Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 10, 2012

chehre anjane mile

Bheer main chaaron taraf chehre anjane mile
Mere apne aaj mujh se ban ke begane mile
Tha bharosa doston par itna ke mujh se na pooch
Jin ke hathon main they pathar log pehchane mile
Ban ke marham waqt hi bharta hai har ek zakham ko
Jesey jese waqt beeta zakham purane mile
Kis ke aagay rotay or sunate apni dastaan
Basti thi ujri hui sunsaan thikane mile
Ab na maangen ge Illahi zindagi ki bheekh hum
Ishq main shamma ki yeh kehte hue parwane mile
Dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko
Chund tootay dil ke tukray unko nazrane mile
Maazi ki yaad main sab doobay hue thay is qadar
Khawab tere shehar ke sab log deewane mile

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...