Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, January 31, 2012

O Des Se Aane Waale Bata

O Des Se Aane Waale Bata
O Des Se Aane Waale Bata
Kis Haal Main Hain Yaraan-E- Watan
Aawaara-E- Ghurbat Ko Bhi Suna
Kis Rang Main Hain Kina'an-E- Watan
Wo Baagh-E- Watan, Firdaus-E- Watan
Wo Sarv-E- Watan, Rehaan-E- Watan
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Ab Bhi Watan Main Waise Hi
Sar-Mast Nazzare Hote Hain
Kya Ab Bhi Suhaani Raaton Ko
Wo Chaand Sitare Hote Hain
Hum Khel Jo Khela Karte The, Kya
Ab Bhi Wo Saare Hote Hain
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Shaadaab Shagufta Phoolon Se
Ma'moor Hain Gulzar Ab Ke Nahin
Baazar Main Maalan Laati Hai
Phoolon Ke Gundhe Haar Ab Ki Nahin
Aur Shauq Se Toote Parte Hain
Nau-Umr Khareedar Ab Ki Nahin
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Ab Bhi Wahaan Waisi Hi Jawaan
Aur Madh-Bhari Raaten Hoti Hain
Kya Raat Bhar Ab Bhi Geeton Ki
Aur Piyaar Ki Baaten Hoti Hain
Wo Husn Ke Jaadu Chalte Hain
Wo Ishq Ki Ghaaten Hoti Hain
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Ab Bhi Wahaan Ke Panghat Per
Pinhariyaan Paani Bharti Hain
Ungraai Ka Naqsha Ban Ban Kar
Sab Maathe Pe Gaagar Dharti Hain
Aur Apne Ghar Ko Jaate Huwe
Hansti Hui Chehlen Karti Hain
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Ab Bhi Pahaari Ghatiyon Main
Ghanghor Ghataain Goonjti Hain
Saahil Ke Ghanere Pairon Main
Barkha Ki Sadaain Goonjti Hain
Jhengur Ke Taraane Jaagte Hain
Moron Ki Sadain Goonjti Hain
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Ab Bhi Wahaan Melon Main Wohi
Barsaat Ka Joban Hota Hai
Phaile Huwe Bad Ki Shaakhon Main
Jhoolon Ka Nasheman Hota Hai
Umde Huwe Baadal Hote Hain
Chaaya Huwa Sawan Hota Hai
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Ab Bhi Wahaan Barsaat Ke Din
Baaghon Main Bahaarain Aati Hain
Maasoom-O Haseen Do-Shizaain
Barkha Ke Taraane Gaati Hain
Aur Tetariyon Ki Tarha Se Rangeen
Jhoolon Per Lehraati Hain
O Des Se Ane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Pehli Si Hai Maasoom Abhi
Wo Madrase Ki Shaadaab Fiza
Kuch Bhoole Huwe Din Guzre Hain
Jis Main Wo Misaal-E- Khwaab Fiza!
Wo Khel, Wo Hum-Sin, Wo Maidaan
Wo Khwaab-Gah-E- Mehtaab Fiza
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Ab Bhi Kisi Ke Seene Main
Baaqi Hai Humari Chaah Bata
Kya Yaad Humain Bhi Karta Hai Ab
Yaaron Main Koi Aah Bata
O Des Se Aane Wale Bata
Lillah Bata! Lillah Bata!
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Kya Ab Bhi Fajar Dum Charwahe
Rewar Ko Charaane Jaate Hain
Aur Shaam Ke Dhundhle Saayon Ke
Hum-Raah Ghar Ko Aate Hain
Aur Apni Raseeli Bansriyon 
Main Ishq Ke Naghme Gaate Hain
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Aakhir Main Ye Hasrat Hai Ke Bata
Wo Ghairat-E- Eimaan Kaisi Hai
Bachpan Main Jo Aafat Dhaati Thi
Wo Aafat-E-Dauraan Kaisi Hai
Hum Donon The Jis Ke Parwaane
Wo Shama-E-Shabistaan Kaisi Hai
O Des Se Anae Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Marjana Tha Jis Ka Naam Bata
Wo Ghuncha Dehn Kis Haal Main Hai
Jis Per The Fida Tiflaan-E- Watan
Wo Jaan-E- Watan Kis Haal Main Hai
Wo Sarv-E- Chaman, Wo Rashk-E- Watan
Wo Seemi-Badan Kis Haal Main Hai
O Des Se Aane Wale Bata

O Des Se Aane Wale Bata
Ab Naam-E- Khuda Ho Gi Wo Jawaan
Maike Main Hai Ya Susraal Gai
Dosheeza Hai Ya Aafat Main Use
Kam-Bakht Jawaani Daal Gai
Ghar Per Hi Rahi Ya Ghar Se Gai
Khush-Haal Rahi, Khush-Haal Gai
O Des Se Aane Wale Bata
              -------------

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...