Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 14, 2012

bharooN kesay

maiN kahti teri chahat ki fiza maiN punkh bharooN kesay
wo bola k bichri huwei koonj k tootey huwey par se
maiN kahti thei samandar maiN khushi k kis tarha utrooN
kaha be-aa’b mahi ka sa paira’haN pahan dekho
maiN kahti thei chalo itna tu ho gha dard ki zanjeer tootey ghi
wo bola khawab-e-zeest ki teray taa’beer tootey ghi
maiN kahti thei tu kia ye tey hai k meray khawab jhoothey they
wo bola haaN yehi tey hai teray tumhaa’ray lufz jhoothey they
maiN kahti thei sara’bi hum they ya ye dunia he dhooka thei
wo bola baat hai itni tumhari payaa’s zaida thei
maiN kahti payaas asi hai k dar’yaa khud pukaa’ray gha
wo bola haar jaa’oo ghi suno waa’pis palat jaa’oo
maiN kahti thei meray baad tum tanhaa na rah jaa’oo
wo bola halqa-e-yaaraa’N bohat hai saath dainay ko
maiN kahti thei bohat mumkiN hai ye dukh jaaN lay jaa’ey
wo kahta tha tumhaiN kitna hai dukh maiN aazmaa’ooN gha
maiN kahti thei kaho itna kahaN taak aazmaa’oo gay’ay
wo bola bus wahaN taak , jab tum apni jaa’N se jaa’oo gay’ay
phir us k baad kitni dair taak maiN kuch nahi boli

Image

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...