Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 24, 2013

guman bacha k rakh diya

woh zindagi sey kia gaya,
 dhua'an urra k rakh diya
makaan k sutoon ney 

makaan gira k rakh diya

woh rah sey chala gaya

 tou raah morr ban gayee
meray safar ney rasta 

kahan chupa k rakh diya

kisi diye ki tarz sey 

guzar rahi hai zindagi
yahan jala k rakh diya, 

wahan bhuja k rakh diya

wajood ki bisaat per 

bari ajeeb maat thi
yaqeen luta k aa gaye, 

guman bacha k rakh diya


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...