Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, April 30, 2012

Ab koi ghazal suna bhi do



Ab koi ghazal suna bhi do
youn haal e dil bata bhi do

karo ghazal me tareef bhi
mujhe ghazal me gila bhi do

na ye ke sirf shikwe likho
ashaar me meethi sada bhi do

dil se ameen keh dengen
tum bhale hi bad dua bhi do

bin tere bol dil zakhmi hai
zariya e ashaar dawa bhi do

bohot sannaata hai dil me
aa ker shor macha bhi do

achhi nahin ishq ki sar e aami
do chaar raaz chupa bhi do

karo kamal ghazal sada rakho
aur sajne ki ise ada bhi do

bohot log sach chupane lage
ab apni qalam chala bhi do

inki sadagi dosti mein shamil rakhegi
kabhi Chirag Hein jala bhi do





Saturday, April 28, 2012

Mujhe Tum Se Muhabbat Hai


Main Jab Us Se Kehta Hon !!

Mujhe Tum Se Muhabbat Hai !!

Nafi Main Sir Hilaati Hai !!

Nigaahon Ko Jhukaati Hai !!

Hatheli Samne Rakh K
 Kisi Ka Naam Likhti Hai !!

Muthi Bandh Karti Hai !!

Aankhon Se Lagaati Hai !!

Phir Usko Choom Leti Hai !!

Achank Bol Uth'ti Hai !!

Mujhe Is Se Muhabat Hai !!

Yehi To Mera Sab Kuch Hai !!

 Yeh Sab Kuch Samne Pa K
Main Be'Zaar Hota Hon !

Mujhe Be'Zaar Pati Hai !

To Khud Bhi Reh Nahi Pati !

Mut'thi Khol Deti Hai !!

Jo Mut'thi Kholti Hai !

Mera Hi Naam Hota Hai !!

Mujhe Wo Yun Sataati Hai...~*~/








Ishq Junoon Deewangi














































Friday, April 27, 2012

Agar tum bheeg jao to


Kisi din taiz barish main

Agar tum bheeg jao to

Agar barish k ye qatre

Tumhari zulf ko chu kar

Tumharay gaalon ko chumen!


Agar barish k pani say

Agar thandi hawaon say

Kisi purzor jhonkay say

Meri jan jhoom jao to

Mujhy tum yaad kar lena !

Agar khwahish ho aise main

Koi sathi ho baahon main

Jo chere zulf ko teri

Tere rukhsar ko choomay !

Tu jhoomay us ki baahon main

Teri bahon main wo jhoomay..

Mujhy Tum Yaad Kar Lena..




barish poetry

Suna hoga bohat tum ne !


Suna hoga bohat tum ne !

Kahin aankhon ki rim jhim ka

Kahin palkon ki shabnam ka

Parha hoga bohat tumne !

Kahin lehjay ki barish ka

kahin sagar ke aansoo ka…

Magar tum ne kabhi humdam

kahin daikhay? kahin parkhay?

Kisi tehreer ke aansoo ??

Mujhe teri judaai ne

Yehi mairaaj bakhshi hai

Ke main jo lafz likhta hoon

Woh saray lafz rotay hain

Ke main jo harf bunta hoon

Woh saray bei'n kartay hain

Mere sang is judaai main

Mere alfaz martay hain

Sabhi tareef kartay hain

Meri tehreer ki lekin !

Kabhi koi nahin sunta …

Mere alfaz ki siski !

Falak bhi jo hila daalay..

Mere lafzon main hain shamil..

Usi taseer ke aansoo…

Kabhi daikho mere humdam…

Meri tehreer ke aansoo !!!







ansoo poetry

Usey Barishon ne chura lia


Usey Barishon ne chura lia ke wo baadlon ka makeen tha

Kabhi mur ke ye bhi to dekhta ke wajod mera zameen tha

Wohi eik sach tha or is k baad sari tohmatain

Mere dil ko pora yaqeen hai wo mohabbaton ka ameen tha

Usey Shoq tha k kisi Jazeery pe us ke Naam ka Phool ho

Muje Pyar kerna sikha gaya mera dost kitna zaheen tha

Kabhi saahilon pe phiro ge to tmhe Seepiyan ye bataein gi

Meri Ankh mein jo simat gaya wo ashk sab se haseen tha...

"Tum Bin Kia hun Mein" ...!


Sard Rawaiyya..

Uljha Lehja..

Khoi Aankhain..

Thande Haath..

Bey Rung Chehra..

Badd Ikhlaqi..

Dekho..

"Tum Bin Kia hun Mein" ...!






alone girl

Tum Haqiqat Nahi Ho Hasrat Ho





Tum Haqiqat Nahi Ho Hasrat Ho

Jo Mile Khuwab Main Wo Daulat Ho

Mai Tumhare He Dum Se Zinda Hun

Mar He Jaaun Jo Tumse Fursat ho

Tum Ho To Khushboo Ke Khuwab Ki Khushboo

Aur Itni He Be.Muravat Ho

Tum Ho Pehlu Mai Per Qaraar Nahin

Yaani Aisa Hai Jaise Furqat Ho

Kis tarha Chhor Dun Tumhe Jaana

Tum Meri Zindagi Ki Aadat Ho

Kis Liye Dekhti Ho Aaina ?

Tum to Khud Se Bhe Khoobsurat Ho

Daastan Khatam Hone Wali Hai

Tum Meri Pehli Or Aakhri Mohabbat Ho





cuddle

Shaam Ka Dhalta Sooraj


Shaam Ka Dhalta Sooraj,

Kuch Kehte Kehte Doob Giya,
Tanhai ke ik aalam main,

 Udasi ke ik manzar main,

 Ghum ke gehrey saaye main,

 Shaam Ka Dhalta Sooraj,


Kuch Kehte Kehte Doob Giya...

Chal rahi thi pur.souz hawa,

 Lagta tha k jaise..

Koi saada zoor se goonje gi,

Koi chekhe ga chilaye ga,

 Rang falak bhi apna badle ga,

Ek surkhi har su phailey gi,

Main ne dekha jo dhaltey Sooraj ko,

Ek Karb ka manzar waisy tha,

Ek dard ka fasaana roshan tha,

Ek Rang tha sirf udaasi ka,

Ek ehsaas tha sirf bezaari ka,

Lagta tha Jaise....

 Sadion pe phaili kahani ka,

Aaj raaz to afshaa ho ga,

Aaj saari duniya dekhe gi,

Aaj khob Tamasha hoga,
 
Yun Lagta tha ke Jaise...

Aaj dil khol k sooraj roye ga,

Tab chain ki neend ye soye ga,

Is dil.souz hawa main jaise,

Aaj bohot se faisle hone Hain,

Lekin faisle ki is ghari main,

 Waqt ne barri na-insaafi ki,

 Main ne aankh utha ke dekha jo,

Bari hasrat se, majbori se,

Meri aankhon main aankhein daale,

Shaam Ka Dhalta Sooraj,

Kuch Kehte Kehte Doob Gaya..!!!






sunset

Jab Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye


Jab Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye

Zakham Phir Yaad Puranay Aye

Baar.ha Un Ko Manaya To Humain 

Rooth Janay Ke Bahanay Yaad Aye

Phir Mujhe Toot Ke Chaha Uss Ne

Phir Bicharnay Ke Zamanay Aye

Muskara Kar Humain Milne Wale

Zindgi Bhar Ko Rulanay Aye

Kitni Mehroom Thin Neendain Uss Ki

Khawab Bhi Jin Ko Jagaanay Aye

Teri Chahat Ne Tharnay Na Diya Warna

Rah Mein Kitne Thikanay Aye

Isi Umed Pe Jago Raat Bhar

Ab Wo Kis Waqt Naa Janay Aye

Raas Aya Jinhe Sehra Mohsin

Unn Ki Qismat Mein Khazanay Aye...!!!

Her Baar Yehi Qasam Khai

Her Baar Yehi Qasam Khai

Her Baar Yehi Soucha

Is Baar Na Roenge,

Daaman Na Bhigoen ge,

Ae Maani'e Gul Lekin

Jab Mousam.e.Gul Aaya

Masoom Shagofon Ki

Masoom Adaon Ne

Majboor Bana Daala !

Her Baar Rula Daala !





ﻣﻌﺠﺰﮮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﮯ


ﺍﺏ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ

ﻣﻌﺠﺰﮮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﮯ

ﺍﺏ ﮐﺴﯽ ﺑﮭﯽ ﻗﺘﻞ ﭘﺮ

ﺳﺮﺥ آﻧﺪﮬﯿﺎﮞ ﻧﮩﯿﮟ ﭼﻠﺘﯽ

ﺍﺏ ﺗﻮ آﮦ ﺑﮭﯽ ﮐﻮﺋﯽ

ﻋﺮﺵ ﺗﻠﮏ ﻧﮩﯿﮟ ﺟﺎﺗﯽ

ﺍﺏ ﮐﺴﯽ ﻣﻈﻠﻮﻡ ﮐﯽ

ﺑﮯ ﺑﺴﯽ ، ﺗﻀﺤﯿﮏ ﭘﺮ

ﮐﻮﺋﯽ آﻧﮑﮫ ﻧﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ

ﺍﺏ ﺧﻮﻥ ﮐﮯ ﺭﺷﺘﮯ ﻭﮦ ﮐﺸﺶ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮐﮭﺘﮯ

ﺟﻮ ﮐﺴﯽ ﺑﮭﯽ ﺍﻧﺴﺎﮞ ﮐﻮ ﺍﯾﮏ ﺩﻭﺳﺮﮮ ﺳﮯ ﺟﻮﮌ ﺩﮮ

ﺑﮯ ﺣﺴﯽ ﮐﮯ ﺳﺐ ﺩﮬﺎﺭﮮ ﭼﺎﮨﺘﻮﮞ ﺳﮯ ﻣﻮﮌ ﺩﮮ

ﯾﮧ ﺍﻟﻤﯿﮧ ﮨﻤﺎﺭﺍ ﮨﮯ

ﺍﺏ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﻣﻌﺠﺰﮮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﮯ

ﮐﮧ ﻣﻌﺠﺰﻭﮞ ﮐﮯ ﮨﻮﻧﮯ ﻣﯿﮟ ﻣﺤﺒﺘﯿﮟ

ﺿﺮﻭﺭﯼ ﮨﯿﮟ

ﺍﻭﺭ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﻣﺤﺒﺘﯿﮟ ﻧﮩﯿﮟ ﺑﺎﻗﯽ

ﺟﮩﺎﮞ ﻣﺤﺒﺘﻮﮞ ﮐﺎ ﻗﺤﻂ ﮨﻮ

ﭘﮭﺮ ﺍﯾﺴﯽ ﺧﺎﻟﯽ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ

-ﻣﻌﺠﺰﮮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﮯ







Kuch Batian


Kuch Batian Humse Suna Karo

Kuch Batain Humse Kiya Karo

Mujhe Dil Ki Baat Bata Daalo

Tum Hon't Na Apne Siya Karo

Jo Bat Laboun Tak Na Aye

Wo Ankhon Se Keh Diya Karo

Kuch Batain Kehna Mushkil Hai

Tum Chehre Se Parh Liya Karo

Jab Tanha Tanha Hote Ho

Aawaz Mujhe Tum Diya Karo

Her Dhadkan Mere Naam Karo

Her Saans Mujhko Piya Karo

Be.rung Agar Ye Jeevan Hai

Mere Haal Se Rung Liya Karo

Jo Khushyan Teri Chahat Hain

Mere Daaman Se Chun Liya Karo






cute couple


Bohat be dard hotay ja rahay ho


Bohat be dard hotay ja rahay ho

Nazar say door hotay ja rahay ho

Bohat ojhal ho arse say

Bohat dukh day ker rukhsat ho

Tumahy maloom hay shayd ke

Doori dard hay dil ka..

Tabhi say zakhm bnaatay ja rahay ho

Tabhi say aankh main chubhne lagay ho

Buhat be waqt , be hisaab

Tumhaari yaad aati hay

Tumhari yaad aajaye tou

Din main raat chaa jaye

Kaho kiya chahyey tumko??

Jo kab se door ho hamse

Batao door kyon rehnay lagay ho

Iss qadar ham say

Qareeb aao

Magar beshak abhi dikhai mat dena

Magar phir bhe qareeb aao

Ke dharkan say sunyai do..





sad love


Ek Shakhas Ko Dekha Tha


Ik Shakhs Ko Dekha Tha Tarroon Ki Tarah Hum Ne

Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne

Ik Shaks Ko Samjha Tha Phoolon Ki Tarah Hum Ne

Wo Shakhs Qayamat Tha

Kiya Uski Karain Baatain

Din Us Ke Liye Paida Aur Uski He Thin Raatain

Kam Milta Kisi Se Tha Hum Se He Thin Mulaqaatein

Rang Uska Shahabi Tha, Zulfoun main Thin Meh'kaarein

Aankhein Thin Ke Jadu Tha, Palkein Thi Ke Talwarein

Dushman Bhe Agar Dekhe So Jaan Se Dil Haarein

Kuch Tum Se Wo Milta Tha Bataon Mein Shabahat Thi

Han Tumsa He Lagta Tha, Shokhi Mein Shararat Mein

Lagta Bhe Tumhi Sa Tha Dastor-e-Mohabbat Mein..

Wo Shaks Humain Ik Din Apnon Ki Tarha Bhula

Taron Ki Tarah Dooba,Pholon Ki Tarah Tota

Phir Haath Na Aaya Wo

Hum Ne Bohut Dhunda !

Tum kis liye Chonke Ho ?

Kab Zikar Tumhara Hai ?

Kab Tumse Taqaza Hai ?

Kab Tumse Shikayat hai ?

Ik Taza Hikayat Hai

Sunlo Tou Inayat hai . . 

Ik Shakhs Ko Dekha Tha, Tarroon Ki Tarah Hum Ne

Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne


Ik Taza Hikayat Hai, Sunlo Tou Inayat hai . . 








Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...