ki sachi baat 
aakhir mein likhti hai, 
jis khoobi se 
pehchana jaye koi shakhs, 
qudrat wo khoobi 
uske khoon-e-khameer mein likhti hai… 



Wednesday, September 25, 2013

Kahan Gum Ho Jati Ho..?

Kahan Gum Ho Jati Ho..?
Tum Humehsa Hi Aise Hi Karti Ho
Samne Aa Ke Chup Jati Ho
Baat Karti Ho Magr Chupati Ho
Tum Aise Hi Mujhe Azmaati Ho
Main Sapne Tumhare Hi Dekhta Hon
Tum Kyun Mujhe Sapne Mein Bhi
Bawala Keh Jati Ho
Duno Hathon Ko Jab Bhi Uthata Hon
Tujhe Hi Mangta Hon
Tum Kyun Ye Baat Nehin Manti Ho
Tera Mujhe Bass Yaad Kar Lena
Mujhe Nai Zindagi De Jata Hai
Tere Bharose Hi Jeeta Hon
Tum Kyun Mujhe Tanha Kar Jati Ho
Nazim Tou Tumhare Sath
Manzil Ki Janib Nikala Hai
Tum Kyun Har Mor Par
Rasta Badal Jati Ho

( Nazim Ali )




Tuesday, September 24, 2013

Khud Khushi

Banda najane Kya Kya Sochta Hai
Kitne Hasseen Khawab
Wo Anjane Mein Dekh Jata Hai .
or phir umeed liye
in khawabon ko such krne ki
koshihsh mein lag jata hai,
mgr wo is haqiqat Se dur hota hai
k khawab kabi such ni hua krte….
Is k bawajood
wo boht si umeedin
 bandh leta hai
 in khawabon k sahare
or wo boht se aise kam kr jata hai
 jo is ke nehin krne wale hote hain
 wo srif apne khawabon ko
such krne ka sochta hai
or haqiqat se
dur hota chala jata hai…..
Or phir aisa hota hai k
aik aisa pal aata hai
k us ke khawab such ho jate hain
mgr wo khawab
lamhe bhar ke liye such hote hain
is ki is ko khabar ni hoti…
or phir achanak
aisa khafnaak andhera hota hai
k is ke hath
phir se khali ho jate hain
or us k hath kuch ni lgta
or wo duniya dari se
boht dur chala jata hai…….
Kabi socha hai ap ne
k aisa kyun hota hai ….??
Is ki waja kya hai ....?
Tu aaiye mere sath
main apko haqiqat bata’ta hon
Banda jab us cheez ki talab krta hai
jo laahasil hai…..
 jise wo paa hi ni skta…
jis tak puchna bi namumkin hai…..
 us cheez ki talab
jb bande mein aa jati hai
tu phir yehi hota hai…
banda galat kamon mein par jata hai
or aahista aahista
is daldal mein
boht gehari tak uttar jata hai
or jab is ko is bat ka ahsas hota hai
tab both dair ho chuki hoti hai
tab Is k hathon mein kucn ni rehta
or phir
is k pass aik hi rasta
bachta hai…..
Wo hai khud khushiiiiiiiiiii
Kyun ke wo in khawabon ke
sahare apne sath both se
 rishte jor leta hai
boht si umeedein jor leta hai
or is par both si
zumadari hoti hain……
Jab is ko in sab baton ka
ahsas hota hai…
or wo apne hathon ko
khali pata hai…
tu phir yehi hota
Khud khushiiiiiiiiiiiiiiiiii
Ye sab batein main ap se
is liye share krna chahta tha…
mera aik hi maqsad tha…
kyun ke hum sab young hain yahan
or main ye bi boht ache se janta hon
k hum sab mein boht bande aise hain
 jo lahasil ki umeed mein jotte hoye hain…
tou un sab se meri request hai
k haqiqat ki duniya mein aa jaye
k is se pehle both dair ho jaye …
Wo wohi kare jo wo kr skte hain….
Kyun k wo kisi ke bhai
kisi k bate hain
or both se rishte
un se jore hoye hain….
or jab koi apna aisa krta hai
tu both dard hota hai
mgr tab
main or ap kuch nehin kr pate…
kuch kar bi skte…
kyun k jab waqt guzar jata hai
tu phir koi bi kuch ni kr skta….
 Tou please

App Humare Liye

Or Hum App Ke Liye

Boht Aham Hain….!!

Humari Baat Suniye

Humare Sath Chaliye
Humare Sath Chaliye


( Nazim Ali )




Tuesday, September 17, 2013

abhi rukhsat nahin hua

Baanhon se meri woh 
abhi rukhsat nahin hua

par Gum hon intizaar mein
 us k abi se mein



Koi dam chain par jata

Koi dam chain par jata 
mujhe bhi ..!!

magar mein khud se 
dam bhar ko juda nehin ..!!



جنگل مجھ سے بات تو کر


جنگل مجھ سے بات تو کر
دیکھ کہاں سے آیا ہوں !
سناٹا ہے چاروں جانب اور ہوا کی سرگوشی میں
ٹوٹے ٹوٹے سے کچھ جملے
رات گئے تک ہونے والی بارش کے قطروں کی صورت
پتہ پتہ ٹپک رہے ہیں

تین برس اور سولہ دن پہلے کی گُزری شام کوئی
یہیں کہیں پر رُکی ہوئی ہے
اور اک گہرے سایوں والے پیڑ پہ اب بھی
ہم دونوں کے نام کھدے ہیں
(اور اک دل ہے جس میں کوئی تیر ترازو تب سے ہے)
جنگل، تیرے سامنے اُس دن ہم نے کتنی باتیں کی تھیں
تجھ کو بھی وہ یاد تو ہوں گی
سب نہ سہی پر تھوڑی تھوڑی
یہ جو ہوا کی سرگوشیہے اس کے ٹوٹے جُملوں جیسی
ابھی ابھی اس تھمنے والی بارش کے ان قطروں جیسی
تین برس اور سولہ دن کا اک اک لمحہ لایا ہوں
جنگل مجھ سے بات تو کر، دیکھ کہاں سے آیا ہوں



سوچ سوچ کر بھی


ہم وہ بے درد ہیں

خواب گنوا کر بھی جنہیں نیند آ جاتی ہے

سوچ سوچ کر بھی

جن کے ذہنوں کو کچھ نہیں ہوتا

ٹوٹ پھوٹ کر بھی

جن کے دل دھڑکنا یاد رکھتے ہیں

ہم وہ بے درد ہیں

ہم وہ بے درد ہیں

جن کے آنسو آنکھوں کا رستہ بھول جاتے ہیں

شام سے پہلے مر جانے کی آس میں جو

جیتے ہیں اور جیتے ہی چلے جاتے ہیں




Raat Bhar


Raat Bhar Barde Shoq Se
 Main Karta Raha Chand Se Teri Batein 
Raat Dhalte Hi Wo Bola 
Jao Mian Apna Chand Dhoundo ..... !! 
(Nazim Ali)



Monday, September 16, 2013

agar ijazat ho

Thaka diya hai 
tumhare firaaq ne mujh ko

kahin mein khud ko gira loon' 
agar ijazat ho







raaste pe jaane ki

Baat hai raaste pe jaane ki

or jaane ka raasta hi nehin







justjoo mein

Hain sab ik dussre ki 
justjoo mein
magar koi 
kisi ko bhi mila nehin




Main Pyar Ke Qabil Nehin

Shideed Khoof Mein Mubbtala 
Hota Jaa Raha Hon Main Nazim 
Main Pyar Ke Qabil Nehin 
Yaa Log Mere Jese Nehin...!!!
(Nazim Ali)


Saturday, September 14, 2013

Rooz Jall Jata Hon

Rooz Jall Jata Hon  
Tere Khawab Aane Par..!
 Lekin 

Soch Phir Bhi Yehi Hai 
K Tera Khawab Na Tote ... 
( Nazim Ali )


Mohabbat Ke Sumander Par

Main Sumjh Nehin Saka
 Nazim Teri Talab Ko...!!! 
Khare Hon Mohabbat Ke Sumander Par
Magar Phir Bhi Piyase Ho
( Nazim Ali )



Friday, September 13, 2013

aye meri super girl...!!!

kuch ni chahiye mj ko
 aye meri super girl...!!!
bass teri soch Tere guman mein
 aana chahta hon
(Nazim Ali)

aisa daraona keh

Kitna daraona hai 
yeh Shahr -e- Nabood o' Bood
aisa daraona keh
 yahan darr bhi kuch nahiN...

mere qadmon ko raasta bheja...

Us ne manzil ko be-nishan rakh kar

mere qadmon ko raasta bheja...

Hum ghar basaein ge

Aye Jaan -e- Ehd o' Pemaan ! 
Hum ghar basaein ge' haan
Tu apne ghar mein hoga' 
Hum apne ghar mein hon ge

apna saamna darpesh

Ab hai bas apna saamna darpesh

har kisi se guzar gaya hon main

Tu hai pehlu mein

Tu hai pehlu mein 
phir teri khushbu

ho ke baasi 
kahan sey aati hai...?

aik lamhe mein

Zindagi ka ajab mu'amla hai

aik lamhe mein faisla kijeye

barbaad

Ho raha hun mein kis tarah barbaad

dekhney waale haath malte hain

koi mere siwa nahin

Naam hi naam chaar-su, 

aik hujoom ru ba ru

koi tau ho mere siwa,

 koi mere siwa nahin

khud se main chala

Mujh ko teri talash karna hai...
ley mian ! 
khud se main chala, 
tu ja !

Hai ajab kuch

Hai ajab kuch muamla darpesh

Aqal ko Aagahi sey khatra hai

gumaan hai yehi

Koi gumaan bhi nahin darmiyaan'
 gumaan hai yehi

issi gumaan ko bacha loon 
keh darmiyaan hai yehi

Shauq ki raah

Shauq ki raah par agar chaliye

Charo janib se bey-khabar chaliye

dekho raqs karein ge

Mein tere dar pe lagaon ga 
kuch is toor sadaa

dekho raqs karein ge 
tere darbaan ab kay...

Dhoop se lia Sood...

Parchaiyon ne Dhoop se lia Sood...

har Nafa' yahan Zayaa ko pohncha

juda ni

Koi dam chain par jata mujhy bhi...
magar mein khud se dam bhar ko juda ni

Thursday, September 12, 2013

Saal ha saal aur ik lamha...

Saal ha saal aur ik lamha...
koi bhi tau na un mein bal aaya...
khud he ik dar pe mein ne dastak di
khud he larka sa mein nikal aaya...




Khud hi se nafrat si



Nazim Kiss Tarha K Ho Gaye 

Tanha Rehte Hoye Hum 

Aahista Aahista Shayad Ab Tu 

Zahani Mareez Ho Gaye Hain Hum

Kab Hai Yahan Asan 

Manzil Ko Paa Lena Nazim

Tujh Se Tu Mile Nehin 

Mgr 





Kitni Mushkilon Mein Par Gaye Hain Hum

Ajeeb Log Hain Or Hain Un Ki 

Tarha Tarha Ki Soch

Kiss Kiss Ko Sumjhaye 

K Bure Nehin Bass Hain Majbor Hum

Khud Hi Se Nafrat Si 

Hoti Jati Hai Nazim Jee

Tanhai Humein Raas Hai 

Ya Tanhaiyon Ka Jewan Hain Hum

Ab Tu Sanson Ke Chalne Se Bi 

Dar Jata Hon Nazim 

Itne Dokhe Khaye Hain K

Phir Bi Nadan Hain Hum

Nazim Mein Gilla Nehin Krta 

Mgr Shikayatein Tu Hain Boht

Milta Tou Tu Tujhe Dekhate 

Kitne Zakhami Ho Gaye Hain Hum 

( Nazim Ali )




Aye kash ab aaye koi

Aye kash ab aaye koi 
meri duniya bi basaye koi 
main barso se udhari hon 
mujhe bi mukamal kr jaye koi ..
( Nazim Ali )

Wednesday, September 11, 2013

Ek Benaam Manzil Ki Tarif

Main Kahan Tha 
Main Kahan Hon 
Nehin Hai Ilam Mein Mere 
Main Tera Tha 
Main Tera Hon 
Aa Dekh Kbi Hosh-o-Hawaas Mere
Luta Baitha Hon 
Apne Sapne 
Teri Umeed Liye Nazim 
Main Jesa Tha 
Main Wesa Hon 
Bass Ab Nehin Hain 
Roshan Khayal Mere 
Har Kisi Se Milta Hon 
Main Meethi Muskarahat Liye Nazim 
Jo Mera Muqdar Tha 
Hai Ab Wohi Bass Pass Mere 
Barson Chala Hon Main Nazim 
Ek Benaam Manzil Ki Tarif 
Sab Beet Chuka Hai Mujh Pe 
Or Kehne Ko Ab Bhi Hain 
Sabhi Raste Mere
( Nazim Ali )






dekh tau

Dil ne bheji tujhe mata -e- wafa

dekh tau' woh bhi jo na tha' bheja



tum bhi yahan se bhaag chalo...

Hain bey-taur yeh loag tamaam...
un k saanchey mein na dhalo...
mein bhi yahan se bhaag chalun...
tum bhi yahan se bhaag chalo...




dukh uthata hoon

Sab karo apnay apnay kaam keh mein

dukh uthata hoon apni fursat kay...




jaise bhula sakun ga usay

Is taur sey hua tha judaa apnii jaan sey....

jaise bhula sakun ga usay aaj he sey mein



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...