Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 31, 2013

Mohabbat ne inteha kardi..

Bare sakoon se rukhsat 
to kar diya us ko,

Phir us ke baad, 
Mohabbat ne inteha kardi..

Shikayat sirf itni hai

Lihaz-e-Ishq na hota 
to tujh se Ranjishain hotin,

Shikayat sirf itni hai 
k tu Samjha nahi Mujh ko...

Meray Yeh Channd Haroof

Mujhh say Tu KhuSh NaSeeb Hain
 Meray Yeh Channd Haroof

Jinn Par Dair Takk Paray Gee
 NiGhaaah Teri....??




Woh mudDat se zArori kaam

Woh mudDat se zArori kaam 
main masroof hai wArna,

HAmary sath se barH kAr, 
zArori kuch nAhi uxkow...!




Dushmano Se Mohabbat

Dushmano Se Mohabbat Hone Lagi 
Mujh Ko

Jese Jese Apno Ko Azmaate
 Chale Gaye

Dil Bechain Hai Bahut

Munasib Samjho Tou
 Sirf Itna Hi Bata Do,

Dil Bechain Hai Bahut 
Kahin Tum Udas Tou Nahi...!!

wafa cHaHiye

Agr mil saky To wafa cHaHiye,""

Mujhe kucH na Tery siwa cHaHiye,""

BoHat Be$ukoon Huon main Tery bin,

Mujhe zindagi ki dua nahi,

Mujhe bas Teri aik sada cHaHiye,"

Ho Takmeel jis se meri zaaT ki,

BaHaron ki aesi Hawa cHaHiye,

Mujhe Tery dil mein Ay Jaan-e-wafa,

Agr mil saky To Thori si jaga cHaHiye,""

KaHan Tak bhala NibHaon Main wafa Humdum

KabHi To Mujhe bi Hosla cHaHiye*"

Friday, August 30, 2013

Safar Agaz Kar Baithe

Ye Kesi Dhund Mein Hum Tum
 Safar Agaz Kar Baithe 

Tumhein Ankhein Ni Milti ' 
Humein Chehra Ni Milta 

Abb Dil Ki Khalwaton Mein

Abb Dil Ki Khalwaton Mein 
Tum Aa Ke Kya Karon Ge 

Hum Arzoo Ki Shamein
 Kab Ki Bhujaa Chukee

Dua Mange Na Koi

Buland Hathon mein
 Zanjeerin Daal Dete Hain 

Ajeeb Rasam Chali Hai
 Dua Mange Na Koi

meri Ankh Mein Bi Aaye Ga

Wo Khawab hai Tou 
meri Ankh Mein Bi Aaye Ga 

Har Aik Panchi Ka Hota Hai
 Ek thikana Bhi

Muskil To Nahi

Bhulana Teri Aadat Hai Sahi
Per Yaad Rakhana Muskil To Nahi

Pyar Kerna Chhod Dena Tera Swabhav
Pyar Ko Pyar Hi Rakhna Muskil To Nahi

Mana Vo Bewafa Hai To Kya Hua
Khud wafa Per Tika Rahu Ye Muskil To Nahi

Muskilein Aayegi Her Daur Mein
Samadhan Ki Koshis Keru Yea Muskil To Nahi

Gar Main Mer Bhi Jaau To Koi Baat Nahi
Apane Raste Per Rah Ke Jina Muskil To Nahi




Teri Tasveer Ko...

Sare shikwe sunaya Karta Hon
 Teri Tasveer Ko
Har Dukh Bataya Karta Hon
 Teri Tasveer Ko

Jab Chain Se Sone Nehi Deti
 Teri Yaad
Phir Sath Jagaya Karta Hon
 Teri Tasveer Ko...




Hasrat kabhi kabhi..

Youn kehne ko toh Hum 
bare Khush_Mizaaj hain lekin.
Rula deti hai apno ke Pyaar ki 
Hasrat kabhi kabhi..

ussey mujh sa ab koi na miley

*~*Main bad-dua tu nahi day raha usko mgr,*~*

*~*dua yahi hey ussey mujh sa ab koi na miley.*~*



pareshan hun main

Apni Halat ka bhi
 Ehsas nahi ha mujh ko,

Main ne oroun se suna ha 
k pareshan hun main.

Main Hon Tou Tum Ho

Tujhe Keh Raha Hon 
Tou Sun Ske
 Tou Sun Le 
Meri Rug Rug Mein 
Tou Hai Bassi
Mehsus Kr Ske Tou Kr Le
Meri Zindagi
Meri Shairy
 Meri Arzo0o
Tou Kr Ske 
Tou Kr Le
Bass Jao Ga Tujh Mein 
Tou Mujhe 
Apni Dharkano Mein Uttaar Ske 
Tou Uttaar Le
Main Hon Tou Tum Ho 
Is Fiqre Ki Geharai Ko 
Jan Ske Tou Aa Jan Le
Nazim Ka Tou Bass 
Ek Chota Sa Dil Hai 
Agr Le Ske 
Tou  Aa Le Lay
 (Nazim Ali)




Thursday, August 29, 2013

Jal bujhi shama to

Jal bujhi shama to 
parwanay bhool gaye. . !

Kon aata hai 
kisi sokhta samaan k paas. . !

Kitney Suljhay Hoye

Kitney Suljhay Hoye Tareeqay Se

Mujh Ko Uljhan Main Daal Jaatay Ho



Honton Pe Rakh Ke Hont

Bas Itna Hi Kaha Tha
 K Barso K Hain Pyasy
Honton Pe Rakh Ke Hont 
Us Ne Khamosh Kar Diya


 

Teri Yaad B ho k Khafa Guzarti Hy

Dar_e_Qafs Se pary Jab Sba Guzrti Hy
Kisey Khabr K Aseron Pe Kiya Guzrti Hy

Ta'alloqat Kbi Iss Qadr Na Toty Thay
K Teri Yaad B ho k Khafa Guzarti Hy

Wo Ab Miley B To Milta Hy Iss Tarah Jaisy
Bujhy Charagh Ko Chho Kr Hawa Guzarti Hy

Ye Ehl_e_Hijr Ki Basti Hy Ehteyat Se Chal
Musebaton Ki Yahan Inteha Guzarti Hy

Na Poch Apni Ana Ki Baghawatain Mohsin
Dar_e_Qaboliat Se Bach Kr Dua Guzarti Hy



mujhye duaon mein yaad rakhna.

Meri yadoon ki Ibtadda
 hi tujh se hoti hai,
Phir kyuon kehta hai 
mujhye duaon mein yaad rakhna.

TANHAi Mar Jati Hai.

Wafa Ki Jang mat Larna Ye Bekar Jati Hai,
Zamana Jeet Jata Hai Mohabbat Har Jati Hai,

Hamara TaZKra Choro Hum Aise Log Hain Jinko,
Mohabbat Kuch Nhi Kehti TANHAi Mar Jati Hai.

aapne dil ki chahat.

Saagar ki mojein aur khula aasama hai,
Dhadkan deewani aur dilkash sama hai,

Jee chahe en lehron se karon shararat,
Aur en ko bata don aapne dil ki chahat.

BaRiSh RuKti HI NAi

BaRiSh RuKti HI NAi TeRe ShEhAr MaY
FArAz !
KaBi BaDlOn Se To KaBi AnKhOn Se !

Koi Aisa Dho0ka De

Mein kab Tak Tujhe Pane Ki 
Chahat Mein Zillat Uthati Rahu,,

Koi Aisa Dho0ka De 
Ke Meri Har Aaas Toot Jaaye...!!!

Tumsey Yun Rishta Bana Rakha Hai .!!

Apne Rooh K Daman Sey Tumey Bandh Rakha Hai
Meri Zaat Ney Tumsey Yun Rishta Bana Rakha Hai .!!

Tum Royon Toh Abr e Dil Barse, Muskurayon To Bahar Khilen
Mere Ehsaason Ney Tumey Apna Makeen Bana Rakha Hai ..

Deedar Ho Tumara Toh Muqam Payen, Na Ho Toh Taras jayen
Meri Ankhon Ney Tumey Apni Manzil Bana Rakha Hai ..

Visaal e rahat Toh Mukammal Warna Umr bekar jayen
Meri zindagi Ney Tumey Apna Armaan Bana Rakha Hai

Subah o Shaam Tumare Sajde Tumari Ibadaten ..
Meri bandagi Ney Tumey Khuda Bana Rakha Hai !!

saadagii par us kii

saadagii par us kii 
mar jaane kii hasarat dil men hai
bus nahin chaltaa ki phir
 Khanjar kaf-e-qaatil men hai

~*~ meri tehreer ke aansoo....!! ~*~

suna hoga bohat tum ne ....

kahiN aankhoN ki rim jhim ka

kahin palkoN ki shabnam ka...

parha hoga bohat tumne ....

kahiN lehjay ki barish ka

kahiN sagar ke aansoo ka...

magar tum ne kabhi humdam ...

kahin daikhay? kahin parkhay?

kisi tehreer ke aansoo??...!!

mujhe teri judaai ne ...

yehi mairaaj bakhshi hai...

ke main jo lafz likhta hooN ...

woh saray lafz rotay hain

ke main jo harf bunta hooN ...

woh saray bain kartay hain

mere sang is judaai main ...

mere alfaz martay hain

sabhi tareef kartay hain ...

meri tehreer ki lekin..

kabhi koi nahin sunta ...

mere alfaz ki siski...

falak bhi jo hila daalay..

mere lafzoN main hain shamil ...

usi taseer ke aansoo...

kabhi daikho mere humdam...

meri tehreer ke aansoo..!!



Wednesday, August 28, 2013

OR YAAR B JAZBAATI HAI

ISS QADAR RAAT GYE KON MULAAQTI HAI
AISA LAGTA HAI KOI YAAD CHALI AATI HAI

MAIN TO DUSHMANN K BICHARNY PE B ROYA HON BOHAT
TOO TOU PHR YAAR HAI, OR YAAR B JAZBAATI HAI

KIS QADAR GHAAO HAIN, MALOOM NAHI HAI K ABHI
JISM SE ROOH KA RISHTA HE MOZZAFAATI HAI

HAAEY KYA LOG THY PAMAAL HOYE MERY LIYE
OR KEHNY KO MERA SAARA SAFAR ZAATI HAI

SAFFA E DOHR PE FITRAT NE LIKHA HAI MERA NAM
TUM SAMJHTY HO K YE FAISLA LAMHAATI HAI



Judayi Phhail Sakti Hai

Juda Hona Hi Thehra To
Juda Hona Hi Thehra To
Gilay Kaisay Shikayat Kya
Juda Ho Jayen Chupkey Se
Na Tum Bolo Na Main Boloon
Hamare Bol Perne Se
Judaayi Phhail Sakti Hai
Hawaun Main
Fizaaaaon Main
Judaai Zaat Main Bher Lein
Chalo Ham Is Terha Ker Lain
Kisi Sunsaan Raste Ke
Kisi Bhi Morre Per Dono
Juda Ho Jayen Chupke Se
Na Tum Bolo Na Main Bolon
Hamare Bol Parney Se
Judayi Phhail Sakti Hai

k toota kia hai

teri ankho main wafa hai na murawat na khuloos
to bata in main phir rakha kia hai.............
zinda ehsas ka pekar hoon koi bat to nahi
sang barsa k yeh kahte hoo k toota kia hai

Dashat-e-Hijran

Dashat-e-Hijran may na saya na sada tery baad
Kitnay tanha hain teray aabla-paa teray baad...

Lab py ek harf-e-talab tha, Na rha teray baad
Dil main taseer ki khahish na dua teray baad...

Payrhan apna salamat, na quba teray baad
Bus whi hum whi sehra ki rida teray baad...

Tujh say bichra hun tu murjha k hawa-burd hua
Kon dyta hai mujhy khilnay ki dua teray baad...

Tu keh simta tu rag-e-jaan ki haddoon tak simta
Main keh bikhra tu samita na gaya teray baad...

Yeh alag baat keh afshan na hua tu warna
Main nay kitna tujhy mehsoos kiya teray baad...

Meri dukhti hui aankhon say gawahi lyna
Main nay socha tujhy apnay say siwa tery baad...

Seh liya dil nay tujh say ezn-e-judai ka azab
Warna chubhti hai rag-e-jaan main hawa tery baad...

O janay walay!!! mera hasil-e-mubhaam yeh hai
Jeenay ka hunar bhool gya hun mri jaan tery baad...


 

Mer¡ Umed K Panch¡ Ko Pr Achy Nh¡ lgty

Kah¡n sehra Kah¡n sokhy shajr Achy Nh¡ lgty
Muje Ab Khwabzaron K sfr Achy Nh¡ lgty

Jwab¡ Khat Me Yun Usne Mery bary Me l¡kha Tha
Bura b Keh Nh¡ skty Mgr Achy Nh¡ lgty

Nh¡ Msrof Me Itna K Ghr Ka Rasta ßholon
Ko¡ Jab Muntaz¡r Na Ho To Ghr Achy Nh¡ lgty

Smandr Ta¡rt¡ lashon se Ye Kehta Rha shab bhr
Mujhy b dobny Walo Bhanwar Achy Nh¡ lgty

Nh¡ A¡sa K Ab Parwaz K¡ Taqat Nh¡ baq¡
Mer¡ Umed K Panch¡ Ko Pr Achy Nh¡ lgty

Komal Si Ek Larki

Dard Ke Azab Mein Hai Jakri Hui 
Komal Si Ek Larki
Mujh Se Hai Dur Or 
Musalsal Jheel Rehi Hai Dard 
Komal Si Ek Larki
Use Soch Soch Kr 
Use Dekh Dekh Kr 
Dard Ki Shiddat Ka Andaza Hua Nazim
Kis Qadar Ankhon Se Hai Barsi Dard 
Komal Si Ek Larki
Lagta Hai Apno Ne 
Hain Kiye Us Pe Jadu Tone
Gum Sum Madhum Madhum 
Wehshat Zada Hai 
Komal Si Ek Larki
Us Ko Azad Karwana 
Apna Nam Dena 
Mera Ek Hi Maqsad Hai Nazim
Meri Nas Nas Mein Hai Samai 
Khusho Jesi 
Komal Si Ek Larki
( Nazim Ali )



Tuesday, August 27, 2013

Har roz bikhar jaate hain

Khuwab bhi shayad 
kaanch se kamzor hote hain,


Har roz bikhar jaate hain
faqat ek aankh ke khulne se...!

PHIR BANA MUJHE...!!!!

TU MUTMA'IN NAHIN, 
TO MUJHE KAB HAI AITRAAZ,
MITTI KO PHIR SE GOONDH MERI,
 PHIR BANA MUJHE...!!!!

aye kash kbi koi parh le ..!!

Oss'kii Aankhei'n
 ye Kehtii Phirtii Hai'n... 

kitna dard hai in mein 
aye kash kbi koi parh le ..!!

Urdu Ki Saari Mithaas Hai...!!!

Bole tu Baat Baat Se
 Jharte Hain Jaise Phool ...

Lehje Main Os Kay 
Urdu Ki Saari Mithaas Hai...!!!

INSHAA...

Torri jo us ny mujh sy...
to jorrriii Raqeeeeb sy.....

INSHAA...
to mery yaar k...
bs jorr torr daikhhh.....!

Tumhain taqseem krti hun ...

Jamaa TUm ho nhii skty....
mujhy Manfi sy naffrat hy.....
Tumhain taqseem krti hun ...
to haaasiL kuchhh nhiiii rehta.......

Ab Tak Is Safar Se Ni Nikale

Teri Mohabbat Ke Sumander Mein
 Uttare The Phir Oper Ni Nikale
Lakh Koshish Ki Hm Ne 
Pr Tere Ghum Se Bahar Ni Nikale
Nazaron Mein Tm Basse Ho 
Or Koi In Mein Basse Kese
Jadu Kr Diya Tm Ne 
Ab Kese Koi In Talismaat Se Nikale
Manzilein Boht Si Main Chor Aya Piche 
Or Ab Ni Hon Manzil Pe
Kesa Ye Jaduwai Safar Hai 
K Hm Ab Tak Is Safar Se Ni Nikale
Hm Garibon Pr Nazar Ho
 Kyun Kr Un Ki Nazim
 Jo Har Bat Ka Nafaa Dekhte Hain
 Wo Usi Weham Se Ni Nikale
( Nazim Ali )
 
 
 
 

Monday, August 26, 2013

Woh Ik Khushi

Hazaaaar Dukh Mein Bhi
 Mujhko Gillay Say Rokti hai..

Woh Ik Khushi Jo 
Mujhay Dastyaab Tum Say Hui...

Manzil W0hi T0 Thi..

Sh0q-E-Safar Kahan Se 
Kahan Le Geya Hamain,

Hum Jis K0 Ch0rr Aye
 Manzil W0hi T0 Thi..

Magar Be-Zubaan Bhi Nahin

Hota Hai Raaz-E-Ishq-O-Mohabbat, 
InHi Se Faa'sshh...!!!!

Ankhain Zuban Nahin Hain, 
Magar Be-Zubaan Bhi Nahin

مقام کس کا تھا


رہا نا دل میں وہ بے -
 درد اور ........درد رہا

مقیم کون ہوا ہے مقام کس کا تھا

Saans Lena Bhi ___

Hasher Bar'Haq sahe mager
Mohsin
Saans Lena Bhi ___ 
Ik Qayamat hai

نادانی نہیں جاتی


محبت بھی کیے جاتے ہیں پچھتاتے بھی جاتے ہیں

زمانے بھر کے داناؤں کی نادانی نہیں جاتی

Wo kehta hai k.

Wo kehta hai k...
main uski zaroorat ban chuka hoon,

To goya wo muje 
Hasb-E-Zaroorat chahta hai....???

Dhoonda Karein Ge Log

Ab Zindagi Ke Safar Mein
 Dhoonda Karein Ge Log,
Tanha Howe Hein Itne Ke_____
Nayaab Ho Gaye....!!

اِک مصیبت ہے


اور تو کیا ہے حُسن کچھ بھی نہیں

خوبصورت سی اِک مصیبت ہے..!!

تنہائی


انکو ناموس بھی , عزت بھی, پذیرائی بھی
مجھ کو رونے کومیسّر نہیں تنہائی بھی

اپنے ہی حال پہ ہنسنا کبھی ہنس کے رونا
میں بیک وقت تماشا بھی تماشائی بھی

Phir Moat....!!

Anjaam-e-Ishq Sunata Hoon,
Tawajjo Se Suniye..!!

Majbooriyan,
Ruswaiyan,
Tanhaiyan,
Phir Moat....!!

مفت احسان نہ لینا


مفت احسان نہ لینا محسن

دل ابھی اور بھی سستے ہونگے

ہم نے سر پر چڑھا لیا دل کو


لوگ سینے میں قید رکھتے ہیں

ہم نے سر پر چڑھا لیا دل کو

غور کرنے پہ یاد آتی ہے


کیا ستم ہے کہ اب تری صورت
 
غور کرنے پہ یاد آتی ہے

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA....!!!

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA
TO YE B LIKHNA
UDAAS AANKHEN,
SHAHAAB,TAARE BADAL GAYE HAIN,

WO ZINDA LAMHE 
JO TERI RAAHON MAIN
 TERE AANEY K MUNTAZIR THAY
WO THAKK K SAAYON MAIN DHAL GAYE HAIN

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA
 TO YE B LIKHNA

WO TERI AANKHEN,KHYAL TERE,
WO RANJ TERE,MALAL TERE,
WO TM SE MERE TMAM RISHTE
BICHAR GAYE HAIN,UJAR GAYE HAIN

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA
TO YE B LIKHNA

LARZTEY HONTON PE 
LARKHRATI DUA K SOORAJ PIGHAL GAYE HAIN

“TMAM SAPNEY HI JALL GAYE HAIN”

UDASIYON KA SBAB JO LIKHNA....!!!





zindagi kam hoti jati hai ...

Wohi meh-khana-o-sahaba
Wohi sagar
Wohi sheesha
Mgr aawaz-e-nosha'nosh 
maddham hoti jati hai

Wohi hai zindagi lekin
'JAANAAA ye haal hai apna
Ke jese zindagi se zindagi
kam hoti jati hai ...!!










Kamal Ka Mousam ..

Friaq-e-Yaar Ki Barish Malal Ka Mousam

Hamrey Shehar Mai Utra Kamal Ka Mousam ..

Saza ko mukhtasar kar de....♥♥♥

Ussay kehna...!!!!
Nazar Aa kar..
Saza ko mukhtasar kar de....♥♥♥

Hua Hai Wo Agar Munsif

Hua Hai Wo Agar Munsif,

To Ahtiyatan Hum,

Saza Tasleem Karty Hain
 Kisi ilzam Say Pehly...!!

Saturday, August 24, 2013

Tere Mashware Ke Khuloos Per

Wo Nazar Se Door To Hai Magar
Yeh Ajeeb Soorat E Haal Hai
Hamma Waqt Pesh E Nazar Bhi Hai
Na Firaq Hai Na Wisal Hai
Yeh Tumhari Talkh Nawaiyan
Koi Aur Seh Ke Dikha To De

Yeh Jo Tujh Mein Mujh Mein Nibha Hai
Mere Housle Ka Kamal Hai
Jo Guzer Rehi Hai Guzar Lo
Na Bura Kaho Na Gila Karo
Jo Tumhara Haal Hai Dosto
Wohi Sare Sheher Ka Haal Hai

Aur Tere Mashware Ke Khuloos Per
Mujhe Tark E Ishq Qabool Hai
Magar Aik Baat Hai Hum Nasheen
meri Zindagi Ka Sawal Hai
 
 

guman bacha k rakh diya

woh zindagi sey kia gaya,
 dhua'an urra k rakh diya
makaan k sutoon ney 

makaan gira k rakh diya

woh rah sey chala gaya

 tou raah morr ban gayee
meray safar ney rasta 

kahan chupa k rakh diya

kisi diye ki tarz sey 

guzar rahi hai zindagi
yahan jala k rakh diya, 

wahan bhuja k rakh diya

wajood ki bisaat per 

bari ajeeb maat thi
yaqeen luta k aa gaye, 

guman bacha k rakh diya


اک عمر تری تلاش کے بعد . .


اک عمر تری تلاش کے بعد . .

میں ہوں ، مری عمر رائیگاں ہے . . !

ﻣﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ،ﻣﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ


ﮨﻮﻧﺎ ﺗﻮ ﻭﮨﯽ ﮨﮯ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ جو ﻣﻘﺪﺭ ﻣﯿﮟ ﻟﮑﮭﺎ ﮨﮯ

ﻟﯿﮑﻦ ﻭﮦ ﻣﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ، ﻣﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ،ﻣﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ

Teri Aankhien Mery Khuwabon Se

Wohi Wehshat, Wohi Hairat,
 Wohi Tanhai Hai 'Mohsin',

Teri Aankhien Mery Khuwabon Se 
Kitni Milti Julti Hain …♥

یونہی آوارگی نہیں آتی۔۔


پاؤں میں چھید کرنے پڑ تے ہیں۔

یونہی آوارگی نہیں آتی۔۔

بالآخر مر گیا کوئی


اُسے اتنا بتا دینا کسی کی زندگی تم تھے

اُسے یہ بھی بتا دینا __ بالآخر مر گیا کوئی

اسے کہنا مکمل کچھ نہيں ہوتا


اسے کہنا مکمل کچھ نہيں ہوتا ،
ملن بھي نا مکمل ہے ،
جدائي بھي ادھوري ہے
يہاں بس موت پوري ہے
اسے کہنا ،
اُداسي جب رگوں ميں خون کي مانند ،
اترتي ہے بہت نقصان کرتي ہے ،
اسے کہنا
پرندوں کي جدائي پہ شجر جب ،
بين کرتے ہيں بہت بيچين کرتے ہيں ،
اسے کہنا
بساط عشق پہ جب مات ہوتي ہے ،
دکھوں کے شہر ميں تب رات ہوتي ہے ،
مکمل بس خدا کي ذات ہوتي ہے

samandar nhi dekha kartay...

Mujh ko paana hy to phir 
mujh mein utar ker dekho...,

Yoon kinaray se
 samandar nhi dekha kartay...

hawa na dey...


Wo tarrap jo shula-e-jaan mein thi
Merey tan badan sey lipppat gaye

Jo bujha sakey... to buja isey..
Na bujha sakey to hawa na dey...

Mai aam sa hamesha hun

Mai khud ko baich dun phr bhi, 
mai tujh ko paa nahe sakta,
Mai aam sa hamesha hun, 
tu khaas sa musalsal hy. .

Khata kaaron ki qismat ma 
jannat hua nahe karti,
Mai khataa-kaar azal se hun, 
tu parsaa musalsal hy. . !!

خواب سارے ، خیال سارے


خواب سارے ، خیال سارے

خواب سارے،
خیال سارے،
حقیقتوں کا لبادہ اوڑھے،
تمھاری ہستی سنوار جائیں

یہ چاند سورج،
یہ سارے تارے،
چراغ جتنے بھی جل رہے ہیں،
تمھارے چہرے کے رنگ دیکھیں تو ہار جائیں

یہ بہتی ندیا،
یہ چڑھتے دریا،
یہ گہرا ساگر،
یہ جھیل جھرنے،
یہ آبشاریں،
یہ اپنا جیون تمھاری آنکھوں پہ وار جائیں

یہ رنگ ، خوشبو
گلاب سارے،
محبتوں کے نصاب سارے،
سبھی تمھاری بلائیں لے لیں،
نظر تمھاری اتار جائیں۔
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...