Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, January 30, 2012

Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do

Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do 
Shahr-E-Gul Baada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do 

Talkhi-E-Hosh Ho Yaa Masti-E-Idraak-E-Junoon 
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do 

Mujh Ko Yaaro Na Karo Rahnumaaon Ke Supurd 
Mujh Ko Tum Rahguzaaron Ke Havaale Kar Do 

Jaagne Vaalon Ka Toofaan Se Kar Do Rishta 
Sone Vaalon Ko Kinaaron Ke Havaale Kar Do 

Meri Taubaa Kaa Bajaa Hai Yahi Ejaaz "Adam" 
Mera Saaghar Mere Yaaron Ke Havaale Kar Do




Ai Mai-Gusaaron Savere Savere 
Kharaabaat Ke Gird Phere Pe Phere 

Badi Roshni Bakhshte Hain Nazar Ko 
Tere Gesuon Ke Muqaddas Andhere 

Kisi Din Idhar Se Guzar Kar To Dekho 
Badi Raunaqen Hain Faqeeron Ke Dere 

Gham-E-Zindagi Ko "Adam" Saath Lekar 
Kahaan Jaa Rahe Ho Savere Savere




Ab Do Aalam Se Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe 
Dil Ki Aahat Se Teri Aavaaz Aati Hai Mujhe 

Yaa Samaat Ka Bharam Hai Yaa Kisi Naghmen Ki Goonj 
Ek Pahchaani Hui Aavaaz Aati Hai Mujhe 

Kis Ne Khola Hai Havaa Men Gesuon Ko Naaz Se 
Narm-Rau Barsaat Ki Aavaaz Aati Hai Mujhe 

Us Ki Naazuk Ungliyon Ko Dekh Kar Aksar "Adam" 
Ek Halki Si Sadaa-E-Saaz Aati Hai Mujhe 




Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote 
Baagh Men Phool Khil Gaye Hote 

Aap Ne Yoon Hi Ghoor Kar Dekhaa 
Honth To Yoon Bhi Sil Gaye Hote 

Kaash Ham Aap Is Tarah Milte 
Jaise Do Vaqt Mil Gaye Hote 

Ham Ko Ahl-E-Khirad Mile Hi Nahin 
Varnaa Kuchh Munfail Gaye Hote 

Us Ki Aankhen Hi Kaj-Nazar Thin "Adam" 
Dil Ke Parde To Hil Gaye Hote



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...