Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 10, 2012

Saath nibhaane wala

Hosla chor gaya saath nibhaane wala,

Jaane kis simat gaya aj wo jaane wala,

Aaj phir aankh mein aaye hazaron aansoo.

Aaj phir yaad wo aaya hai bhulaane wala,

Ab kahin ja k mere zakhm bhare hain,

Ab kahin lout k aa jaaye na jaane wala,



Us ka har khuwab salaamat rakhna,

Ghum na dekhe wo mere khuwab jalaane wala,

Ab kahin raah mein mil jaaye to itna kehna,



Mar gaya kab ka tere naaz uthaane wala . .


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...