Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, February 20, 2012

Aaj Apna Haal-e-Dil Hum Ko Suna Kar Daikhiye

Ho Sakey To Rukh Say Pardey Ko Hatta Kar Daikhiye

Aaj Apna Haal-e-Dil Hum Ko Suna Kar Daikhiye



Jaan Jaayein Gey Wafa Mein Hum Kisi Say Kam Nahin

Aap Bas Dil Ka Dareecha Khatkhata Kar Daikhiye



Jab Kabhi Mujh Ko Bulaaney Ki Tamana Dil Mein Ho

Mairey Koochey Ki Taraf Bas Kasmasa Kar Daikhiye



Aap Ke Zor-o-Sitam Ko Kab Talak Sehti Rahoon?

Mairey Jazbon Ko Kabhi To Aazma Kar Daikhiye



Ye Taqaaza Mairi Ulfat Ne Kiya Hai Aap Say

Diakhiye Jab Bhi Kabhi To Muskura Kar Daikhiye



Zeest Ki Raanaaiyaan Hon, Ya Nishaat-e-Wasl Ho

Ho Sakey To Mairi Aankhon Mein Sama Kar Daikhiye



Kyun Jhijhaktey Hain Humaari Khasta Haali Daikh Kar

“Kitni Wusat Hai Humaarey Dil Mein Aa Kar Daikhiye”

















































No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...