Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, July 31, 2012

When I close my eyes

When I close my eyes, I see you..
When I open my eyes, I want yo see you..

I can see you in the dark, or when you are not there..
You have such a power that I see you everywhere..
...
I will be yours forever till I last..
You are my life, I want you to be my future, present and even the Past!!


Mujhe Bholao Gay Nahin

Mujh Se Wada Karo Mujhe Rulao Gay Nahin
Halaat Jo Bhi Ho Mujhe Bholao Gay
Nahin

Chhupa Ke Apni Ankhon Mien Rakho Gay Mujhe

Dunia Mien Kisi Or Ko Dikhao Gay
Nahin

Mere Lafaz Mere Dil Ki Tehririen Hien
Qasam Uthao Ke Inko Jalao Gau
Nahin

Mujhe Yeh Yaqeen Dilao Ke Mujhe Yaad Rakho Gay
Meri Yadoon Ko Apny Dil Se Mitao Gay
Nahin


 

teri chah main had say guzar jaon ga ek din

teri chah main had say guzar jaon ga ek din
piyar hota hai kia yeh dikhaon ga ek din
teri sang-dili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaon ga ek din
apni sari chahtain tujh pay war kay
piyar karna tujhay bhee sikhaon ga ek din
jee na pao gay tum bhi ho kay juda mujh say
aisa piyar tujh say kar jaon ga ek din
andhairon main hi dhoondhta reh jaO gi mujh ko
aisi bay rukhi dikhlaon ga Ek din
kho kay mujh ko pachtao gay bohat sanam tum
wafa aisi tum say kar jaon ga ek din
aisi deewangi say chahon ga tujhay
bhool jao gay tum bhi sara jahan ek din
jaan teri bhi labon pay aa jay gi
ban kay khak jab matti main mil jaon ga ek din




Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo,
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,

Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo,

Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,

Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se,
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,

Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon,
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,

Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera,
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo

 

Monday, July 30, 2012

phir kitna hua hai asar puchte hain

Ek lamhe me unhone zindagi sawar di,
Doosre lamhe me unhone zindagi ujad di,
Kusoor unka nahi hamara hai
un do lamho mein hamne zindagi guzar di.
saza dene wale raza puchte hain,
jeene ki humse wajah puchte hain,
dete hain khud he zahar humko aakar,
phir kitna hua hai asar puchte hain,

Tere bina hum jeena

Tere bina hum jeena bhool jate hain,
Zakhmon ko seena bhool jate hain,

Tu zindagi mein sub se azeez hai hamain,

Tujhse her baar yeh kehna bhool jaatay hain

Apne ashkon ko khud se

Apne ashkon ko khud se chupaa kar rona,
Jub bhi rona chiraaghon ko bhujaa kar rona,
Loag perh lete hain chehre pe likhi tehreerain,
Kitna mushkil ha logon se chupaa kar rona,
Apni barbaadi ka hum khud sabab hain yaaro,
Ab kis se gilaa karain kis ko sunaa kar rona,
Woh tanhaayi main bohat roya tha NAASIR,
Main ne chaaha tha jise seenay se lagaa kar rona

Sirf Tum

Sirf Tum
Meray Kowab
Meray Khyal May
Meray Sawal
Meary Jawab May
Meray Khowhis-E-Raqsay Badan May Tum
Meary Ishaq Kay Jaanoono Ki Raftar May
Meri Karwat Badal Badal Tamam Rato May
Meri Tanha Gun-Gunati Soocho May
In Sham Or In Dareecho May
Meary Bhtakay Hoay Lums Kay Khumar May
Meray Bechan Honto Ki Mithas May
Meri Koorbato Ki Thandi Ass May
Tum Basay Hoay Ho Meri Sans May
Meri Rohh Meri Mohbat-E-Kahmoosh May
Han Jidhar Jidhar Han May Jaon Jidhar
May Rahon Tumaray He Hissaar May
My Hon Ab Is Kadar Bechan K
Chon Kehana Jo Na Keh Ski Kai Bar May
Mery Dil Kay Aagun May Ao To
Orr Barso Is Terhan Kay Swanwar Jao May
Ho Tum Is Kadar Maery Liay Motabar
K Tariki-E-Shab May Tumharay Lia Bikhar Joa May
Meri Znidagi Meri Hayat Tum
Meri Jinnay Ki Ek Waja He Tum
Mera Mazi Mera Hall Tum
Meri Bechan Shamo Ka Qarar Tum
Meri Har Nazam Ka Unwan Tum
Meri Har Tarp, Meri Har Adda
May Saiqi-E-Dil ,Tum, Par War Do
Par Kya Karo
Han May Kya Kaaro
Kay Dil Hoa Ya Sooch K Udas Hay
Meri Mahwar-E-Zindagi Ho Tum
Par...Akhir Q
Meri Dastras Say Ho Bahar Tum








Mujhe Gun'GUNANE ki zidd Na Kr

Teri Ghazal to Nhi hon mein, Jo Hr Lub Pe Saji Rahon.


Mein To Ek Misra-E-Dard Hon, Mujhe Gun'GUNANE ki zidd Na Kr.

 

Nahi Milti , Nahi Milti

TuM Bhi Niklay Ho , Wafa Ki Talash
Main . . . .???
Yakeen Mano , Nahi Milti , Nahi Milti
Nahi Milti ...!



Saturday, July 28, 2012

Andaz Tumhare Jesa Tha

Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par ~
Mehsus Hua Tum Aaye Ho, Andaaz Tumhare Jesa Tha ~

Hawa K Halke Jhonke Ki Jb Aahat Payee Khirki Pr ~

Mehsus Hua Tum Guzre Ho, Ehsaas Tumhare Jesa Tha ~

Mein Ne Girti Boondon Ko Rokna Chaha Haathon Pr ~
Aik Sard Sa Phir Ehsaas Howa, Wo Lams Tumhare Jesa Tha ~

Tanha Main Chala Phir Barish Me, Tab Ek Jhonke Ne Saath Diya ~
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Wo Saath Tumhare Jesa Tha ~

Phir Ruk Gai Wo Barish Bhi Rahi Na Baqi Ahat Bhi ~
Main Samjha Mujhe Tum Chorr Gaye, Andaz Tumhare Jesa Tha

 

Saturday, July 21, 2012

Raat Din Hijar Ki Wehshat

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw?wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai??!!!!

Mera Sawan Bhi Tum Hoo

Mera Sawan Bhi Tum Hoo
Meri Pyaas Bhi Tum Hoo ..!
Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!

Tum Yun Tou Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..!

Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Kho Jao Tou Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..!
Mil Jao Tou Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

LikhtA Hon Tou Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..!
Parhta Hon Tou Lehja Bhi Tum Awaz Bhi Tum Hoo
 
 

Mujhay Tum Kyun Statay Ho.

Abhi Tum Beth Jao Na..
Bohat Si Baat Baqi Hai..
Mere Halaat Baqi Hain..
Abhi Jazbaat Baqi Hain..

Mujhay Tum Kyun Statay Ho..??
Mujhay Itna Rulatay Ho..
Mujhay Tum SE Muhabbat Hai..
Mujhay Kyun Aazmatay Ho..??

Tumhi Ko Yaad Krtay Hain..
Tumhi Se Pyar Krtay Hain..
Meri To Zindgi Tum Ho..
Samjh Tum Kyun Na Patay Ho..??

Mujhay Tum Yaad Aatay Ho..
Meri To Hr Khushi Tum Se..
Meri To Zindgi Tum Se..
Meri Hr Aarzoo Tum Se..
Mujhay Tum Kyun Statay Ho.
 
 

Kuch khas ho tum …

Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu?... Kuch khas ho tum …

Tapti dhoop main thandi chaw ho tum,
Kanton bhari raah main phoolon ki chadar ho tum….
Mere dil ki sabse pyari dua ho tum,
Phir kaise na kahu?... Kuch khas ho tum …

Bekarar dil ka karar ho tum,
Mile dard main bhi rahat wo rahat ho tum….
Mere rag rag main base ho tum,
Phir kaise na kahu?... Kuch khas ho tum …

Meri rooh tak pahuch gayee ho tum,
Kuch aise mujhme samaa Gaye ho tum…
Ab to mere aks main bhi najar aate ho tum,
Phir kaise na kahu?... Kuch khas ho tum …

Meri har soch main ho tum,
Har pal mere aas paas ho tum….
Tanahai main bhi bankar saya sath ho tum,
Phir kaise na kahu?... Kuch khas ho tum …
 
 

Zakhm Muskurate Hen

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Tere Hijr Me Hum Per I Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Abhi Is traf na Nigah kr

Abhi Is traf na Nigah kr,
Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,,
Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utar lun ,,
Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,
Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,,
Agar Aasma’n ki Numaishon me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,
To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,,

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!
Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!
Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!
Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,
Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!
Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!

Zamane Se Judaa Lagte Ho

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho
Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho
Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho
Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho
Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho
Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho

Tery Naam K Sath…

Mery Nazdeek Aa K Dekh Mery Ahsas Ki Shiddat

Mera Dil Kitna Dharakta Hy Sirf Tery Naam K Sath…

Jee Karta hai..!!

Hain Hont us ke Kitabon mein likhi Tehriron jase,

Ungli Rakho To Aagy Parhny ko Jee Karta hai..!!

Tum Chaand Sitaara Lagte Ho..

Tum Subah Ka Taara Lagte Ho,
Ik Noor Ka Dhaara Lagte Ho,
Yeh Phool, Ciraag Kahan Tum Se,
Tum Chaand Sitaara Lagte Ho..

dhoond rahe hain

Ikk shakhs ne manga tha kbhi hum ko dua me Mohsin

uss shakhs ko ab tak Ba’Khuda dhoond rahe hain

Friday, July 20, 2012

‘Dawa’ kesi ‘Dua’ kesi........!!

Tabeebon Sy kiya Pochon Ilaaj-e-Dard-e-Dil Mohsin…

Marz jab Zindagi khud ho to ‘Dawa’ kesi ‘Dua’ kesi!!!!!

Meri Rooh Ki Haqeeqat

Meri Rooh Ki Haqeeqat Mere Aansu`on Se Poocho

Mera Majlisi Tabassum Mera Tarjumaan Nahi Hai

tery Qabil nahi rahe..

Ja aur koi Zabt ki Duniya talash kar

Aye Ishq hm to ab tery Qabil nahi rahe..

Ramzan k roze rekhOn


wazeefa

Assalam-O-Alaikum!
Mah-e-Shaban ul Muazzam ka wazeefa 
manderja zail hai mulahiza frmaea.

DAILY 1200 TIMES RECITE
 "Subhanallah-e-wabhamdihi astaghfirullah wa atobo illeh" 
ANY TIME & MAKE
PRAY FROM YOUR LORD THE ALMIGHTY ALLAH AZZOWAJAL.

Is Wazifay ki fazilat say bigray kaam ban jain gay,
 anay wali musibatain tal jain gi aur hazaar ha fawaid milain gay. 


 

RAMZAN Ki Amad Hai

RAMZAN Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai

Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein

Dar-e-taurba Khula Hai Is Mahine Mein
Firdous Ki Khusboo Ati Hai
Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous

Ao Aaj Hum Koshish Karein

Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin
Ibadatoon Ke Is Door Mein
Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat

Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye

Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein
Ramadhan Ki Amad Ki Khusi Hai Bahut
Saath Hi Is Ke Jald Roohsat Ho Jaane Ka Ghum

Khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt

Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par
Ramadhan Ke Roohsath Hone Se Pehle
Dar-e-tauba Band Hone Se Pehle

Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein

Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake


 

AP SUB LOGON KO MERI TARF SY
 IS MUBARAK MAHENY KI AMMAD MUBARAK HO
***DUA***
AYE ALLLAH HUM  SUB KO IS MAHENY
 MAIN APNI RAHMAT SY NAWAZNA...... 
namaz parhny  ki tofiq... 
roza rakhny ki himat sbar ....... 
or apny gunnah ki toba kary ki himat peda karna .....
taky hum apny kye jany waly gunnhaon 
ki mafi mang sakain or is maheny ky 
zarye apni any wali zandgi ko ......
 gunnah sy pak kar sakain .......
AMEEN sumAMEEN
apni duaion main muje bi yad rakhye ga

Ae Dil Sambhal

Chaman Ka Haal To Ye Hy
K Khaak Urti Hy
Kidhar Se Ho K Baharon K Karwan Guzry

Diyar-e-Yaar ka Sara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Nya Dy K Imtehan Guzry

Saba B Aai To Pholon K Munh Jhulas K Gai
Yahan Se Abr B Barsa K Bijliyan Guzry

Jo Chup Rahain To Malamat Kry Zameer Humain
Khari Khari Jo Kahain
Aap Ko Giraan Guzry

Guzarny Ko To Museebat K Din Guzar Hi Gye
Bary Hi Gehre Mgr Choor Kr Nishaan Guzry

Sahi Gain Na Taghaful Ki Chnd Nazrain B
Hain Sharam'sar K Is Dil Me Kya Gumaan Guzry

Kabi To War Raqeeboon K Dy Gye Hain Maza
Kabi To Pyar Azizoon K B Giraan Guzry

Ae Dil Sambhal
K Ksi Ko Hisab Dena Hy
K Zindagani K Lamhy Kahan Kahan Guzry
 
 
 

Thursday, July 19, 2012

meri ankhain sula dena

barasti boond chun chun kr
koi gajra bana dena
mere hathon me
balon me
kabi baarish saja dena

ksi khushbo ka an'dekha sa aanchal
oorh lon ser se
gulabo
kuch lamhy ko tum
mujhe apni adaa dena

wo mere hath pr honton ko rakhy
pyas k dukh me
isi khatir hatheli pr
koi daria bana dena

bikharti dhop se chehre
main behty aab pr dekhon
zara paani me apne aks ka manzar mila dena

main bhar lon hath ka piyala
sunheri dhop kirno se
mere soraj ko darya k
kinary pr bula dena

usi k hath rakh dena
baharon k sabhi mosam
mujhe titli k per dy kr
baharon ki dua dena

meri ankhain jaga k tum
jo mere khwab parhty ho
suno !
jany se kuch pehle
meri ankhain sula dena


Wednesday, July 18, 2012

Rula Sko To Sath Do

Bara Kathin Hy Raasta
Jo Aa Sko
To Sath Do
Ye Zindagi Bhar Ka Sath Hy
Nibha Sko
To Sath Do

Jo Tum Kaho Dil To Kya
Main jan B Fida Kron
Jo Main Kahoon Bs Ek Nazar
Luta Sko
To Sath Do

Hazar Hain Imtehan
Yahan Hazar Aazmaishain
Hazar Dukh
Hazar Ghum
Utha Sko
To Sath Do

Ye Zindagi Yahan Khushi
Ghumoon K Sath Sath Hy
Rula Sko To Sath Do
Hansa Sko
To Sath Do




Bin Uske Zindagi Dard Hai

Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai,
Meri Aankhon Mein Kyon Maut Simat Aayi Hai,

Kehte Hai Log Ishq Ko Ibadat Yaaron,
Ibadat Mein Phir Kyon Ruswayi Hai,

Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhane Ko Mere,
Shab-E-Hijr Mein Uski Yaad Chali Aayi Hai,

Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna,
Ye Ada Uski Mohabbat Ne Sikhlayi Hai,

Ye Bhi Uski Mohabbat Ki Inayat Hai Yaaron,
Main Tamasha Bana Aur Duniya Tamashayi Hai,

Intezar Mein Kisike Na Raat Ko Barbaad Karna,
Doobte Taarone Mujhe Baat Ye Samjhayi Hai,

Usse Taaluq Hi Kuch Aisa Raha Hai Doston,
Jab Bhi Socha Use Aankh Bhar Aayi Hai...

Umeed Tarapti Rehti Hai

Mere Pyase Khwab Jazeeron Par
Umeed Tarapti Rehti Hai,
Ek Aas Machalti Rehti Hai
Ek Saawan Aag Lgata Hai
Bin Barse Guzar Jata Hai
Ye Jeewan Tanha Tanha Sa
Ye Rahain Sooni Sooni Si
Meri Jagi Jagi Ankho Ko
Q Har Pal Chubhti Rehti Hain
Kisi Hamdam Ki Kisi Raah Ki
Umeed Me Jagti Rehti Hain
Dil Seeny Ke Is Pinjre Me
Q Be'kal Be'kal Rehta Hai
Khamoshi Ke Is Parde Me
Jane Mujh se Kya Kehta Hai
Hum Khush Hain Bohut
Ye Baat Alag Hai,
Har Saans Meri Sisakti Rehti Hai

Silsily Taiz Hain Hawaon K

Silsily Taiz Hain Hawaon K
Cheekhti Raat
Aaj Bhaari Hy
Karwatain
Raat or Be'chaini
Ek Udasi Hy
Beqarari Hy

Mukhtasir Din
Taveel Ratain Hain
San'snaati Hawaon Ka Hy Shoor
Garm Kamron Ki Hain Panah Gaahain
Moosla Dhaar Barishon Ka Zoor

Reengty Khamoshi Se Andhere
Surmai Rut Dhuwan Dhuwan Hy Fiza
Tor Jati Hy Daaliyon K Badan
Cheekhti
Tez-O-Tund Sard Hawa

Nachti Hein Fiza Me Yon Boondain
Jese Jhankar Teri Payal Ki
Hont Khamosh Hain Badan Bojhal
Jese Umeed Koi Ghayal Si

Larzan Larzan Ye Zerd Se Paty
Nangy Peron Pe Phar'pharaty Hain
Sard Jhonky
Udaas Shamon K
Dhool Yadon Ki Chor Jaty Hain



Soch Loo Chalne Say Pehlay

Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai
Ishiq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Dewar Hai
Phir Faraib’bay’Roz’o'Shab Ki Dosti Mumkin Nahi
Kar Diya Inkar So Inkar Hai !Inkar Hai
Itna Khush Hona Nahi Acha Ab Us K Qarb Main
Hijar Bhi In Vesaal K Lamhoo Ka His’say’dar Hai

Is Taraf To Rastoon Main Dhool See Urr’nay Lage
Ab To Jaa K Daikhna Hai Jo Samandar Par Hai

Phir Hawa’ayee’Sehar Mujh SaY Mun’harif Honay Lagi
Phir Mere Hintoon Pe Tere Naam Ki Takrar Hai

Ab Kahan Cho’yee’gi Us K Dil Ko Sach Ki Roshni
Jis K Hathoon Main Abhi Taak Jhoot Ki Talwaar Hai..!






Jise Main Pyar Karta Hu....

Na Kisi Or Ki Tamanna Hai Na Mai Pariyo Pe Marta Hu..
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hoon...
Kahu Kyo Chand Usko,
Wo Mujhse Door Rahti Hai,
Kahu Kyo Phool Jo Murjhane Pe Majbur Rahti Hai....

Kahu Kyo Hur Jiska Dusari Duniya Me Dera Hai,
Pari Main Kyo Kahu Jiska Paristan Me Basera Hai,
Sharab Kahu Kyo Jo Hosh Sabke Udati Hai,
Bahar Usko Kahu Kyo Jo Khiza Bhi Saath Lati Hai,

Main Koi Aur Naam Usko Du Iski Kya Jarurat Hai..
Wo Ek Ladki Hai Wo Sharmo Haya Ki Ek Murat Hai,
Usiki Yaad Main Main Zindagi Ke Rang Bharta hu..
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hu,

Wo Meri Jeet Ka Hasil,
Mataye Naujawani Hai....
Na Wo Khawabon Ki Malika Hai Na Wo Sapno Ki Raani Hai...
Ada Uski Anokhi Hai,Chal Uski Nirali Hai...
Wo Ek Gori Si Ladki Hai Jo Bahut Bholi Bhali Hai........

Main Samjha Bhi Nahi Sakta Ke Kitna Pyar Karta Hu,
Main Bata Bhi Nahin Sakta Ke Uspe Kitna Marta Hu,
Agar Ek Baar Wo Ruthi To Main Pahro Manata Hu,
Kabhi Usko Hasata Hu Kabhi Usko Satata Hu....

Zarurat Se Zyada Hi Main Uske Naaz Uthata Hu
Aur Main Sabke Samne Usko Sar Aankhon Par Baithata Hu,
Na Aaraish Aasand Usko Na Fashion Ki Dil Jyada,
Mijaz Uska Haya Parwar Libas Uska Bahut Sada,

Wo Apni Sadgi Ko Husn Ki Meraj Kahti Hai,
Payam Apni Haya Ko Apne Sar Sa Taaj Kahti Hai,
Na Wo Had Se Guzarti Hai Na Main Had Se Guzarta Hu,
Wo Ek Bholi Si Ladki Hai Jise Main Pyar Karta Hu.... 


woh thukra gayi mujhe..

Kitne itminaan se woh thukra gayi mujhe..
Aansoo bana ke aankh se tapka gayi mujhe..

Kaisi yeh rehbari thi yeh kaisa fareb tha..
Manzil dikha ke raah se bhatka gayi mujhe..

Khamosh nigahon se kahani suna gayi..
Lafzon ke har phair mein atka gayi mujhe..

Mujh ko bhi bachpan ka sa ek mazaq samaj ke..
Chhoti si ek hansi mein uda gayi mujhe..

Do din mein uss ke dil se mohabat utar gayi..
Aur do hi din mein yaad se mita gayi mujhe..!!

Chalo Tumko Lekar Chale



Chalo Tumko Lekar Chale Hum Un Fizao Mein
Jahan Meetha Nasha Hai Taaron Ke Chaaon Mein
Chalo Tumko Lekar Chale Hum Un Fizao Mein
Jahan Meetha Nasha Hai Taaron Ke Chaaon Mein
Chalo Tumko Lekar Chale Hum Un Fizao Mein

Deti Sarsarati In Hawaon Ke Sang Aao Paas Mere Aana

Sapno Ka Safar Hai Mere Dil Ka Yeh Bhawar Hai Is Mein Doob Jana
Zarasa Tanha Chupata Ab Mil Gaya
Jahan Meetha Nasha Hai Taaron Ke Chaaon Mein
Chalo Tumko Lekar Chale Hum Un Fizao Mein

Madham Roshni Hai Aur Chanchal Chandni Hai Chale Aaona

Shabnam Si Chuban Hai Aur Mehka Sa Milan Hai Door Jao Na
Sahana Sahana Tumhara Sach Ho Gaya
Jahan Meetha Nasha Hai Taaron Ke Chaaon Mein
Chalo Tumko Lekar Chale Hum Un Fizao Mein
Jahan Meetha Nasha Hai Taaron Ke Chaaon Mein

MAGAR

Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gey.....
Kia tha main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!

MAGAR

Ik baat hai piyare...
Kabhi jo waqat mil jaye,
To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno......!! !
Main khush to hoon lakin,
Lahoo har lafz roota hai...

"I love you"

Is the word "love" important?
I don't know but for me, you are more important.
Do you know why?
Because how can I say "I love you" if you're not here.

like a PRINCESS.

Every Boy wish.
I’m not a Prince but
my Life-Partner should be a Princess
Real Boy wish.
My Life-Partner may not be a Princess
but
I promise I’ll treat her like a PRINCESS.

Tumhein Apni Rooh Mein Yun Utar Doon....

""Meri Aarzu Hai,Tujhe Pyar Doon,
Tujhe Chahaton Se Nikhar Doon,,,

Kahin Aansuon Main Doob Kar,,,
Tujhe Har Ghari Main Qaraar Doon,,,

Main Junoon-e-Ishq Mein Jhoom Kar,,
Tujhe Qurbaton Ka Hisar Doon,,,

Mujhe Tumse Kitna Pyar Hai,,
Taaron ka Kaise Shumar Doon,,,,

Mere Har Taraf Teri Soch Hai,,,
Kaise Main Khud Ko Karar Doon,,,,

Aa Kar Phir Tum Kahin Jao Na,,,
Tumhein Apni Rooh Mein Yun Utar Doon........!!!


jo shakhas meri roOh talq uttar gia...!

Main jo khof zadaa rehta tha mohabbat se,
 mohhabbat mein gir giaa 
aa pohancha hai sansoOn tak 
jo shakhas meri roOh talq uttar gia...!
 (Nazim Ali) 


Main jo khof zadaa rehta tha mohabbat se, mohhabbat mein gir giaa aa pohancha hai sansoOn tak jo shakhas meri roOh talq uttar gia...!

Tuesday, July 17, 2012

Apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon

Apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon
Apne gham_khaney mein ik dhoom macha loon to chaloon
Aur ik jaam-e-may-e-talkh churhaa loon to chaloon
Abhi chalta hoon zara khud ko sambhaloon to chaloon

Jaane kab pi thi abhi tak hai may-e-gham ka khumaar
Dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai jahan-e-bedaar
Aandhiyan chalti hain dunya hui jati hai ghubaar
Aankh to mal loon zara hosh mein aa loon to chaloon

Wo mera saahir vo ejaaz kahan hai lana
Meri khoi hui aavaaz kahan hai lana
Mera toota hua vo saaz kahan hai lana
Ik zara geet bhi is saaz pe gaa loon to chaloon

Main thaka haraa tha itne mein jo aaye badal
Kisi matvaale ne chupke se badhaa di botal
Uff vo rangeen pur-israar Khayaalon ke mahal
Aise do char mahal aur bana loon to chaloon

Mughse kuch kehne ko ai hai mere dil ki jalan
kya kia maine zamane mai nahi jis ka chalan
Ansoo tum ne to kai baar bhigoya daman
Apne bheege huay daman ko sukhaloon to chaloon

Meri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka ghuroor
Mere honton ko abhi tak hai sadaaqat ka ghuroor
Mere maathe pe abhi tak hai sharaafat ka ghuroor
Aise vehmon se bhi ab Khud ko nikaloon to chaloon

I WISH K HUM SATH SATH HON

I WISH K TERA SATH HO
I WISH K HUM SATH SATH HON
I WISH K JO YE SAMAA HAI
WO HUMARA HO HUMESHA K LIYE
I WISH K MAINE TUJHE CHAHA HAI BEPANHAA
TU BI MUJHE CHAHE SRIF MERI OR MERI HO JAYE
MAINE HAR KHAWAB MEIN BASA LIA HAI TUM KO
I WISH K TERE HAR KHWAB MEIN, MAIN AAO OR TERA HO JAO
MAIN LE CHALO TUJH KO BOHT DUR IS DUNIYA SE DUR
I WISH K TU MUJH PE BELIEVE KARE OR MUJHE YE IKHTIYAR DAY
MAIN CHEEN LAO GA HAR KHUSHI KO HAR LAMHE KO JO TU CHAHAY
I WISH K APNA BASS APNA SATH HO OR PHIR SAB APNA HO
JANA MAIN YE KESE CHOR DO ABB TUJH PAR
TOU TU HAI HI APNA I WISH K TERE ANSU BI APNE HON
NAZIM KO OR KUCH BI NI CHAHIYE SRIF ITNA KEH DAY
I WISH K KAL APNA HAI OR HUMEIN IS KAL KO JEENA HAI
(NAZIM ALI)
 
 


Issi Baat Pe Mujhe Larna Ho Gaa

Jism Se Khud Ko Rihaai Day Kar Mujhe Sonaa Ho Gaa
Teri Mohabbat Mein Abb Mujhe Hasas Ko Chor Kr Pather Hona Ho Gaa
Khud Se Talaq Tu Abb Rekhna Mumkin Hi Nehin Hai Mera 
Mjuhe Sab Kuch Chor Kar Abb Ghum Ki Khaai Mein Uttarna Ho Gaa
Wo Meri Soch se Meri Chaha Se Mujhe Tasleem Karta Hi Nehin
Nikal Kar Abb Is Zamane Se Kuch Dur Mujhe Dhul Mein Milna Ho Gaa
Kese Khabar Thi K Majboor Ho Jao Gaa Main Is Qadar 
Jo karna Chahon Ga Wo Nehin Ho Ga, Issi Baat Pe Mujhe Larna Ho Gaa
Nazim Usse Gar Tune Mangna Hai Tu Ye Jaan Lay
Hadaff Jesa Bi Ho Abb Mahar Karigar Hona Ho Gaa
(Nazim Ali)



Monday, July 16, 2012

Maahir Tha Woh Siyaasat -e- Hijar

Maahir Tha Woh Siyaasat -e- Hijar -o- Wisaal Main 

Uss Nay Kabhe Raqeeb Ko Chaaha, Kabhe Humain..!!

Meri ankhon se apna haat hata ahista

Achanak samnay paa kar kaheen sansain na ruk jaein

Meri ankhon se apna haat hata ahista ahista.....!!!!!


 

Hum To Nashe Me Hain..

Parda To Hosh Waalo'n Se Kiya Jata Hai..
.
Be-Naqaab Chale Aao Hum To Nashe Me Hain..

 

MujhSy Zyada Chahe

TumKo Kisi Aur Ka Hone Ki Ijazat Toh Hy Magar

Us Per Lazim Hy K Woh "Tumhe" MujhSy Zyada Chahe

Magar Teri Judai Nhi

Qabool-e-Jurm Karte Hain, Tumhare Qadmon Me Gir Kay

"Saza-e-Mout Hai Manzoor, Magar Teri Judai Nhi

deewangi ki inteha

Yeh mera ishq tha ke deewangi ki inteha WASI.....

Tere qareeb se guzar gaya tere hi khayaalo me....

Barishon K Liye..

ღ~•●♥ Tum Wo Dua Ho Jo Mangi Jati Ha♥

♥Sakht Garmi Me Barishon K Liye.. ♥●•~ღ




Jab Haqiqat Ye Ban Hi Nahi Sakte...

Jab Haqiqat Ye Ban Hi Nahi Sakte...

Meri Aankhon Se Ye Khawab Le Jao...!!!
 
 

Itna Ussey Parha

Shehr-e-Kheyal-o-Khwab Mein Abad Ho Gaya

Itna Ussey Parha Ke Mujhe Yaad Ho Gaya.
.
Pehle To Paniyon Se Rahi Guftagu Apni

Phir Yoon Howa Ke Ayena Ijad Ho Gaya....!!



Dard-e-Dil ki aah tum na samajh sakoge kabhi..

Har dard ka maatam.... Sar-e-Aam nahi hota..!!

Mujhe Tujh Se Bhi Pyara Hai......!!!

Aur To Kuch Nahin Chahiye Mujhe Tujh Se Aye Zindagi........

Bas Wo Ek Shakhs Louta De Jo Mujhe Tujh Se Bhi Pyara Hai......!!!

Din nikle to soch alag

Din nikle to soch alag ,Sham dhale wajdan alag.

Umeed alag,Aas alag,Sukoon alag,Tufan alag,

Tashbeeh don to kis se? K tere husn ka har rang alag.

Neel alag,Zamrad alag,Yaqoot alag,Marjaan alag,

Teri ulfat k taqaze bhi. Ajab andaz k the.

Iqrar alag,Takrar alag,Tazeem alag,Farman alag,

Agar sath nhi de sakte. To bant do yakjan lamhe.

Masroor alag,Nidhal alag,Purkaif alag,Pareshan alag,

Waqt e Rukhsat alvida ka lafz jan khenay lagay

Aasnoo alag , Muskaan alag , Betabi alag , Heraan agal,

Jab chor gaya tab dekha apni Aankhon ka rang

Heraan alag , Pashemaan alag , Sunsaan alag , Beyabaan alag ..!


humein par azmatay ho......

Sikha di be_rukhi b zalim zamanay ne Tumhein

k Tum jo seekh leitay ho, humein par azmatay ho......

Nahi aatay

Insaan ki Fitrat ko Samjhtay hain Parinday,

Jitna Bhi Mohabbat sey Bulaao Nahi aatay.!

Hans K Dekho

Meri Qeemat Ka tazkara Choro ....

Hans K Dekho Ghulam Kar Dalo ..

Sunday, July 15, 2012

Ke Mar Jana Muqaddar Hai….!!!

Kaha Us Ne, Ke Aakhir Tum, Bhula Doge Mujhe Ek Din ...
.
Kaha Main Ne, Karoon Main Kya, Ke Mar Jana Muqaddar Hai….!!!


 

Saturday, July 14, 2012

La parwahi ab bhi waisi hai…

Mere jazb0n ki sachayi ab bhi waisi hai,

Uss bin meri tanhaYi ab bhi waisi hai,

Ab kya ehsaas diLana uss ko apne daRd ka,

Uss ki La parwahi ab bhi waisi hai…..!
Rait Par Baith Kar Behte Huye Ashko Se....!!!

Tum Bhi Likhoge Mera Naam Magar Mere Baad..!!!

Tanhai De Gaya..!!

Ek Shaks Mujh Ko Zakham_e_Shanasai De Gaya

Na De Saka Wo Pyar Tu Roswai De Gaya

Jate Huve Woh Apni Nishani K Tor Pay

Mujh Ko Bare Khalos se Tanhai De Gaya..!!

buss ho gyee thii

Unhen hum se mohabbat ho rahi thiii...

Na khultii Aankh to buss ho gyee thii


 

Aajaao lautker ke

Aajaao lautker ke zarurat hai is dil ko tumhaarii

Intezaar mein tum jaan naa le lenaa hamaarii

  

hamare naam kar do

tum hamare ho yeh yakeen kar lo

apna har lamhaa sirf hamare naam kar do

Qissa Meri Muhabbat Ka

Main Apne Aap Se Barh Ker Kissi Ko Kyun Chahoon ga

Mujh hi Pey Khatam Hai Qissa Meri Muhabbat Ka...!! ♥ ♥ ♥

Agar Yaadai'n Rait Hoti

Agar Yaadai'n Rait Hoti To Kitna Achha Hota,

Mutthi Sey Nikal Jati Main Pairou'n Sey Urra Deti...




Lehjaa Teraaaaa

Maar Daaly Ga Ye Ehsaas Mujhyyy . .
Ajnabi Ho Gyaa Lehjaa Teraaaaa


 

tumse bicharne mein hogi






Tumse milne ki khushi mein na dhyaan raha mujhe

Kitni takleef mujhe,, tumse bicharne mein hogi


 

Jab Wo Bewafa Hue.....!!

Aag Dil Me Lagi Jab Wo Khafa Hue

Mehsoos Hua Tab Jab Wo Juda Hue

Kar ke Wafa Kuch De Na Sake Wo

Per Bahut Kuch De Gaye Jab Wo Bewafa Hue.....!!

Kisi na-laiq talib-e-ilm ki Tarah

Kisi na-laiq talib-e-ilm ki Tarah

Dil ne tere naam ka rattaa laga Rakhaa Hai



Dekh Loon

Itna Qarib Aao ke Ji Bher ke Dekh Loon 

Shayad ke Phir Milo Tu Yeh Zauq_E_Nazer Na Ho


 
 
 

Mannat Se Maang Lete Hain

Chalo Us Ka Nahi To KHUDA Ka Ehsan Lete Hain

Wo Minnat Se Nahi Maana To Mannat Se Maang Lete Hain

Kuch to bta

Kuch to bta ay maatmi raton ki dhundali chandani...

Bhoolnay waalon ko aakhir kis trha yaad aoun main..!!!!

 

Friday, July 13, 2012

Laaoun ge kahan se judaai ka hosla..

Laaoun ge kahan se judaai ka hosla..

kyun iss Qadar meray Qareeb aa gaye ho tum..!!!!


 

Main Muskurata Hua Aaine Mein

Main Muskurata Hua Aaine Mein Ubhar Aaunga...

Wo Ro Padegi Achanak Singaar Karte Karte... !!!

 

Mera Sheher Na Chhode.... !

Roothi Rahe Wo Mujhse Ye Manzoor Hai Lekin....

Yaaro Use Samjao Ke Mera Sheher Na Chhode.... !!!


 

Maange Mujhe Paani Ki Tarah...!!!

Phir Kisi Pyaas Ke Sehra Mein Tujhe Neend Aaye...
Aur Tu Khawab Mein Maange Mujhe Paani Ki Tarah...!!!

 

muhabbat ki thi.

Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to.

Maine bas itna hi bataya ke muhabbat ki thi.
 

Ab Jo Roothe To Haar Jaoge.

Ab Jo Roothe To Haar Jaoge..

Hum Maan jaane Ka Hunar Bhula Beithay ....


 

JiSay Intizaar Kehtay Hain....

ღ~•●♥ Bohat Giraan Bohat Be Sakoon Rakhta Hai♥

♥Vo Ek Lafz JiSay Intizaar Kehtay Hain.. ♥●•~ღ

main paa lu tujhe

Ek khwab hai mera,,,,main paa lu tujhe
Jo giru main mayoosi me....tu thaam le mujhe

Gairon ka malaal nhi ki wo pehchante nhi,
Apno se lekin ,,,,,tu milwa de mujhe

Kisi aur se baaki nhi rahi ummeed mujhe
Khud se bhi wakif nhi hu main ay khuda

Ajnabee hun main,,,,,koi naam de mujhe.....
Chhoo le mujhe,,,,pehchaan de mujhe.....

Ham toot k karte hain

ღ~•●♥ Ham toot k karte hain mari jaan mohabat♥

♥Ye kaam hamain hasb e zarorat nhi ata. ♥●•~ღ

Ye aaankh roney ki shiddat se laal thorhi hai ?

Ye aaankh roney ki shiddat se laal thorhi hai ??

Malal hai magar itna malal thorhi hai??

Bus apne wastey hi fikr-mand hain sab log..

Yahan kisi ko kisi ka khayal thorhi hai??

Paron ko kaat dia hai urhan se pehle..

Ye khof-e-hijr hai, shoq-e-wisal thorhi hai??

Maza to jab hai k haar k bhi hanstey raho..

Hamaisha jeet hi jana kamal thorhi hai??

Lagani parhti hai dubki ubharney se pehley..

Gharoob honey ka matlab zawal thorhi hai??
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...