Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, April 15, 2013

dil mein samaaney key liye aa !


Gazaloun key saath, dil mein samaaney key liye aa!

Apney liye na aa, to, zamaaney key liye aa!!

Ab, kab baheygee teyrey laboun sey may-e-sukhan?

Aa, adbee maykadey mein, pilaaney key liye aa!

Dahashat pasand ho gaye hain hukmraan bhi:

Aa, fir sey hukm-e-jabra hataaney key liye aa!

Teyrey ashaar, zehn-o-jigar mein hain itrayeiz!

Aa, fir sey arsh-e-bazm mein chhaaney key liye aa!!

Roothee huyee bahaar yeh, yoon hi na chalee jaay?

Nagmain sunaa-sunaa key, manaaney key liye aa!

Hooroun key pahaluoun mein, mat ho yoon bey-adab!

Kab lout key aayegaa? Bataaney key liye aa!!

Dukhtey diloun ko chhorh kar, tabeeb, yoon na jaa!

Pahloo mein, eik baar, bithaaney key liye aa!!

Aayegee naheen neend hamain ab teyrey bagair:

Aa, chain sey yaaroun ko sulaaney key liye, aa!

Maaneygaa naheen? Theek hai: marzee hai kisee kee?

Jaanaa hai? To aa: lout key jaaney key liye, aa!!

Us ghar mein bahut rah chukaa hai; ab to yahaan aa!

Hindostaan bulaataa hai, aaney key liye! Aa!!

Kousar mein dubakiyaan lagaa chukaa hai too bahut:

Aa lout key, gangaa mein nahaaney key liye aa!

Ab, dard-e-dil ki nazm, ‘abd’, koun gaayegaa?

Fir sey, suroun key saaz sajaaney key liye, aa!’

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...