Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 12, 2012

In Alfazon Ko Dil Ka Asharaa Chahiye Or Bass

Alfaz Tu Dheron Hain Man Mein jane Kiss Ke Liye 
In Alfazon Ko Dil Ka Asharaa Chahiye Or Bass
Tu Phir Ye Mohabbat Na Karne Ki Shart Kesi Nazim 
Gar Ye Tay Hai K Ussi Ka Sath Chahiye Or Bass 
Rehna Hai Rehnay Aaye Hain Tou Dil Mein Rekh Tu Sehi 
In Darveshon Ko Tere Ghar Ka Aik Kona Chahiye  Or Bass 
Jahan Chahe Tou Jo Chahe Mang Lay 
Mere Khawbon Ko Teri Ankhon Ka Sahara Chahiye Or Bass 
 Ye Manzil Hai Teri Issi Ki Dhool Hai Tou 
Mohabbat Naam Hai Is Ka, Tujhe Uttarna Hai Is Mein Or Bass 
Main Sath Reh Sakon Jiss Ke Jo Mera Ho
Sab Ashaar Mere Hain Tere Wajod Ka Rang Bharna Hai Or Bass 
Tang Kar Diya Hai Logon Ne, Kuch Abb Chah Bi Hai 
Mujhe Abb Sawarrna Hai, Tera Ban'na Hai  Or Bass 
Faida Ho Yaa Khasaaray Mein Jaon Maloom Nehi
Is Dil Ki Dukan Ko Abb Chalaana Hai  Or Bass 
Nazim Sab Keh Rehay Hain K Tou Aa 
Lagta Hai Abb Dil Ka Qaidi Ban'na Hai, Banana Hai  Or Bass 
( Nazim Ali ) 

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...