Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, August 28, 2013

Dashat-e-Hijran

Dashat-e-Hijran may na saya na sada tery baad
Kitnay tanha hain teray aabla-paa teray baad...

Lab py ek harf-e-talab tha, Na rha teray baad
Dil main taseer ki khahish na dua teray baad...

Payrhan apna salamat, na quba teray baad
Bus whi hum whi sehra ki rida teray baad...

Tujh say bichra hun tu murjha k hawa-burd hua
Kon dyta hai mujhy khilnay ki dua teray baad...

Tu keh simta tu rag-e-jaan ki haddoon tak simta
Main keh bikhra tu samita na gaya teray baad...

Yeh alag baat keh afshan na hua tu warna
Main nay kitna tujhy mehsoos kiya teray baad...

Meri dukhti hui aankhon say gawahi lyna
Main nay socha tujhy apnay say siwa tery baad...

Seh liya dil nay tujh say ezn-e-judai ka azab
Warna chubhti hai rag-e-jaan main hawa tery baad...

O janay walay!!! mera hasil-e-mubhaam yeh hai
Jeenay ka hunar bhool gya hun mri jaan tery baad...


 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...