Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 13, 2013

Us Ko Manaaon Kis Tarah

Iltajayen Us Ki Phir Khatir Mein Laaon Kis Tarah,
Be’sabab Rothaa Hua Hoon Maan Jaaon Kis Tarah,

Jis Ko Aankhen Chahti Hain Mangta Hai Dil Usey,
Kese Dhoka Doon Unhe, Us Ko Manaaon Kis Tarah,

Ajnabi Sa Aashnaa Tha Naam Tak Poocha Nahin,
Main Ne Maana Laut Aaye Ga, Bulaaon Kis Tarah,

Hum Agar Yak Jaan Do’qaalib Hain Phir Tu Hi Bata,
Rooth Jaye Tu Agar, Khud Ko Manaaon Kis Tarah,

Dekh Ker Sotey Mmain Us Ko Pyaar Aata Hai Mujhe,
Main Bhala Soyi Huyi Qismat Kop Jagaaon Kis Tarah,

Woh Kabhi Rothaa Hai Na Main Ne Manaya Hai Usey,
Aaj Kyon Rothaa Hai Woh, Us Ko Manaaon Kis Tarah,

Manta Hai Jo Meri Har Baat, Har Zid, Har Lagan,
Us Wafaa Paikar Se Saaqi, Rooth Jaaon Kis Tarah..




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...