Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 5, 2012

Nayi tarha say nibhane ki dil ne thaani hy

Nayi tarha say nibhane ki dil ne thaani hy
Wagarna us se mohabbat bohat puraani hy
“KHUDA” wo din na dikhaaye keh main kisi se sunoon
Ke tu ne bhi gham-e-duniya se haar maani hy
Zameen pe reh k sitaare shikaar kerte hyn
Mizaaj ehl-e-mohabbat ka aasmaani hy
Humain aziz ho kyon.ker na sham-e-gham k yehi
Bicharne waale , teri aakhri nishaani hy
Utarr pare ho to darya se poochna kaisa
Ke saahiloon se udhar kitna taiz paani hy
Bohot dinon main teri yaad orh ker utri
Ye sham kitni sunehri hy kia suhaani hy
Main kitni dair tak usay sochta rahoon
Ke jaise us ka badan bhi koi kahani hy…

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...