Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 9, 2012

zaKhm utne gahare haiN

zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare haiN
log jitne muKhlis haiN zaKhm utne gahare haiN

phool haiN yahaaN kaaNTe, jism haiN yahaaN patthar
kis jahaaN ke baasi the, kis nagar meN Thahare haiN

ziNdagii ka darvaaza khaT_khaTa ke dekhaa hai
is makaan ke maalik, mar chuke ya bahare haiN

mujrim-e-muhabbat hai sher kii adaalat meN
soch ke salaasal haiN, dard ke kaTahare haiN

kis ke tan kii raNgiinii mauj_zan hai seene meN
aaNkh bhii gulaabii hai, ashk bhii sunahare haiN

bhiigtii hawaaoN ke dosh par chale aao
ghaas ke samaNdar par sabz-sabz lahareN haiN

kaise maiN adab kii had phaaNd kar piyooN ''Ali''
ras bharii un aaNkhoN par jab hayaa ke pahare haiN


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...