Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, July 31, 2013

دھیرے دھیرے جی اُٹھنا


یکدم مرنا
دھیرے دھیرے جی اُٹھنا
جی اُٹھنا اور اپنے کانپتے ھاتھوں سے
اپنے ھی دروازے پر دستک دینا
بوجھل آنکھ سے دروازے پر
اپنے نام کی تختی پڑھنا
پھر کچھ سوچ کے اپنے ڈولتے قدموں سے
اور کِسی دروازے کی جانب بڑھنا
پھر کچھ سوچ کے رُک جانا
کیسا انوکھا کھیل ھمارے ھاتھ لگا ھے
یکدم مرنا
دھیرے دھیرے جی اُٹھنا



Janta Hai Koi Kya

Raat Ki Tanhayi Mein

 Un Aahaton Ki Kashmakash,

Kaisi Ajeeb Hoti Hai 

In Karwaton Ki Kashmakash,

Har AnjuMan Adhura Hai, 

Har Mehfil Akeli Hai,

Deedar Ko Tarasti,

In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi

 Zinda Lashon Ke Liye,

Yehi Hai Sisakte Sunkate

 Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka

 Karwan Ho Jaise Koi,

Yun Meri Peshani Pe 

Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne

 Dekhe Honge Sadkon Par,

Janta Hai Koi Kya, 

JaM Ghaton Ki Kashmakash...

Yaadain Bhi Samandar Hain..

Sochtay Hain Us ko

To Doobtey Hi Chalay Jatay Hain

Aankhain Hi Nahi 

Us ki Yaadain Bhi Samandar Hain.. 



اور بکھرتے بھی نہی


کتنے مجبور ہيں ہم اپنی انا کے ھاتھوں

کہ ریزہ ریزہ بھی ہوے اور بکھرتے بھی نہی





Tuesday, July 30, 2013

Tere Siva .. Tere Siva !!

Tere Siva

Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva?!!!
Mere Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Atta Kare
Mere Jaan To Yaqeen To Kar
Mujhe Mangana Tuna Aa Saka
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi

Tere Siva .. Tere Siva !!



Jaise Pehle Kabhi Dekha Hi Nahi

Aise Na Dekho
Aise Na Dekho
Jaise Pehle Kabhi Dekha Hi Nahi
Jaise Pehle Kabhi Dekha Hi Nahi
Aise Na Dekho
Aise Na Dekho

Mujhe Kuch Bhi Nahin Chaahiye Tum Se
Na Dilaasa, Na Bharosa
Na Wah Wah, Na Humdardi
Na Sapna, Na Sahulat
Aise Na Dekho
Aise Na Dekho

Main Unn Logon Ka Geet
Jo Geet Nahin Sunte
Patjhar Ka Pehla Patta
Registaan Mein Khoya Aansu
Yaa Main Guzra Waqt Nahin Milunga
Nahin Milunga Ye Sach, Ye Sach!

Aise Na Dekho
Aise Na Dekho
Jaise Pehle Kabhi Dekha Hi Nahi
Jaise Pehle Kabhi Dekha Hi Nahi
Aise Na Dekho, Aise Na Dekho





Humein Baat Banani Aayi


Thehri Thehri Hi

 Tabiyat Mein Rawani Aayi




Aaj Phir Yaad 

Muhabbat Ki Kahani Aayi




Aaj Phir Neend Ko 

Aankho'n Se Bichartay Dekha


Aaj Phir Yaad

 Koi Choutt Purani Aayi




Muddato'n Baad 

Chala Un Pay Hamara Jadu


Muddato'n Baad 

Humein Baat Banani Aayi




Muddato'n Baad 

Pashemaa'n Hua Dariya Hum Par


Muddato'n Baad 

Humein Piyaas Chupani Aayi




Muddato'n Baad 

Khuli Wus'at-e-Sehra Hum Par



Muddato'n Baad 

Humein Khaak Urrani Aayi




Muddato'n Baad 

Muyassar Hua Maa ka Aanchal



Muddato'n Baad 

Humein Neend Suhani Aayi





Itni Aasani Se 

Milti Nahi Fun Ki Dolat



Dhal Gyi Umr Tou 

Ghazalo'n Par Jawani Aayi.






Ek Shakhs Meri Zaat Pe


Utra Nahi Hai Dil Se Wo 


Koshish Ke Bawajood,


Ek Shakhs Meri Zaat Pe


 Bhaari Hai Is Tarah.



Hosla

Is qadr qurb k baad aisey juda ho jaana....

Koi kam housla insaan'n ho to mar bhi jaye..!!






Monday, July 29, 2013

keh diya k BAS...!

Shab bhar teray mareez ki
 haalat yehi rahi...

Jis ne bhi nabz pe hath rakha, 
keh diya k BASS...!




Mgr thehr0

Tumhen mjh k0 satana he
Chal0 g bhar k tang kr l0
K ye Bach0n ki adat he
Khil0ny hath me h0n t0
Zara b dm nahi lete..
Mgr thehr0
Kbi aisa b h0ta hy
Isy b zehn me rkhna
Zara si be dheyani me
Zara si be khayali me
Inhen ziada sata0 t0
Ye aksar r00th jaty hain...
Khil0ney t00t jaty hain....!

Friday, July 26, 2013

use milne ka Irada kar loon

Kyun Na phir se

 use milne ka Irada kar loon,

Zakhm ye sadiyon purana 

tar-o-taza kar loon,

Phir se kehdun usse

 k tum meri Iqeedat ho,

Phir se guzri mohabbaton 

ka Eyada kar loon,

Sonp don ab ye apni

 shokh taiyat us ko

Sochta hon k khud ko

 is qadar saada kr loon

Ya usey paa ke bhula doon 

main dard-o-gham apne,

Ya uski yaadon ka gham 

or bhi zyada kar loon,

Wo to har kasam 

hans ke tod jaatii hai

Phir naya kis tarah 

us se koi waada kar loon.





Ay dil-e-tanha mere


یوں تو کہنے کو بہت لوگ شناسا میرے
کہاں لے جاؤں تجھے اے دلِ تنہا میرے

Yun to kehney ko bht log shanaasa mere
Kahan le jaun tujhey Ay dil-e-tanha mere




Teri baat lagti he wehm si

Me hun tujh ko jaan se azeez tar, 
me ye kese maan lun humsafar??

Teri baat lagti he wehm si, 
terey lafz lagtey hen khuwaab se....!!

Tumhra kon banta hai

Bina Phal k darakhton ko 
yahan pe kaata jata he
Kisi bhi be-sahara ka sahara 
kon banta hai...?

Chalo phir Aazma lo
 Tum sab hi apne... parayon ko
Tumhare dard me dekhen 
Tumhara kon banta he..!!

Thursday, July 25, 2013

Udaas batain

Udaas dil ki,

 Udaas batain

samajhnay wala, 

Koi to hota......

Main Tujhse Kesey Kahun

Main Tujhse Kesey Kahun

 Yaar-e-Meherban Merey

Ke Tu Ilaaj nahi...

 Meri Har Udaasi Ka...!!

Mujhe Kaghaz Ki Wo Kashti

Jisey Barish Ke Pani Main 

Baha Ker Muskuratay They...

Mujhe Kaghaz Ki Wo Kashti

 Zara Phir Se Bana Dena...!!

Wednesday, July 24, 2013

Maat Gehri Thi..!!

Bataao Dil Ki Baazi Mein,
 Bhala Kya Baat Gehri Thi.......?
Kaha.. 
Yun To Sabhi Kuch Theek Tha Par, 
Maat Gehri Thi..!!






phisalte kyun hain ...??

Morr hota he javaani ka 
sambhalne ke liye...

Aur sab log yahi aa ke 
phisalte kyun hain ...??

Wahaan Bas Dard Ugnay Hain

Mujhay Ehl-e-Mohabbat Se
Faqat Itna Hi Kehna Hai
Ke Banjar Dil Ki Kheyti Mein
Koi Bhi Beej Daalo Ge
To Fasl-e-Gham He Kaato Ge.....
Wahaan Bas Dard Ugnay Hain
Wafaa Ki Khush-Numa Chirriyon!

Tumhain Bas Dard Chugnay Hain...!!



m0habbat Muntazir h0gi...!!!

Hameyn Tum Bho0l Jaao Ge, 

Hameyn Malo0m Hai Lekin...

Palat Ker Jab Bhi Aa0 Ge 

m0habbat Muntazir h0gi...!!!

daava wafa ka tha...!!


Majburiyon k naam pe 

daaman bacha gaye..


Vo log jin ko ishq me

 daava wafa ka tha...!!

tadfeen karni he...!

Koi kandha muyassar ho, 

koi to saath de mera...

Mujhy tootey hue ek khuwab ki 

tadfeen karni he...!

Aur muskuranay ka

Ik taraf judai ka 
tazkira bhi jaari hai...

Aur muskuranay ka 

mashwara bhi detay ho..!!

safar k liye bahana tha..

Thakan to agley safar
 k liye bahana tha..

Usey to yun bhi 
kisi aur simt jana tha...


wohi firaq ki baaten 
wohi hikayat-e-wasl..
Nai kitaab ka ek ek
 warq purana tha.....!! 



Hairat Hai


Hairat Hai Ke Taleem-o-Taraq'qi Main 


Hai Peeche


Jis Qaum Ka Aagaz Hi 


"IQRA" Se Hua Hai..........!!

Saturday, July 20, 2013

jo bikta mera naseeb..!

Dunya mein koi 
uska khareedar hi nahin ...

Mein beychta zaroor, 
jo bikta mera naseeb..!




Toota hai jab se

Toota hai jab se 
us ki maseehai ka talisam...

Dil ko kisi maseeha ki 
haajat nahi rahi...!!

Uski Aadat Hai

Uski Aadat Hai Roothna Mohsin...

Log Be-Waja Iztaraab Mein Hain..!

Jo meri talab, Meri aas they

Jinheyn kar saka na qubool me, 
vo shareek raah-e-safar hue..

Jo meri talab, Meri aas they 
vohi log mujh se bichhar gaye...!



Main To Nahi Tha...

Ghafil Teri Yaadon Se 
Hua Main To Nahi Tha...
Tu Tha Hi Juda,
 Tujh Se Juda Main To Nahi Tha..

Ja Tu Meri Guftaar Ke
 Qabil Hi Nahi Hai...
Ye Lafz Kabhi Keh Ke 
Gaya Main To Nahi Tha..!!




Bikhar Jayen Hum To Kya ?

Zinda Rahen To Kya Hai 
Jo Mar Jayen Hum To Kya, 
Duniya Mein Khamoshi Se
 Guzar Jayen Hum To Kya, 

Hasti Hi Apni Kya Hai 
Zamaane Ke Saamne...,
Ek Khwab Hen Jahaan Me 
Bikhar Jayen Hum To Kya  ?



Us ki aankhon mein chamak thi

Aaj gum sum hai 
jo barbaad jazeeron jesi,
Us ki aankhon mein chamak thi 
kabhi heeron jesi.

Kitney maghroor
 pahaaron k badan chaak hue,
Taiz kirnon ki jo baarish hui 
teeron jesi...

Jis ki yaadon se 
khayalon k khazaaney dekhey,
Uski soorat b lagi 
aaj faqeeron jesi...

Chahaten lab pe, 
Machalti hui larki ki tarah,
Hasratain aankh me, 
zindaan k aseeron jesi.

Hum ana parast, 
Tang dast bohat hain M0hsin..
Yeh alag baat k, 
aadat hai ameeron jesi...!



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...