Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 17, 2013

Kuch Sawaali Barray Khud-Daar Howa Kartay Hain


Marhalay Shoq K Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah Ki Dewaar Howa Kartay Hain

Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-Gaar Howa Kartay Hain

Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-Daar Howa Kartay Hain

Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un K Seenay Mein Bhi Shaah-Kaar Howa Kartay Hain

Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron K Azadaar Howa Kartay Hain

Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain

Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani K Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain...!





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...