Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, March 6, 2012

Tera kehna hai...

tera kehna hai...
"mujh ko Khaliq-e-kon-o-makaan ne
kitni dheron naimatein dee hain
meri aankhon mein gehri shaam ka daaman kushaan jadoo
meri baaton mein ujle mausamon ki gul fishaan khushboo
mere lehje ki garmi mauja-e-gul ne tarashi hai
mere alfaz per qaus-e-qazah ki rang paashi hai
mere honton mein daisy ke gulabi phool ki rangat
mere rukhsaar per gulnaar shaamon ki jawan hiddat
mere haathon mein pankharion ki shabnam lams narmi hai
mere baalon mein barsaaton ki raatein apna rasta bhool jaati hain
mein jab dheeme surron mein geet gaati hoon
tu sahil ki hawaein
adh khule honton mein, piyase geet leker
saaya-e-gul mein samat kar baith jati hain
mera fun soch ko tasveer deta hai
mein hurfon ko naya chehra
tu chehron ko huroof nau ka rishta nazar karti hoon
zaban takhleeq karti hoon "
tera kehna mujhe tasleem hai
mein maanti hoon
us ne meri zaat ko behad nawaza hai
Khuda-e-barg-o-gul ke saamne
mein bhi dua mein hoon, sarapa-e-shukar hoon
us ne mujhe itna bohot kuch dedia...

lekin

tujhe de de tu mein jaanoon!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...