Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, January 30, 2012

Lab-E Khaamosh Se Afshaa Hogaa

Lab-E Khaamosh Se Afshaa Hogaa 
Raaz Har Rang Mein Rusvaa Hogaa 

Dil Ke Saharaa Mein Chali Sard Havaa 
Abr Gulzaar Pe Barsaa Hogaa 

Tum Nahin The To Sar-E-Baam-E-Khayaal 
Yaad Kaa Koi Sitaaraa Hogaa 

Kis Tavaqqo Pe Kisi Ko Dekhen 
Koi Tum Se Bhi Hasin Kyaa Hogaa 

Zeenat-E-Halqaa-E-Aaghosh Bano 
Door Baitho Ge To Charchaa Hogaa 

Zulmat-E-Shab Mein Bhi Sharmaate Ho 
Dard Chamkegaa To Phir Kyaa Hogaa 

Jis Bhi Fankaar Ka Shaahkaar Ho Tum 
Us Ne Sadiyon Tumhen Sochaa Hogaa 

Kis Qadar Karb Se Chataki Hai Kali 
Shaakh Se Gul Koi Tootaa Hogaa 

Umr Bhar Roye Faqat Is Dhun Mein 
Raat Beeti To Ujaalaa Hogaa 

Saari Duniyaa Hamen Pahchaanti Hai 
Koi Ham-Saa Bhi Na Tanhaa Hogaa


                           


Labon Pe Narm Tabassum Rachaa Ke Dhul Jaayen 
Khudaa Kare Mere Aansoo Kisi Ke Kaam Aayen 

Jo Ibtada-E-Safar Mein Diye Bujhaa Baithe 
Vo Bad-Naseeb Kisi Kaa Suraagh Kyaa Paayen 

Talaash-E-Husn Kahaan Le Chali Khudaa Jaane 
Umang Thi Ki Faqat Zindagi Ko Apanaayen 

Bulaa Rahe Hain Ufaq Par Jo Zard-Roo Teele 
Kaho To Ham Bhi Fasaane Ke Raaz Ho Jaayen 

Na Kar Khudaa Ke Liye Baar-Baar Zikr-E-Bahisht 
Ham Aasmaan Kaa Mukarrar Fareb Kyon Khaayen 

Tamaam Maikadaa Sunsaan Maigusaar Udaas 
Labon Ko Khol Kar Kuchh Sochti Hain Meenaayen


                                 


Marun To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaaun 
`Nadeem` Kaash Yahi Ek Kaam Kar Jaun 

Ye Dasht-E-Tark-E-Muhabbat Ye Tere Qurb Ki Pyaas 
Jo Izaan Ho To Teri Yaad Se Guzar Jaaun 


Mera Vajood Meri Rooh Ko Pukaarta Hai 
Teri Taraf Bhi Chalun To Thahar Thahar Jaaun 

Tere Jamaal Ka Paratau Hai Sab Haseenon Par 
Kahan Kahan Tujhe Dhoondhun Kidhar Kidhar Jaaun 

                                                        
Main Zinda Tha Ki Tera Intazaar Khatm Na Ho 
Jo Too Mila Hai To Ab Sochta Hun Mar Jaaun 

Ye Sochataa Hun Ki Main Butparast Kyun Na Huaa 
Tujhe Qareeb Jo Paaun To Khud Se Dar Jaaun 

Kisi Chaman Mein Bas Is Khauf Se Guzar Na Huaa 
Kisi Kali Pe Na Bhoole Se Paanv Dhar Jaaun 

Ye Ji Mein Aati Hai Takhleeq-E-Fan Ke Lamhon Mein 
Ki Khun Ban Ke Rag-E-Sang Mein Utar Jaaun


                                


Wo Koi Aur Na Tha Chand Khushk Patte The
Shajar Se Toot Ke Jo Fasl-E-Gul Pe Roye The
Abhi Abhi Tumhen Socha To Kuch Na Yaad Aaya
Abhi Abhi To Ham Ek-Doosre Se Bichre The

                              
Zehnon Men Khayaal Jal Rahe Hain
Sochon Ke Alaaw-Se Lage Hain
Duniya Ki Girift Men Hain Saaye
Ham Apna Wujood Dhoondhte Hain
Ab Bhookh Se Koi Kya Marega
Mandi Men Zamir Bik Rahe Hain
Maazi Men To Sirf Dil Dukhte The
Is Daur Men Zehan Bhi Dukhe Hain
Sir Kaatate The Kabhi Shahanshah
Ab Log Zubaan Kaatate Hain
Ham Kaise Churayen Shab Se Daaman
Din Niklaa To Saaye Chal Pare Hain
Laashon Ke Hujoom Men Bhi Hans Den
Ab Aise Bhi Hausle Kise Hain

                          
Zeest Azar Hui Jaati Hai
Saans Talawar Hui Jaati Hai
Jism Bekaar Hua Jaata Hai
Rooh Bedaar Hui Jaati Hai
Kaan Se Dil Mein Utarti Nahin Baat
Aur Gufatar Hui Jaati Hai
Dhal Ke Nikli Hai Haqiqat Jab Se
Kuch Purasraar Hui Jaati Hai
Ab To Har Zakhm Ki Munh-Band Kali
Lab-E-Izahaar Hui Jaati Hai
Phool Hi Phool Hain Har Simt `Nadeem`
Raah Dushwaar Hui Jaati Ha 

             -------------------


Mujhe Kal Mera Ek Saathi Milaa 
Jis Ne Ye Raaz Kholaa 
Ke Ab Jazba-O-Shauq Ki Vahshaton Ke Zamaane Gaye

Phir Vo Aahistaa-Aahistaa Chaaron Taraf Dekhtaa 
Mujh Se Kahne Lagaa 

Ab Bisaat-E-Muhabbat Lapeto 
Jahan Se Bhi Mil Jaaye Daulat Sameto 
Gharz Kuchh To Tahzeeb Seekho
                      -----------------


Ret Se But Na Banaa Ai Mere Achche Fankaar 

Ek Lamhe Ko Thahar Main Tujhe Patthar Laa Doon 
Main Tere Saamne Ambaar Lagaa Dun Lekin 
Kaun Se Rang Ka Patthar Tere Kaam Aayegaa 
Surkh Patthar Jise Dil Kahti Hai Be-Dil Duniyaa 
Yaa Vo Pathraai Hui Aankh Ka Neela Patthar 
Jis Mein Sadiyon Ke Tahayur Ke Pare Hon Dore 

Kya Tujhe Rooh Ke Patthar Ki Zaroorat Hogi 
Jis Pe Haq Baat Bhi Patthar Ki Tarah Girti Hai 
Ik Vo Patthar Hai Jise Kahte Hain Tahzeeb-E-Safed 
Us Ke Mar-Mar Mein Siyah Khoon Jhalak Jaataa Hai 
Ik Insaaf Kaa Patthar Bhi To Hotaa Hai Magar 
Haath Mein Teshaa-E-Zar Ho To Vo Haath Aataa Hai 

Jitne Mayaar Hain Is Daur Ke Sab Patthar Hain 
Sher Bhi Raqs Bhi Tasveer-O-Ginaa Bhi Patthar 
Mere Ilhaam Teraa Zahan-E-Rasaa Bhi Patthar 
Is Zamaane Mein Har Fan Kaa Nishan Patthar Hai 
Haath Patthar Hain Tere Meri Zuban Patthar Hai 
Ret Se But Na Banaa Ai Mere Achche Fankaar

               -------------------



Shaam Ko Subah-E-Chaman Yaad Aai 
Kis Ki Khushboo-E-Badan Yaad Aai 

Jab Khayaalon Mein Koi Mod Aaya 
Tere Gesoo Ki Shikan Yaad Aai 

Yaad Aaye Tere Paikar Ke Khutoot 
Apni Kotaahi-E-Fan Yaad Aai 

Chaand Jab Door Ufaq Par Doobaa 
Tere Lahaje Ki Thakan Yaad Aai 

Din Shuaaon Se Ulajhte Guzraa 
Raat Aai To Kiran Yaad Aai

                     ------------------


Ahmed Nadeem Qasmi Mushaira - Michigan USA




                                    


Ahmad Nadeem - Mushaira - Zindagi Ke Jitne Darwaze



                               

Ahmed Nadeem Qasmi - Mushaira 1998 -




                               

Ahmed Nadeem Qasmi - Mushaira - Yeh Hikayat Hai Koi



                               

Ahmed Nadeem Qasmi - Mushaira - Tang Aa Jaate hain


                               

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...