Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 5, 2012

koi haath nahi haali hai

koi haath nahi haali hai
baba ya nagree kaisi hai
koi kisi ka dard na janay
sab ko apni apni paree hai
is ka bhi kuch haq hai aakhir
is na mujh sa nafrat ki hai
phool dawa jaisay mehak hain
kisi bemar ki subah hui hai
kaisay katay ki tanhaa tanhaa
itni saree umr paree hai
hum donon ki khoob nibhay gi
main bhi dukhi hn wo bhi dukhi hai
ab gham sa kia naata torrain
zaalim bachpan kaa saathi hai
dl ki haamooshi par na jao
raakh k neechay aag dabi hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...