Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, October 31, 2012

Bas Mohabbat Ki qadar Karna.... !!!! (♥)

(♥)Aahista Se Mere Dil Mein Tum Safar Karna,.
Mere Veeraan Dil Mein Tum Apna Ek Ghar Karna,.

Milengi Mohabbat Mein Laakh Ruswaaiyaan Magar,.
Mohabbat Karke Mere Dost Tum Sabar Karna,....

Phir Dekhna Kis Tarah Meharbaan Hogi Kismat Tum Par,.
Ek Baar Tum Bas Mohabbat Ki qadar Karna.... !!!! (♥)

woн мarι rooн тaĸ ĸo rυla gaya

|♥| jιѕe ѕaмjнтe тнe zιndagι, мarι dнarĸano ĸa ғareв тнa,

мυjнe мυѕĸυrana ѕιĸнa ĸe, woн мarι rooн тaĸ ĸo rυla gaya. :(

Meharbaan Hote Hain Log.

|♥| Sazzaa Ban Jaati Hain, Guzree Huye Waqt Ki Yaadein...

Jaane Kyun Matlab Ke Liye, Meharbaan Hote Hain Log. !! |♥|

Meri Tanhai

|♥| Meri Tanhai Ko Mera SukooN Na Samjho...!!!

Bary Pyar Say Diya Hai Ye Tohfa Kisi Nay...!! |♥|

Us K Honton Ko Chooma Toh

(♥)Us K Honton Ko Chooma Toh...Ehsas Ho Hi Gaya...
Ek Paani Hi Zaroori Nahi Pyaas Bhujane K Liye...♥

Tum Na Samjhoo Gay .. |♥|

|♥|Tumhain Kaisay Bataein K Tum Hamare Wastay Kya Ho..

Samandar Ki Kahanii Main Kinary Tum Na Samjhoo Gay .. |♥|

Us K HoNton Pe HonTon K

*. . .Us K HoNton Pe HonTon K NishAan Chorh Aaya hoOn. . .*

UssNe mAngi tHi moHabAt ki niShAni mUjh se,

usKe jiSm pE aPni khUsHbu ch0rh ayAa hUn
bUs itNa pYar kia mEne uSey raAt bHar
k uSki jaAn mEin aPni jaAn chh0r ayAa hoon. . .*
 
 

sajan sajan teri dulhan

chandni rat, taro ki barat hai
dil ki mehfil sajane me (kya der hai - 2)
dhadkane dil ki shehnayiya ban gayi
abb toh sajan ke aane me (kya der hai - 2)

meri zindagi mera pyar yad aa raha hai
aanewala hai jo, woh yad aa raha hai
(sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja) - (2)
aa ja, aa ja, aa ja

meri zindagi mera pyar yad aa raha hai
aanewala hai jo, woh yad aa raha hai
sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja
aa ja, aa ja, aa ja

payal kajal kangan daman sare tujhe bulaye
aa ja sajan aa ja tere apne tujhe bulaye
aa ja, aa ja, sajan aa ja
mere mehbub, mere hamsafar
tujhko kya pata, hai tujhe kya khabar, ehsan tere kitne hai mujhpar
rab pe yakin hai jitna, utna hai tujhpar
aa ja, aa ja, aa ja

mera mehbub mera sanam aa raha hai
ham toh marhi chuke the, phir janam aa raha hai
sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aa ja
aakar mere hatho me mehndi tu hi racha ja
aa ja, aa ja, aa ja

chunri meri rangin huyi hai tere rang se sajan
aakar rang de mera ang ang apne rang se sajan
aa ja aa ja sajan aa ja
tumse wafaye bahut main karungi
kasam teri abb yeh dil kisi ko na dungi
aa tujhe bata du, mere dil mein kya hai
dil lenewale tujhe jan apni dungi
aa ja, aa ja, aa ja

dhadkane badh rahi hai, woh karib aa raha hai
khushnasibi banke mera woh nasib aa raha hai
sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aa ja
aakar mere hatho mein mehndi tu hi racha ja

chandni rat, taro ki barat hai
dil ki mehfil sajne mein (kya der hai - 2)
dhadkane dil ki shehnayiya ban gayi
abb toh sajan ke aane me (kya der hai - 2)
 
 

Tuesday, October 30, 2012

hosala nahin milta

Me apne app me chopke se loot ata hon

Kisi bhi simat se jab hosala nahin milta.

Thursday, October 25, 2012

Empty


kya tum bi


KYA TUM BHI

=KYA TUM BHI =
Shaam ki dehleez par

AAS ka deep jalaty ho,


Kisi patty ki ahat par


Darwazy ki taraf bhagy jaty ho,


Kya tum bhi


Dard chupany ki koshish karty karty


,


OR bila waja muskuraty ho,


=KYA TUM BHI =


Neend se pehly palkon par,


Dhairon khwab sajaty ho,


YA phir bistar par letkar roty roty so jaty ho,


=KYA TUM BHI =


Meri tarhan kisi ko itna toot k chahty ho,,,


=KYA TUM BHI =

“Mohabbat naam hai mera”

“Mohabbat naam hai mera”

“Agar Chaho Gay Tum Mujh Ko”


Tumahri sans se pehly


Tumhari jan ban jaon


“Ager Dekho Gay Tum Mujh Ko”


Tumhari ankh se pehly


Tumhary khuwab ban jaon


“Agar Socho Gay Tum Mujh Ko”


Tumhary Paon Se pehly


Tumhari rah ban jaon


“Mohabbat Naam Hai Mera.


Mujhe TUM Soch k Dekho”

Qasm inAAm samaj kar

“Wo meri Qasm leta nahi ilzAAm samajh kar,
“Or dey deta hy apni Qasm inAAm samaj kar,

Wo janta hy mujy us sy kitni Mohabat hy,
Phir bhi Guftogu karta hy anjaan samajh kar.

Mainy usay apny dil ki dharkan main basaya hai.
Or wo dil main rakhta hai mujy mehman samajh kar.

Agar usay hum sy mohabbat nhe to na sahi.
Magar Q ilzam daita hai gumnam smj kr.


Mainy apni sari khushiyan usky nam kr di
Or wo hamain pyar karta hai ehsaan samajh kar.

Wo Shaayiri Achi LaAgi

Mujh ko Tera Pyar Teri Dosti Achi Lagi.
Teri Nisbat se sada Ye Zindagi Achi Lagi.

Main ne Apne RAB se phir manga Tujhi ko umar bhar.

Teri Aankhon ki Mujhe Dariya Dili Achi Lagi.

Bhaa gayi Muskan Tere Honton ki Teri KAsAM.

Teri Baton ki Mujhe Sanjeedgi Achi Lagi.


Yoon tu GhazLein Bhi Likhi hAin Main ne magar

Jis Main ho BuS TuM hi TuM,
Wo Shaayiri Achi LaAgi.

Meri aankhon meray chehray ko ik din “GHOR” say daikho,

Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain,

Kisi mazlom se pocho k “RONA” kis ko kahtay hain,

Kabhi meri jaga khud ko rakho phir “JAAN” jao gay,

K dunya bher k dukh dil main “SIMONA” kis ko kahtay hain,

Meri aankhon mere chehray ko ik din “GHOR” say daikho,

Mager mat puchna “WEERAN” hona kis ko kahtay hain,

Tumhara dil kabhi piglay agar “GHUM” ki hararet se Ali

Tumhain malum ho jae ga k “KHONA” kis ko kehtay hain…!
 
 


Woh Qasmein Yaad Aati Hein

Tumhari Woh Mohabatein Tumhari Woh Chatein Yaad Aati Hein
Tumhari Woh Wadey Tumhari Woh  Qasmein Yaad  Aati Hein

Mein  Jab Bhi Dekhta Hoon Tanhai Mein Tumhari Tasveerein

Tasweroon  Mein Tumhari Adaein Yaad Aati Hein

Tum Jo Kerti Thi Akser Wafa Aur Pyaar Ki Batein

Tumhara Woh Ahad-E-Wafa  Aur  Woh  Batein  Yaad  Aati  Hein

Tumhara Woh Parde Mein Rah Ker Humein Baar Baar Dekhna

Tumhara Woh Dekhna Aur Woh  Ankhein Yaad Aati Hein

Tumhara Woh Unn Rahoon Per Humarey Sath Sath Chalna

Tanha Safer Per Nikalta Hoon To Woh Rahein Yaad Aati  Hein

Faqat Roshan Se Pocho Iss Naye Mohabat Ke Andaaz

Jisey Iss Mohabat Ki Her Woh Anayatein Yaad  Aati  Hein

Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari,
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari,

Humay Chahiya Bus Taaluq Tumhara,
Mohabbat Milay Yah Adawat Tumhari,

isi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina,
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari,

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa,
Bari Munfarid Hay Tabiyat Tumhari,

Humhay Zindagi Kay sabi Rastoon Par,
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari.

Bhool Jana Bhi Usay

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,

hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,

Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,

Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,

Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!!

Din Raat Badal Jaate' HaiN

Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate' HaiN
YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate' HaiN

Pyaar To unko Bhi Ham Se hai Magar Jaane' KyuN

Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate' HaiN

Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN

Laf'z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate' HaiN

Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle' Mohabbat Se HamaiN

Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate' HaiN

Aik Sa Waq't Mohabbat maiN KahaaN Rehta Hai

Gardish-e-Waq't Se Haalaat Badal Jaate' HaiN


Har Ghari Najane q aas pas rehte ho

Har Ghari Najane q aas pas rehte ho
Tum Ajeeb mosum ho bas udas rehte ho
kuch bharm tu rekhna hai apne dil ki darkan ka
tum mere ni mgr mere pass rehte ho
main aik larki hon qaid mein mohabbat ki
tum kya ho q naraz rehteh ho
aik din bicharna hai janti hon lekin
tum abi se q badhawas rehte ho
kya koi nai larki aa gyi hai office mein
aj kal kuch zayada hi khush labas rehte ho
hosla ni mj ko tum ko ye batane ka
jheel jese naiana mein mas-e-piyas rehte ho
 
 

tum bhool gaye ho ab shayad

woh din jo sang guzaray thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad
jab jagtay chand sitaray thy, 
tum bhool gaye ho ab shayad

woh panchi jo hum dono ki chahat ke 
naghmay gaatay thy
woh panchi kitnay piyaray thy, 
tum bhool gaye ho ab shayad

duniya ke ghamoon say door kahin,
 chota sa gharonda bana'ain gey
kuch aisay khuwaab humaray thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad

tum jaan ho so bardasht kiya,
 warna to jigar ke paar huye
kuch aisay lafz tumharay thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad

jab ro ro kar meray aagay
 tum ne daman phailaya tha
aur mere ishq ke maray thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad

ab dushman-e-jaan tum kehtay ho
 un logon ko aye jan-e-jaan
jo kal tak jaan say piyaray thy, 
tum bhool gaye ho ab shayad

Meray saath nibhanay kay jo waday
 jaan tumharay thy
mujhe yaad hain woh jo saray thy,
 tum bhool gaye ho ab shayad

 

Prindon ki dunya ka darwaish hoon main

Prindon ki dunya ka darwaish hoon main

Ke shaheen bnata nahi aashiyana

Mujahid Ki Azaan Aur…

Parwaaz Hai Dono Ki Isi Aik Fisa Mein,
Kargis Ka Jahan Aur Hai Aur Shaheen Ka Jahan Aur,
Ilfaz o Muani Me Tafawat Nahi Lekin,
Mulla Ki Azaan Aur, Mujahid Ki Azaan Aur…

Meri Du’aon Me Raha….

Taiz Barish Mein Kabhi Sard Hawaon Me Raha,
Ik Tera Zikr Tha Jo Meri Sadaon Mein Raha,
Kitne Logon Se Mere Gehre Marasim Hain Magar,
Tera Chehra Hi Faqat Meri Du’aon Me Raha….

Mere humdum mohabbat mein

Ager dil haar bethe ho, Mere humdum mohabbat mein,

Fana kesi? Baqa kesi? Saza kesi? Jaza kesi……….?

dil ka haal btana bi mushkil hai

Muhabat ka irada badal jana bi mushkil hai
Tumhain khona bi mushkil hai tumhain pana bi mushkil hai
Udasi tery chehray ki gawara bi nahi lekin
Tere khatir sitaray tor k lana bi mushkil hai
Zara si baat pay ankhein bigo kay beth jate ho
Tuhmain to apnay dil ka haal btana bi mushkil hai

To Mua’af Kar Daina…

Saanson Ki Mohlat Kab Khatam Ho Jaye, Maloom Nahin,

Dukh Koi Mila Ho Meri Zaat Se To Mua’af Kar Daina…

Me Toot’ta Hun To Phir Be-Shumar Hota Hun…

Mujhe Bhi Aaine Jesa Kamal Hasil Hai, 

Me Toot’ta Hun To Phir Be-Shumar Hota Hun…

Meri Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi

Mera Karnama-e-Zindagi Meri Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi,

Ye Kia Nahi, Wo Hua Nahi, Ye Mila Nahi, Wo Raha Nahi…!

Zaroorat Hai Tumhari…!!

Khuwabon Mein Jo Lutf Tha Woh Ab Nahi Raha,

laot Aao Ke Meri Neend Ko Zaroorat Hai Tumhari…!!

zamanay beet jatay hain

Muqaddar azmane main zamanay beet jatay hain
Muradain dil ki panay main zamanay beet jatay hain
Rakhta agar koi himat azhar-e ulfat ki
Zaban par baat lane main zamanay beet jatay hain
Muhabat zindagi main jo bari mushkil se milti hai
Magar us kay nibahne main zamanay beet jatay hain
Agar ik bar ankhon main achanak a basay koi
Usay dil se bhulane main zamanay beet jatay hain

Wo Loog Tarazu…!

Bachpan Hi Se Mahir Hainn Jo Muk-o-Faraib Mein,

Bethy Hain Liye Hathon Mein Wo Loog Tarazu…!

Bhol jana to rasme duniya hai

Bhol jana to rasme duniya hai wasai

Tum ne bhula kar konsa kamal kar diya

sailab hote hain !!!

zaroori nahi ke gham mein nikla aansu…

muskurati ankhon me bhi sailab hote hain !!!

tum se pyar jitane log

Jaysay tumain hum nay caha hai kon bhla yun chahe ga
 
Mana aur bahut ayen gay tum se pyar jitane log

Sawarne Ki Zaroorat Hi Nahi

Us Ko Sajne Sawarne Ki Zaroorat Hi Nahi,

Us Pe Jachti Hai Haya Bhi Kisi Zewar Ki Tarha…

muje chor kar bi chala gaya

woh ajeeb sakhs tha ke main usay aj tak na samjh paya
 
muje chahta bi ghazab ka tha, muje chor kar bi chala gaya

Badalna Nahin Aata….

Mein Zamane Mein Faqat Is Liye Badnam Hun

Mujhe logon Ki Tahan Badalna Nahin Aata….

Hum Us ko Chorr Dete Hain..!

Ana Ki Mooj Masti mein Abhi Bhi Badshah hain Hum

Jo Hum ko Toor Deta hai, Hum Us ko Chorr Dete Hain..!

Ye tajarba bi hua hai

Ye tajarba bi hua hai bujay chiragon se

Keh har indhera hamain dekhna sekhata hai

Meri Har Nazar Teri Muntazir

Gham-e-Hayat, Gham-e-Bandagi,
 Gham-e-Do_Jahan, Gham-e-Jaodan,

Meri Har Nazar Teri Muntazir, 
Teri Har Nazar Mera Imtehaan…!

Koi To Barsat Aisi Ho

Koi To Barsat Aisi Ho Jo Tere Sang Barsy…

Tanha To Meri Aankhen Har Roz Barasti Hain…

Wednesday, October 24, 2012

mohabbat issi ko kehte hain

Mujhe yaqeen hai mohabbat issi ko kehte hain,
Ke zakham taaza rahe aur nishaan chala jaye..

A dream

A dream it was in which I found myself.
And you that hail me now, then hailed me king,
In a brave palace that was all my own,
Within, and all without it, mine; until,

Drunk with excess of majesty and pride,

Methought I towered so big and swelled so wide
That of myself I burst the glittering bubble
Which my ambition had about me blown,

And all again was darkness. Such a dream

As this, in which I may be walking now,
Dispensing solemn justice to you shadows,
Who make believe to listen; but anon

Kings, princes, captains, warriors, plume and steel,

Aye, even with all your airy theatre,
May flit into the air you seem to rend
With acclamations, leaving me to wake

In the dark tower; or dreaming that I wake

From this that waking is; or this and that,
Both waking and both dreaming; such a doubt
Confounds and clouds our moral life about.

But whether wake or dreaming, this I know,

How dreamwise human glories come and go;
Whose momentary tenure not to break,
Walking as one who knows he soon may wake,

So fairly carry the full cup, so well

Disordered insolence and passion quell,
That there be nothing after to upbraid
Dreamer or doer in the part he played;

Whether tomorrow's dawn shall break the spell,

Or the last trumpet of the Eternal Day,
When dreaming, with the night, shall pass away.

mujhe shyd apni hi talash hai……..

Main udas rasta hon tutey sapno ka,
Mujhe ahaton ki talash hay,
ye sitare hain sab bujhe bujhe,
muje jugnoo ki talash hay
her khushi hy mujh se khafa
mujhe zindagi ki talash hay
ek hojoom sa hy rawa dawan
mujhe doston ki talash hay
meri zindgi hay ek rasta
mujhe manzilon ki talash hay
na jane kia hay jo kho gaya hay
mujhe shyd apni hi talash hai……..

Tere Bin Jeena Padta Hai Mujhe

Tere Bin Jeena Padta Hai Mujhe
Yeh Soch K Rona Padta Hai Mujhe
Me Wo Nahi Jo Kisi K Dil Me Bas Saku
Yun Rasto Pe Awara Firna Padta Hai Mujhe
Paa Nahi Sakta Bhawra Kitna Bhi Chahe Phool Ko
Ek Yahi Baat Se Dil Ko Samjhana Padta Hai Mujhe
Milna Hai To Haqiqat Me Sapno Me Nahi
Mat Puch Kitna Rato Ko Tadapna Padta Hai Mujhe
Jeene Ki Tammanna Khatam Kar Di Ashique Ne Sanam
Pata Nahi Kyu Bewaja Jeena Padta Hai Mujhe


Ajab mushkil mein hon

Ajab mushkil mein hon
 Main jana. . .!
Kron main kya mujhe sumjha do na,
Koi hall bata do na,
Main mushkil mein hon,
Duniya k changal mein hon,
Mujhe yahan se nikalo na,
Tumhein pata ha,
Yahan apni khawahishon k chakr main,
Apne mufad ki khatir,
Kai jzbon ko,
Kisi k armano ko,
Zaroort ki chadr orah kar,
Majboori ka kafan pehna kr,
Rishton ki suli charhaya jata ha, 
jana . . . . . !
Tumhein bataon . . 
Is be faiz duniya mein,
Kisi ka ehsan mt lena,
K us ehsan ki khatir,
Tumhein apne eradon ki jaan deni ho gi,
Kahaa ye jata hai k hum mazhabi log,
asoolon pay mbbni humari zindagi,
Jana . . . . . !
Maine dekha hai,
Chehron par naqaboon ko,
Maily dilon ko,
Masoom chehron mein shetano ko,
Makkar shekari k manid,
Chup k war krty hain,
Mujhe dar lgne lga hai,
Meri jaan . . . . !
Aese hi waroon se
Mujhe tum bacha lo na,
Ajab mushkil mein hon,
Main jana. . . . . !
Mujhe is uljhan se nikalo. . . . . . . . !
Main ajab mushkil mein hon.
(Nazim Ali)


 

Tuesday, October 23, 2012

Chalay Aana….!!

Nishaani Apny Ghar Ki Kya Baataon Tujh Ko,

Jahaan Veerraniyan Dekho, Chalay Aana….!!

Na Dil-Azaariyan hotin!

Khud hi hain Baes-E-Takleef Ham Apne Liye,

Na Ham hotay, Na Dil hota, Na Dil-Azaariyan hotin!

thhikana bhool jatay hain

Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain
Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain
Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain
Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain
Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain
Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam karkay wafa’on ka zamana bhool jatay hain
Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain
Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

Kabi Hans Len Gy Kabi Ro Len Gy..!!

Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi Itne Bhi Hum Majboor Nahi,

Dohra Kar Teri Baton ko, Kabi Hans Len Gy Kabi Ro Len Gy..!!

Manzoor Hai Mujhko…

Bus Ye Naa Kehna, Ke Tum Mere Nahin Ho,

Baaki Har Baat Tumhari Manzoor Hai Mujhko….!

bassar kyon nahin hotaa..

Thehra hua kyon hai mere jeevan ke safar mein,

Tu aik hi pal hai to bassar kyon nahin hotaa..

fasaaney mere..

Dunyaa ki be’khabri hai ke meri ruswaayi,

Log mujhko hi sunate hain fasaaney mere..

na bicharte ho....

Riwaaj to yahi hai duniya ka mil jana bichhar jana,

Tum se ye kaisa rishta hai na milte ho na bicharte ho.

sadaa zanjeer ki..

Qaid mere jism ke andar koi wehsshi na ho,

Saanss leta hoon to ati hai sadaa zanjeer ki..

Din Tu Gazar Jata Computer Ke Samne

Ye Doori Jo Hum Mein Hai Tu Ise Khatam Kar
Main Chalta Hon Teri Tarif Tu Meri Simat Chal 
Na Kar Itni Jaldi Apni Manzil Badalne Ki 
Raste Ke Ye Tufaan Waqti Hain,
Rasta Na Badal Meri Or Chal 
Tu Sahil Se Palat Kar Na Jaa
 Mere Ansuwo Ko Dekh 
Ye Ishq Ka Samander Hai Doob Jaa Is Mein,
Badal Jati Hai Qismat Tu Chal 
Kya Kahon Main Ab Tujh Se 
K Kese Guzarti Hai Meri Raat Nazim
Din Tu Gazar Jata Hai Computer Ke Samne 
Our Kitni Daroni Hai Meri Raat Dekh Chal
(Nazim Ali)  


Monday, October 22, 2012

Acha Ni Lagta


تمہارے بعد اس دل کا کھنڈر اچھا نہیں لگتا
جہاں رونق نہیں ہوتی وہ گھر اچھا نہیں لگتا

نیا اک ہمسفر چاہوں تو آسانی سے مل جائے
مگر مجھ کو یہ اندازِ سفر اچھا نہیں لگتا

کھلی چھت پر بھی جا کر چاند سے کچھ گفتگو کر لو
غزل کہنا، پسِ دیوار و در اچھا نہیں لگتا

مسلسل گفتگو بھی اپنی وحشت کو بڑھاتی ہے
مسلسل چپ بھی کوئی ہمسفر اچھا نہیں لگتا

مصور، پینٹنگ اچھی ہے لیکن کیا کہا جائے
شجر ہم کو تو بے برگ و ثمر اچھا نہیں لگتا

خدوخال و قدوقامت بظاہر پہلے جیسے ہیں
وہ جیسا پہلے تھا اب اس قدر اچھا نہیں لگتا

Saturday, October 20, 2012

Kamal Karti Hai..

Bazahir Wo Mera Khayal Karti Hai
 
Jhoot Bolti Hai Magar Kamal Karti Hai..

Teri Zarurat Hai

Yeh Dil He To Janta Hai'n Meri Sachi Mohabbat Ka Aalam ,

Ke Mujhe Jeene Ke Liye Sanso Ki Nahi Teri Zarurat Hai .


Friday, October 19, 2012

kitnay aur thikanay thay

Ham ko sari raat jagaya, jaltay bujhtay taron nay

ham kyun un kay dar par utray, kitnay aur thikanay thay

اٹھنے دیا ہے دھواں

آج کسی غریب کے چولہے کی طرح
جلا ہے دل ______
اور ہم نے بھی ____
کسی غریب بیوہ عورت کی طرح
ماضی کی کسی خوشگوار یاد میں گم
اٹھنے دیا ہے دھواں __ بہت دیر تلک

pareshan hum bhi hain

Tanhayion mein beth kr tum sochtey ho kia

kuch to humein batao pareshan hum bhi hain

aisa Mera Makan kar Do

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!

Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!
Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!

Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,

Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,

Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,

Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!

Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,

Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!






Wednesday, October 17, 2012

Hosh Me Aaye Zamana Hua

Hosh Me Aaye Zamana Hua,
 Lekin Behosh Khud Ko Paate Hain......
Arsa Beeta Iss Duniya Mein, 
Lekin Khud Ko Tanha Paate Hain........

Dar Lagta Hai Lambi Umar Se,
 Itna Duniya Ne Sataya Hai.....
Log Mout Se Dara Karte Hain, 
Hum Zindagi Se Ghabraatein Hain…..


kehte hai ab jeena hi hoga

zakhm dene ka aandaz kuch aisa hai
zakhm dekar puchte hai ab haal kaisa hai
Zeher dekar kehte hai peena hi hoga
jab pi gaye zeher to kehte hai ab jeena hi hoga

Aj phir apne haal par nigha dali maine

Aj phir apne haal par nigha dali maine
jo beeti is dil-e-nadan per guzri woh baat keh dali maine
Sunti rahi zamane ki hazaron baatein
ek tere pyar mein har baat bhula dali maine
Teri zaat se pewasta huyi kuch is tarha
apni hasti bhi mita dali maine
Is kadar yaad kiya sham o sehar tum ko
apni yaad tak mita dali maine
Adhura sa wo sapna matlashi-e-haqiqat hai
Tu hi bata aye Afza kyun takmel na payi isne?

roshan hona chahte hain

Apne honthon par sajaa kar tujhe
ham tere hi geet gaana chahte hain
jal kar bujh jaana hamari kismat sahi
bas ek baar roshan hona chahte hain

Bas ye hi gila hai zindagi se

Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se


Ajeeb shakhs hai



Jab main dooba to samandar ko bi herat hoi

Ajeeb shakhs hai kisi ko pukarta hi nai …… !!!!

Tuesday, October 16, 2012

Tera Gham Apni Jaga

Tera Gham Apni Jaga Duniya Ke Gham Apni Jaga
Phir Bhi Apne Ehad Per Qaaim Hum Apni Jaga
Kia Karain Ye Dil Kisi Ki Na-Sihaa Sunta Hee Nahi
Aap Ne Jo Kuch Kahaa Ay Mohatram, Apni Jaga
Hum Mohad Hain Buuton Ke Poojnay Waalay Nahi
Per Khuda Lagti Kaheen Tou Wo Sanam Apni Jaga
Yaar-e-BeParwaa ! Kubhi Hum Ne Koi Shikwaa Kia ?
Haan Magar In Na-Sapaas Aankhon Ka Nam Apni Jaga
Mehfil-e-Jaanan Ho, Maqtal Ho Ke Maikhaana Faraz
Jis Jaga Jaayein Banaa Laitay Hain Hum Apni Jaga

Romantic Pictures














































































































Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...