Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 6, 2013

main utri nadi main kia utron.

Charagh le k tere shehar se
 guzarna he.
Ye tajarba bhi humen
 aik bar karna he.

Main wo pahar hon jo
 kat raha hon pani se.
Ye dil nhi he 
mere ansuon ka jharna he.

Mere aziz 
main utri nadi main kia utron.
Mujhe charhe hoye 
darya ko paar karna he.

Bht jadeed hon lekin 
ye mera wirsa he.
Usi qadeem gali se
 mujhe guzarna he.

Tumhen khabar nhi 
suraj bhi aks he mera.
Tamam din ka mujhe 
intizam karna he.

Wo aik shakhs k jis ko 
ghazal bhi kehte hen.
Usi k nam se jeena,
 usi se marna he.





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...