Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 10, 2012

Her aik lamha sataain tum ko

Ujaar lamhon ki daastanain 
ager kaho tou sunaain tum ko
Bohat sa hum jagtey rahey hain 
chalo zara sa jagaain tum ko

Tumhi ho jo rashni si ban ker 
humari aankhon mein aa basey ho
Jab apni aankhain hi keh dya hai 
tou phir bhala kyun rulain tum ko

Tum aaj kyun muztarib ho janan,
tumharey lehjay mein toot kesi
Kaha na tha tum say waqt dai ga 
kadooraton ki sazaain tum ko

Tum aisa kerna k aik lamhay ko 
apni dharkan peh haath rakhna
Meri wafaain merey ye jazbay
 ager kabhi yaad aain tum ko

Ghubaar aalud raaston mein
 talaash ker ker k thak gaye hain
Kahan peh jaa k basay huye ho
 kahan se hum dhoond lain tum ko

Tumhain tou sukh aagay muyaser 
tumhain to hum yaad bhi nahi hain
Magr batao k hum jo chahain tou
 kis tarah se bhulaain tum ko

Tum apni baaton peh mutmain ho 
hamein bhi shermindagi nahi hai
Anaa ki diwaar ko gira ker nahi
 ye mumkin manaain tum ko

Kaho ae jazib ye jhoot hai naa k
 tum ne us ko bhula dya hai
Abhi talak jis ki shokh yaadein
 her aik lamha sataain tum ko

 
Image

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...