Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 10, 2012

Mat pouch kis tarah ka tha kaisa laga mujay
Jaisa tha jis tarah ka tha acha laga mujay
Banjer howa hy zehan tu dil sogwar hy
kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay
Parwrda,e fareib-e-nazar tha issi liye
Haton mai tera hath b dhoka laga mujay
Aqs-e-wisal-e-yaar jo aujal huwa tu phir
Rang-e-rukh-e-bahaar b phika laga mujay
Har aik cheez yun tery paikr mein dhall gai
Har aik cheez pr tyra saya laga mujay
Ik justju ka rai’gan hone ko hey mager
Ik rabta k aur b ghehra laga mujay
Pighla ye jisam lamss ki hid’dat sy aaj b
wo mery pass hy Aisa laga mujay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...