Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 17, 2013

Umar Bhar Rotay Rahay…!


Uski Judayi Per Hum Raat Bhar Rotay Rahay,
Uski Yaad Aayi To Har Baat Per Rotay Rahay,

Ek Lamhay Ko Mil Kar Bicharr Gaya Umar Bhar K Liye,
Us Shaks Ko Soch Kar Jaanay Kab Tak Rotay Rahay,

Chand Ru-Ba-Ru Bethay The Hum Jaanay Kab Se,
Kabhi Sar Jhuka Kar, Daman Mein Munh Chupa Kar Rotay Rahay,

Aate Nahi Hain Laut Kar Log Jaane Waalay,
Yeh Baat Samjhatay Samjhatay Dil Ko Hum Rotay Rahay,

Us Shaks K Chalay Jaanay Say Kitnay Mere Khawab Tootay,
Un Kirchiyon Samettay Rahay Aur Yunhi Rotay Rahay,

Samajh Na Saka Woh Mere Khuloos Ko "Mohsin",
Hum Ek Issi Baat Per Umar Bhar Rotay Rahay…!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...