Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 12, 2013

Khud Ko Jalana Chahta Hon

Ajeeb Banda Hon Khud Ko Jalana Chahta Hon
Main Khud Ko Rakh Kar Kahin Bhol Jana Chahta Hon

Mere Naseeb Ki Khushiyan Bhi Kab Mili Mujh Ko
Bas Ab To Umr Bhar Ansoo Bahana Chahta Hon

Najanay Kitni Mohabbat Hai Ranj-O-Ghum Se Mujhe
Koi Bhi Dard Ho Dil Main Chupana Chahta Hon

Baha Baha Ke Ye Ansoo Bikhar Chuka Hon Bahut
Simat Ke Zaat Main Ab Muskurana Chahta Hon

Jise Ik Umar main ne Dil Main Chupa Ke Rakha Hai
Wo Raz Aaj Main Sab Ko Batana Chahta Hon

Wahi Hay Yaad Jo Acha Kaha Hai Logon Ne
Main Baqi Sare Sitam Bhool Jana Chahta Hon

Mujhe Zamanay Ne Pathar Samjh Lia Hai Magar
Mai Ik Insan Hon Sab Ko Batana Chahta Hon

Jo Mujh Se Rothh Chuki Hain Zamane Ki Khushiyan
Main Bhi Ab Us Khushi Se Rothh Jana Chahta Hon

Koi To Ho Jo Lagae Mujhe Bhi Seene Se
Kisi Ko Mai Bhi Sare Ghum Sunana Chahta Hon

Tu Apne Dil Ke Har Ik Dar Ko Khol De Nadaan
Mai Dard Ban Ke Tere Dil Mai Aana Chahta Hon



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...