Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, April 3, 2012

hai tere liye

Palko par khawab bunte hai tere liye
Jeete aur marte hai ay dil tere liye
Chand me bhi tere hi akx ko dhodha karte hai tere liye
Gulo me bhi teri hi khoshbu ko mehsus karte hai tere liye
Bahar-e-gulistaan me bhi tujhko talasha karte hai tere liye
Ishq-e-ibadat karta hai ye dil bas tere liye
Pathoro ko bhi pooja karte hai hum tere liye
Kalma bhi padha karta hai ye dil tere liye
Rab ki chaukhat par matha teka karte hai tere liye
Roote bachcho ko bhi hasaya karte hai tere liye
Ghar ka kona kona sajaya hai tere liye
Eid ka chand bhi nazar aaya hai tere liye
Teri gurbaat me ye dil samaya hai tere liye
Dil ki dhadkane bhi dhadkati hai ek tere liye
Palko par khawab bunte hai tere liye
Jeete aur marte hai ay dil tere liye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...