Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 29, 2011

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…

==
Badla na teray bad b mozo-e-guftago”
“Tu ja chuka hai phir b meri mehfalon mein hai


Hum Mar Jayen Gy

Hum Mar Jayen Gy
Ik Din dekh Lena
...

Roo Do Gy Bohat
Tum Us Din Dekh Lena

Duniya Main Hain
To Parwa Nhi Hamari

Chorr Jayen Gy
Tumhain Ik Din
Dekh Lena

Aansu Chupatey
Phiro Gy Sb Se
Tum

Itna Hum Yaad
Aayen Gy Dekh
Lena

Kuch Yaadain
Mithi Mithi Si
Tum Ko Bohat
Satayen Gi,?

Tum Khud Ko Na
Rok Pao Gy Dekh
Lena,

Mana K Kuch Nahi
Hain Aaj Hum
Tumhare Liye

~ Jaana ~

Kal Tumharey
Liye Ik Yaad Ban
Jayen Gy Dekh
Lena..!


Raazdaro se bachkar chalta hoon

Raazdaro se bachkar chalta hoon
ghamghusaaron se bachkar chalta hoon
mujhko dhoka diya sahaaron ne
ab sahaaron se bachkar chalta hoon
==

shab-e-gham ki seher nahih hoti
ho bhi to mere ghar nahin hoti
zindagi tu hi mukhtasar ho ja
shab-e-gham mukhtasar nahin hoti
==
maine masoom baharon mein tumhe dekha hai
main puurnoor sitaron mein tumhe dekha hai
mere mehboob tere parda nasheeni ki kassam
main ashqon ki kataroon mein tumhe dekha hai


Pyar Bass Tu Nehin Hai Mera Lekin Phir Bhi

Inhein Zindagi Ki Sogat Do

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi

Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi

Qurbat Kay Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash
Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Kay Baad Bhi

Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahein Pay Hai
Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Kay Baad Bhi

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Ussay Adeem
Dil Ka Tamam Haal Sunanay Kay Baad Bhi

JO KHAYAL THAY NA QAYAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JO KHAYAL THAY NA QAYAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY
MERI ZINDAGI KEE JO AAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JINHAIN MAANTA HEE NAHEEN YEH DIL, WAHEE LOG HAIN MAIRAY HUMSAFAR
MUJHAY HAR TARAH SAY JO RAAS THAY WAHEE LOG MUJH SAY BICHAR GAYAY

MUJHAY LAMHA BHAR KEE RAFA'QATON KAY AZAB AUR SATAYAINGAY
MERI UMR BHAR KEE JO PIYAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

YEH KHAYAL SAARAY HAIN AARZI, YEH GULAB SAARAY HAIN KAAGHZI
GUL-E-AARZO KEE JO BAAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JINHAIN KAR SAKA NAAA QABOOL MAIN, WOH SHAREEQ-E-RAAH SAFAR HUWAY
JO MERI TALAB MERI AAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

YEH JO RAAT DIN JO MAIRAY SAATH HAIN WAHEE AJNABI KAY HAIN AJNABEE
WOH JO DHARKANON KEE ASAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JO KHAYAL THAY NA QAYAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JO KHAYAL THAY NA QAYAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY
MERI ZINDAGI KEE JO AAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JINHAIN MAANTA HEE NAHEEN YEH DIL, WAHEE LOG HAIN MAIRAY HUMSAFAR
MUJHAY HAR TARAH SAY JO RAAS THAY WAHEE LOG MUJH SAY BICHAR GAYAY

MUJHAY LAMHA BHAR KEE RAFA'QATON KAY AZAB AUR SATAYAINGAY
MERI UMR BHAR KEE JO PIYAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

YEH KHAYAL SAARAY HAIN AARZI, YEH GULAB SAARAY HAIN KAAGHZI
GUL-E-AARZO KEE JO BAAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

JINHAIN KAR SAKA NAAA QABOOL MAIN, WOH SHAREEQ-E-RAAH SAFAR HUWAY
JO MERI TALAB MERI AAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

YEH JO RAAT DIN JO MAIRAY SAATH HAIN WAHEE AJNABI KAY HAIN AJNABEE
WOH JO DHARKANON KEE ASAS THAY WAHEE LOG HUMSAY BICHAR GAYAY

mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna

mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna

Wahmay Saray tery apnay hain

Wahmay Saray tery apnay hain
hum khan tuj ko bhool saktay hain

meri Aankhoo mai ek Mudet say
Qaflay Rutjagoo k tehray hain

Sir burhana hawaoo say Pocho
Zaeqay Hijratoo k kaisay hain

Baaz ouqaat Khushek pattay bhi
Paaoo perty hain Cheekh Utthtay hain

ishiq k Khush Gumaan Mosem mai
pethroo mai Gulaab khiltay hai


Ham Ne Soch Rakhaa Hai

Ham Ne Soch Rakhaa Hai
Chahe Dil Ki Har Khuwahish
Zindagi Ki Aankhon Se Ashk Ban K Beh Jaie
Chahe Ab Makeenon Per
Ghar Ki Saari Deewarain
Chat Sameet Gir Jaien
Aur Be-Muqadar Hum
Is Badan K Malbe Main Khud Hi Kion Na Dab Jaaien

Tum Se Kuch Nahin Kehna
Kaisi Neend Thi Apni
Kaise Khwab The Apne
Aur Ab Gulabon Per
Neend Wali Aankhon Per
Narm-Khu See Khuwabon Per
Kion Azab Tote Hain

Tum Se Kuch Nahin Kehna
Ghir Gaie Haain Baton Main
Be-Libas Baton Main
Is Taarah Ki Raton Main
Kab Chiragh Jalte Hain, Kab Azab Talte Hain
Ab To In Azabon Se Buch K Bhi Nikalne Ka Raasta Nahin Jaanan
Jis Tarah Tumhain Such K Lazawal Lamhon Se Wasta Nahin Jaanan

Ham Ne Soch Rakha Hai
Tum Se Kuch Nahin Kehna

wo baat mai itna bedelta jata hai

wo baat mai itna bedelta jata hai
k jis trah koi lehja bedelta jata hai

ya arzo thi k hum oss k sath chalain
mager wo shakes Rasta bedelta jata hai

Rutain Wisaal ki ab Khwab honay wali hai
k iss ki baat ka lehja bedelta jata hai

Rha jo Dhoop mai sir per mery,wohi Aanchel
Hawa chali hai to kitna bedelta jata hai

wo baat ker jisay Duniya bhi Moutber Samjhay!!
tujhe khaber hai zamana bedelta jata hai

Kaise Bataaoon Main Tumhe Mere Liye Tum Kaun Ho

Kaise Bataaoon Main Tumhe Mere Liye Tum Kaun Ho, Kaise Bataaoon Kaise Bataaoon Main Tumhe Tum
Dhadkanon Ka Geet Ho Jeevan Ka Tum Sangeet Ho Tum Zindagi Tum Bandagi Tum Roshni Tum Taazgi Tum
Har Khushi Tum Pyaar Ho Tum Preet Ho Manmeet Ho Aankhon Mein Tum Yaadon Mein Tum Saanson Mein
Tum Aahon Mein Tum Neendon Mein Tum Khwaabon Mein Tum Tum Ho Meri Har Baat Mein Tum Ho Mere Din
Raat Mein Tum Subaah Mein Tum Shyaam Mein Tum Soch Mein Tum Kaam Mein Mere Liye Paana Bhi
Tum Mere Liye Khona Bhi Tum Mere Liye Hasna Bhi Tum Mere Liye Rona Bhi Tum Aur Jaagna Sona Bhi
Tum [ Kaise Bataaoon Song ] Jaaoon Kahin Dekhoon Kahin Tum Ho Vahan, Tum Ho Vahin Kaise
Bataaoon Main Tumhe Tum Bin To Main Kuch Bhi Nahin Kaise Bataaoon Main Tumhe Mere Liye Tum Kaun
Ho Yeh Jo Tumhaara Roop Hai Yeh Zindagi Ki Dhoop Hai Chandan Se Tarsha Hai Badan Behti Hai Jis
Mein Ek Agan Yeh Shokhiyaan Yeh Mastiyaan Tumko Hawaaon Se Mili Zulfein Ghataaon Se
Mili Honton Mein Kaliyaan Khil Gayi Aankhon Ko Jheele Mil Gayi Chehre Mein Simti Chaandni Aawaaz
Mein Hai Raagini Sheeshe Ke Jaisa Ang Hai Phoolon Ke Jaisa Rang Hai Nadiyon Ke Jaisi Chaal
Hai Kya Husn Hai Kya Haal Hai Yeh Jism Ki Rangeeniyaan Jaise Hazaaron Titliyaan Baahon Ki Yeh
Golaaiyaan Aanchal Mein Yeh Parchhaaiyaan Yeh Nagriyaan Hai Khwaab Ki Kaise Bataaoon Main
Tumhe Haalat Dil-E-Betaab Ki Kaise Bataaoon Main Tumhe Mere Liye Tum Kaun Ho Kaise Bataaoon,
Kaise Bataaoon Kaise Bataaoon Main Tumhe Mere Liye Tum Dharam Ho Mere Liye Imaan Ho [ Kaise
Bataaoon Song ] Tum Hi Ibaadat Ho Meri Tum Hi To Chaahat Ho Meri Tum Hi Mera Armaan Ho Takta
Hoon Main Har Pal Jisse Tum Hi To Voh Tasveer Ho Tum Hi Meri Taqdeer Ho Tum Hi Sitaara Ho
Mera Tum Hi Nazaara Ho Mera Yudhyaan Mein Mere Ho Tum Jaise Mujhe Ghere Ho Tum Purab Mein Tum
Pachhim Mein Tum Utar Mein Tum Dakshin Mein Tum Saare Mere Jeevan Mein Tum Har Pal Mein Tum Har
Chir Mein Tum Mere Liye Rasta Bhi Tum Mere Liye Manzil Bhi Tum Mere Liye Saagar Bhi Tum Mere
Liye Saahil Bhi Tum Main Dekhta Bas Tumko Hoon Main Sochta Bas Tumko Hoon Main Jaanta Bas Tumko
Hoon Main Maanta Bas Tumko Hoon Tum Hi Meri Pehchaan Ho Kaise Bataaoon Main Tumhe Devi Ho Tum
Mere Liye Mere Liye Bhagwaan Ho Kaise Bataaoon Main Tumhe Mere Liye Tum Kaun Ho 
 
 
 
 

Ek khwahish jise daba diya maine is dil mein..

Ek khwahish jise daba diya maine is dil mein..

tanhaiyo mein doobi rahi mai bhari mehfil mein...

meri manzil hi apna raasta kho gayi...

unke intezaar ki jab intehaan ho gyi....


Sagar se bhi gehra tha pyaar humara....

lehron pe likh diya tha naam tumhara...

meri kashti bhi saahil se anjaan ho gayi...

unke intezar ki jab intehaan ho gyi...


Hum kya kare ye to kismat ka ishara tha...

humne to dil se unko bahut pukaara tha...

shayad ye dil ki awaaz hi bezubaan ho gayi...

unke intezar ki jab intehaan ho gayi....


Lagta hai humari kismat ne to pehle hi de diya tha ishara....

in haatho ki lakeeron mein na tha jo naam tumhara...

na jaane kyu aisi dastaan ho gyi...

jo tumhare intezar ki intehaan ho gyi....


Umeedo ko dil mein zinda rakha tha humne...

par aansuo se aankhein pareshan ho gyi..

saansein lena bhi jaise ab saza ho gyi....

jo tumhare intezar ki intehaan ho gyi....
 
 


Bohat Kuch Mujhe Kehna Hai

Bohat Kuch Mujhe Kehna Hai
Bohat Kuch Tune Kehna Hai
Dilo Mein Jitne Jazbe Hai
Labon Par Unko Lana Hailllllllllllll
Magar Ye Majra Kya Hai
...
...Ke Hum Kahmosh Bete Hai
Na Mujh Se Baat Hoti Hai
Na Tum Izhaar Kartey Ho
Tumhe Maloom Hai Sub Kuch
Jo Mere Dil Mein Hai
Tumhare Dil Ke Haal Se
Main Bhi Agaah Hu Lekinl,lc
Mujhe Khamosh Rehna Hai
Tumhe Khamosh Rehna Hai
Magar Ye Kab Talak Hoga
Hume Khamosh Lamhon Ne
Juda Agar Kar Diya To Phir
Mujhe Tum Se Gila Hoga
Tumhe Mujh Se Gila Hoga
Humhe Ab Dil Ki Aag Se
Khud Ko Bachana Hai
Dilo Mein Jitne Jazbat Hai
Labo Par Unko Lana Hai
 
 

تم سے کچھ نہیں کہنا

تم سے کچھ نہیں کہنا
ہم نے سوچ رکھا ہے
چاہے دل کی ہر خواہش
زندگی کی آنکھوں سے اشک بن کے
بہہ جائے
چاہے اب مکینوں پر
گھر کی ساری دیواریں چھت سمیت گر جائیں
اور بے مقدر ہم
اس بدن کے ملبے میں خود ہی کیوں نہ دب جائیں
تم سے کچھ نہیں کہنا
کیسی نیند تھی اپنی،کیسے خواب تھے اپنے
اور اب گلابوں پر
نیند والی آنکھوں پر
نرم خو سے خوابوں پر
کیوں عذاب ٹوٹے ہیں
تم سے کچھ نہیں کہنا
گھر گئے ہیں راتوں میں
بے لباس باتوں میں
اس طرح کی راتوں میں
کب چراغ جلتے ہیں،کب عذاب ٹلتے ہیں
اب تو ان عذابوں سے بچ کے بھی نکلنے کا راستہ نہیں جاناں!
جس طرح تمہیں سچ کے لازوال لمحوں سے واسطہ نہیں جاناں!
ہم نے سوچ رکھا ہے
تم سے کچھ نہیں کہنا

Zikr Us Parivash Ka, Aur Phir Bayaan Apna

Zikr Us Parivash Ka, Aur Phir Bayaan Apna
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna

Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai

Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai
Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai

Na Muzda-E-Visaal Na Nazaara-E-Jamaal
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai

Mai Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be Hijaab
Ae Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai

Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna
Kya Auj Par Sitara-E-Gauharfarosh Hai

Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai

Ae Taaza Vaaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil
Zinhaar Gar Tumhen Hawas-E-Na-O-Nosh Hai

Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai

Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai

Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat
Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gulfarosh Hai

Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai

Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Main
Naa Vo Suruur-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai

Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui
Ik Shamma Rah Gai Hai So Vo Bhi Khamosh Hai

Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Main
‘Ghalib’, Sarir-E-Khaama Navaa-E-Sarosh Hai


Saturday, August 27, 2011

CHAND GHULAAB AUR MEIN........

CHAND GHULAAB AUR MEIN........


CHAND GHULAAB AUR MEIN........
JO KEHTA THA AKSAR MUJHKO
CHAND, GHULAAB AUR TERA CHEHRA AIK SE LAGTAY HAIN
SHAYAD USKO KHOOB KHABAR THI
K
CHAND BANA HAI SHAB KA HISSA
GHULAAB BANA HAI PATJHARR KA HISSA
AUR MERE HISSAY AYA TO SIRF DARD-E-HIJR


 



Mere Ander Sans Lena ChoRr Day

Mere Ander Sans Lena ChoRr Day
AaY UdaSsi !
Mera Peecha ChoRr DaY
ChanD Kiya Aangun May Utraa Hay Kabhi !
Sun meri Jaan !
Ye Tammanna ChoRr DaY
Too Kabhi Sokhay PaTtOon PaY Likh !
SabaZ ShaKho Ka QaSeeDa ChoRr DaY ... !!!!











Mere Sathi !

Mere Sathi !
Meri Aankhain , Meri Sochain , Mera TanMan
Mera Sub Kuch Safer May Hay
Isi Din Say K Jub Hum Per
Judae Ka Samay Guzra


Suno JanaA. . . Suno JanAa !
Tumhay Tou YaaD Hi Hoga
Main Aisa Chahetaa Kub Tha Mager Phir Bhi
Tumhay JuB ChoRr Ker Jana Paraa Mujh Ko
TumHaray Gal Per Main Ny Jo ManZar Aakhri Dekha
Azeat Naak Manzar Tha
Tumhay Bhi Yaad Ho ShayaD
Bicharrtay Waqt Kay Suraj Ki Is Dheemi Tamazat Say
Tere Dil Per Jami Jub Barf Pighli Thi
Tou Phir Jazbat Kay Darya Main Ik SelaaB Aaya Tha
Koi GarDaab Aaya Tha


Suno JanAa !
Tou Phir Dekha K Selaab Ki Ik Moj
Teri Aankh K Sahil Say Takra Ker
Teri PalKoOn k Rastay Say Tere RukhSaar Per Aa Ker
Koi Gumnaam Manzil Dhondnay Lamby Safer May Thi
Mager Jana Meri Nazar May Thi


Suno JanaA !
Yaqee�n Jano
K Ab Bhi Raat Ko Akser
Tere AansOo Ki Lambi Musafat
YaaD Aey Tou
Mujhy BeChain Rakhti Hay
Mujhy Shub bher Jagati Hay
Mujhy Pagal Banati Hay�.!!!! 


Allah Insaan Sey Fermata Hey

Allah Insaan Sey Fermata Hey

Meri Teraf A Ker Tou Dekh
Mutawjah Na Hoon Tou Kehna

Meari Rah Main Chal K Tou Dekh
Rahain Na Khol Doon Tou Kehna

Mujh Sey Sawal Ker K TouDekh
Bakhshish Ki Had Na Ker Doon Tou Kehna

Meray Liye Beyqader Ho K Tou Dekh
Qader Ki Had Na Ker Doon Tou Kehna

Meray Liye Lut K Tou Dekh
Rehmat K Khazaney Na Luta Doon Tou Kehna

Meray Liye Bik K Tou Dekh
Anmool Na Ker Doo Tou Kehna

Mujhey Rab Maan K Tou Dekh
Sab Sey Beyniyaaz Na Kerdoon Tou Kehna

Meray Khauf Sey Ansoo Tu Baha K Tou Dekh
Maghfirat K Darya Na Bahadoo Tou Kehna

Wafa Ki Laaj Nibha K Tou Dekh
Ata Ki Had Na Kerdoon Tou Kehna

Meray Naam Ki Tazem Ker K Tou Dekh
Hakim-e-Takreem Ki Inteha Na ker Dooon Tou Kehna

Apni Hasti Ko Fana Ker K Tou Dekh
Jam-e-Baqa Sey Serfaraz Na Kerdoon Tou Kehna

Mujhey HAiYULKAYUUM Man K Tou Dekh
Abdi Hayat Ka Ameen Na Banadoon Tou Kehna

Mera Ho K Tou Dekh
Her Kisi Ko Tera Na Bana Doon Tou Kehna
 
 
 

kaha naa piyar hay tum say

kaha naa piyar hay tum say
tu phir kiyo zid tumhari hay

kay jab bi tum milo muj say
yahi iqrar ho lab par

mujay tum say mohabbat hay
tumhay maloom hay jaana!!

mohabbat to mohabbat hay
yea tu Aankhoo may dhikti hay

haseen say Khwab ki soorat
yea tu aik phool sa jazba hay

kay jis may rang bi aur khushboowo ka sath hota hay

bohat inmool jazba hay
yea izhaar ki shidat ka talib bi nahi hota


bohat chup chaap jazba hay
dabay pawoo hi chala aata hay

magar jo naksh iss kay hay bohat hi gahray hotay hay

inhay kahna nahi parta
lab tu khamosh hotay hay magar izhaar hay hota

kabi Aankho ki shookhi say
kabi batoo ki khoshboo say
yea jazba chuup nahi pata

yea sab batain hay mairi jaana, tumhay maloom hi tu hay
tumhari hi kahi tu hay

tu phir kiyo zid tumhari hay kay jab bi
mea miloo tum say yahi izhaar ho lab par
mujay tum say mohabbat hay

magar tum janti ho na tumhari baat ko jaana
nahi main taal sakta hoon
chaloo ikrar karta hoon
mujay tum say mohabbat hay........
 
 

Janta Hoon Tu Mera Ho Nahi Sakta

 
Janta Hoon Tu Mera Ho Nahi Sakta
Magar Yeh Soch Ker
Keh
Dunia, Hadsaat
Ajoobat
Aur
Itafaqat Ki Ser Zameen Hay
Khud Ko Dhokay Main Lay Aata Hoon
Kia Aay Dost
Sha'oor-e-Zaat Kho Saktay Ko
Apni Raah Badal Saktay Ho
Kia Khud Ko Dubo Saktay Ho
Kia Sach Ki Nafi Ker Saktay Ho

 



Tu pyar ka saagar, mamta ki moorat hai

Tu pyar ka saagar, mamta ki moorat hai
Teri aankhon mein masoomiyat bhari
Tu dharti pe khuda ki surat hai
Tujh bin duniya hai kitni adhoori

Har aansoo ko chupa ke, apne
Tune jise chalna sikhaya
Tod ke tune apne sapney
Uski aankhon ka har sapna sajaya

Yeh nasamjhi nahi hai, badtamiji hai uski
Jo usne tere pyar ko na samjha
Jahan leni thi usse izazat teri
Wahan khud ki marzi ka raub dikhaya

Phir bhi uski har bhool ko tune
Apne pyar ke aanchal me samaya
Uski badsalooki ko baccha hai, keh ke
Duniya ke saamne usse chadaya

Maa yeh teri kismat nahi teri galti hai
Jo tune uss se umeed lagayi
Zindgi ka uska har faisla galat hai
Ye janke bhi tune uski har galti chupayi

Sirf isi liye taki pitaji na mare usse
Sirf isi liye ki tu na dekh sakti thi kabhi usse rote
Par soch Maa, in sabke badle kya mila tujhe
Aaj tu ro rahi hai, kaun hai jo tujhe chup kara de

Maa, yeh kudrat bhi ajeeb cheez bana gaya
Nau maah ki pida se leke ab tak imtihan leta gaya
Har kadam pe usse milti gayi safalta
Par phir bhi woh khuda usse rulata gaya
Isse zyada kya bura hona tha uske saath
Ki jisko usne duniya ki har takleef se bachaya,
Wo nasamajh hi apni MAA ko rula gaya

Jab hum roye, tujhe pukara Maa
Dard mein bhi tera naam liya
Tere bina har kaam adhoora hai Maa
Phir bhi kyun tujhe itna apmaan kiya

Kehte hain, aap jisse sabse zyada pyar karo
Ussi ko hi aap dukh-takleef dete ho
Nahi manti main is baat ko
Kyunki jisse aap sache dil se pyar karo
Usse kya aap kabhi dukhi dekh sakte hoo...


Main Dukhi Nahi Tha,

Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Jab Ek Toofan Meri Jindgi Ko
Or Mere Ashiyane Ko Ek Hi Pal Me Mita Gaya
Or Main Koi Shikwa Bhi Na Kar Saka Or Na Hi Shikayat,
Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Jab Sab Log Puchte The Mujhe
Ki Main Sab Ke Saath Hote Huye Bhi Kahan Hun,
Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Bhi Jab Aksar Main Jor Se Hansjaya Karta Tha
Apne ansuon ko chupane ke liye
Or Meri Ankhon Main Chupe Huye Ansu
Mere Rokne Par Bhi Meri Palkon Par Nahi Ruk Paate The,
Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Bhi Jab Main sona chahata Tha
Or Main So Nahi Paata Tha,
Main Us Waqt Bhi Dukhi Nahi Tha,
Jab Tumhara Ek Sapna Mujhe Raaton Ko Bechain Kar Jata Tha,
Main Dukhi Nahi Tha,
Jabki Main Janta Tha Ki Meri Har Khushi Tum Thi
Meri Har Chahat Tum Thi Or Tum Hi Meri Nahi Thi.
Main Dukhi Nahi Tha,
Us Waqt Bhi Jab Main Apne Hathon Ki Rekha Main Tumhai Pata Tha
Or Chahakar Bhi Unhai Mita Nahi Paata Tha,
Main Dukhi Kabhi Nahi Tha Kabhi Bhi Nahi.
Us waqt bhi nahi jab main hasna chahata tha ,
khush rahana chahata tha
or main aesa nahi kar paata tha...
 



If I could catch a rainbow

If I could catch a rainbow
I would do it just for you
And share with you its beauty
On the days you're feeling blue.

If I could build a mountain
You could call your very own;
A place to find serenity,
A place to be alone.

If I could take your troubles
I would toss them in the sea,
But all these things I'm finding
Are impossible for me.

I cannot build a mountain
Or catch a rainbow fair,
But let me be what I know best,
A friend who's always there.

If I could catch a rainbow

If I could catch a rainbow
I would do it just for you
And share with you its beauty
On the days you're feeling blue.

If I could build a mountain
You could call your very own;
A place to find serenity,
A place to be alone.

If I could take your troubles
I would toss them in the sea,
But all these things I'm finding
Are impossible for me.

I cannot build a mountain
Or catch a rainbow fair,
But let me be what I know best,
A friend who's always there.

Tum Khafa Kyun Ho?

Tum Khafa Kyun Ho?Tumhein Mujhse Gila Kya Hai?

Achanak Be-rukhi Itni?
Batao Toh HUa Kya Hai,

Manaon Kis Tarah Tumko?
Mujhe Itna Toh Bata Do,

Agar Ab Ho Sakay Tumse,
Toh Yeh Ehsaan Kardo,

Meri Manzil Hai Muhabbat,
Mujhe Manzil Pe Poncha Do,

Tumhari Aankh Mein Ansu,
Mujhe Achay Nahi Lagtay,

Tumharay Naram Honton Pe,
Gilay Acchay nahi Lagtay,

Tumharay Muskuranay Se,
Mera Dil Bhi MUskurata Hai,

Tumharay Ruth Janay Se,
Mera Dil Toot Jata Hai.....!!!!


 

mein ne roka b nahi wo thehra b nahi

mein ne roka b nahi wo thehra b nahi
hadsa kia tha jisy dil ne bhulaya b nahi

jany walon ko kahan rok saka hay koi???
tum chaly ho to koi rokny wala b nahi

wo to sadiyon ka safar kar k yahan poncha tha
tu ne monh pher k jis shakhs ko dekha b nahi

ek musafir hay jisy teri talab hay kb se
ehtraman tery koochay se guzarta b nahi

Friday, August 26, 2011

Ek Baar Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko


Ek Baar Ek Baar Kaha Tha Us Ne Mujh Ko
Main Hanste Achha Lagta Hoon
Is Baat Ko Pahroon
 Yaad Main Kar Ke
 Ab Pal Pal Rota Rehta Hoon
 Jin Aankhon Ko Dekh Kar Kaha ThaUs Ne
 In Se Maat Maine Khayi Hai
In Aankhoon Mein Ab Kuch Bhi Nahi
 Bas Ek Hi Gham Ki Parchhayi Hai
 Us Ka Yeh Kehna Yaad Hai Mujh Ko
 Tum Se Pyaar Main Karti Hoon
 Har Pal Mere Sath Hote Ho
 Haan Yah Iqraar Main Karti Hoon
 Woh Door Suhane Sapnon Ka Sab Jhoot
 Par Mabni Nikla Tha
 Tumhe Pehchanne Se Bhi Inkaar Tha
 Yoon Roop Tumhara Badla Tha
Ab Haal Hai Apna Kuch Aisa
 Sab Ke Taane Sunta Rehta Hoon
Tum Mere The
 Tum Mere Ho
 Ab Sab Se
 Yahi Kehta Hoon
 
 

Thursday, August 25, 2011

mere mohsino mere doston mujhe zindagi ki dua na do

mere mohsino mere doston mujhe zindagi ki dua na do
main tou pyar ke qabeel nahi mujhe dil mein itni jagah na do


mujhe shauq-e-zeest na raha mujhe zindagi ne diya kya hai
main maroon yeh mujhko haq hai ,main jeeun yeh mujhko saza na do

woh bane the mere jo humsafar wohi chal diye mujhe chhod ke
main jahan se aayi hoon ghamzada mujhe phir wahin se sada na do

iss zindagi ki shaam ka mujhe darr tha iss anjaam ka
mujhe ek aansoo ki tarah kahin aankh se tum gira na do

iss dayaar mein ik saya-e-deewar mein
main jo so gayi hoon chain se mujhe phir neend se jaga na do.

Pichlay pehar ki raat thi, Tanhai aur teri yaad thi..

Pichlay pehar ki raat thi, Tanhai aur teri yaad thi..
Chaand nay mujh say



kaha Kon hay? ,Main nay kaha Koi sath nahi..
Bola zindagi kaise hay? , main
nay kaha Koi khas nahi..
Bola phir kya chahtay ho? ,Main nay kaha Koi Aas
nahi..
Bola tum nay pyar kiya hay? ,Main nay kaha Kuch yaad nahi..
Bola
tumharay sath b dhoka hua hay? ,main nay kaha Aisi koi baat nahi..
Bola to
phir tum say ik baat kahoon? , Main nay kaha koi aetaraaz nahi..
Bola phir
tum nay b pyar kiya hay Aur ab wo tumharay sath nahi...

Bahut Dino Ki Baat Thi

Bahut Dino Ki Baat Thi
Shabab Par Bahar Thi,

Fiza Bhi Khushgawar Thi
Na Jane Kyon Machal Pada


Main Apne Ghar Se Chal Pada
Kisine Mujhko Rok Kar

Badi Ada Se Tok Kar
Kaha Ke Laut Aaiye

Meri Kasam Na Jaaiye
Meri Kasam Na Jaaiye

Magar Mujhe Khabar Na Thi,
Mahol Par Nazar Na Thi,

Na Jane Kyon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada,

Phir Sheher Se Main Aagaya,
Khayal Tah Ke Paa Gaya

Use Jo Mujhse Doori Thi
Magar Meri Zaroorat Thi

Phir Ek Haseen Shaam Ko
Main Chal Pada Salam Ko

Gali Ke Rang Dekhkar
Naye Tarang Dekhkar

Mujhe Badi Khushi Hui
Main Kuch Isi Khushi Mein Tha

Kisine Jhank Kar Kaha
Paraye Ghar Se Jaaiye

Meri Kasam Na Aaiye
Meri Kasam Na Aaiye

Wohi Haseen Shaam Hai
Bhar Jiska Naam Hai,

Chala Hoon Ghar Ko Chhod Kar
Na Jane Jaunga Kidhar

Koi Nahi Jo Rok Kar
Koi Nahi Jo Tok Kar

Kahe Ke Laut Aaiye
Meri Kasam Na Jaaiye
Meri Kasam Na Jaaiye...


Door reh kar na karo baat qareeb ajao

Door reh kar na karo baat qareeb ajao
Yaad reh jaye yeh raat qareeb ajao,



Ek muddat say Tamanna thi tumhe Choone ki
Aj bas main nahi jazbaat qareeb ajao,

Sard jhoke se bharakte hainbadan main shooley
Jaan le legi ye raat qareeb ajao,

Apna sar mere kandhon pe rakhdo zara
Beet na jayen ye lamhat Qareeb ajao...

ہم تو کل بھی کہتے تھے

ہم تو کل بھی کہتے تھے
اپنے عکس کی کالک
دُھل سکے تو دھو ڈالو
عکس کی صباحت کو
" برص " چاٹ لیتا ہے
ہم تو کل بھی کہتے تھے
اپنی ٹیڑھی آنکھوں کے
تِرچھے زاویے بدلو
زاویے جو تِرچھے ہوں
مستقیم راہوں کا
کب سُراغ ملتا ہے؟
آئینے کی عظمت سے
اب حقارتیں کیسی؟
عکس سے گُریزاں ہیں
اب بصارتیں کیسی؟
اپنے آپ سے کب تک؟
یوں نظر چُراؤ گے
آئینہ جو توڑو گے
خُود بھی ٹُوٹ جاؤ گے


Suno!

Suno!
Tum Azm Walay Ho

Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga


Magar Dekho
Jisay Tum Chhoray Jatay Ho

Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!

Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao......

Suno!

Suno!
Tum Azm Walay Ho

Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga


Magar Dekho
Jisay Tum Chhoray Jatay Ho

Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!

Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao......

Bhol Gaye Afsane Kitne -Bikhre Khuwab Suhane Kitne

Bhol Gaye Afsane Kitne -Bikhre Khuwab Suhane Kitne
Do Ankhen Hain Sagar Teri-Un Mein Hain MeKhane Kitne
Saqi Ne Jab Aankh Milae-Toot Gaye Pemane Kitne

Shama To Ik Raat Jali Thi-Jal Gaye The Parwane Kitne
Apno Ki Tum Baat Na Chero-Apne Hain Begane Kitne

Jangal Jangal Ronaq Dekhi-Shehron Mein Weran E Kitne
Mujh Ko Mujh Se Chen K Tora-Ab Bantay Ho Anjane Kitne

"Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi !!!

"Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi !!!
Jeeton To Tujhay Paon Haroon To Piya Teri ♥


Her Lehza Khayal Rakhon Gi Srif Itna!!!
Beth Jaon To Bhi Teri Aur Uth JAon To Bhi Teri ♥

Kuch Kar Loon Haal Apna Aisa Humsafar !!
Aankh Lagay To Bhi Teri Aankh Khulay To Bhi Teri ♥

Teri Har Aahat Pay Paa Loon Gi Tabeer Aisi !!
Hans Jaon To Bhi Teri Rooth Jaon To Bhi Teri ♥

MAy Saath Doon Tera Kuch Aisay JAan-E-jahan ♥
Zinda Rahoon To Bhi Teri Mar Jaon To Bhi Teri..!!!!


"Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi !!!
Jeeton To Tujhay Paon Haroon To Piya Teri ♥


Her Lehza Khayal Rakhon Gi Srif Itna!!!
Beth Jaon To Bhi Teri Aur Uth JAon To Bhi Teri ♥

Kuch Kar Loon Haal Apna Aisa Humsafar !!
Aankh Lagay To Bhi Teri Aankh Khulay To Bhi Teri ♥

Teri Har Aahat Pay Paa Loon Gi Tabeer Aisi !!
Hans Jaon To Bhi Teri Rooth Jaon To Bhi Teri ♥

MAy Saath Doon Tera Kuch Aisay JAan-E-jahan ♥
Zinda Rahoon To Bhi Teri Mar Jaon To Bhi Teri..!!!!

Jab Log Juda Ho Jatay Hain

Jab Log Juda Ho Jatay Hain
Sab Ehad Wafa Ho Jatay Hain

Jab NIyat Main Fatoor sa HO
Sab Amal GUnah Ho Jatay HAin

Jab Tere Baray Main Sochtay Hain
Sab Lafaz Dua Ho Jatay Hain

Jab Ghurbat Dar Pay Dastak De
Sab Yaar Khafa Ho Jatay Hain

Jab Waqt Dikhata Hay Aankhen
Sultan Gada Ho Jatay Hain

Tu Jab Bhi Mere Sath Na Ho
Tehwar Saza HO Jatay Hain

Jab Nafrat Lafzon Main Utray
Tab Apne Juda Ho JAtay Hain

Ye Duniya Hay Ae Mere Dost
Yahan Insan Khuda Ho Jatay HAin


Dil BEhal Jaye To Chor Detay Hain Log

Dil BEhal Jaye To Chor Detay Hain Log
KOi Aur Mil Jaye TO Chor Detay Hain Log

Chaar Din KI Chandni Ki Qadar Karna Dosto
Chandni Dhal Jaye To Chor Detay Hain Log

Qasmain To Khatay Hain Log Sada Saath Jeene Ki
Zehan Badal Jaye To Chor Detay Hain Log

Din Badal Jayen To Jazbat Badal Jatay Hain
Halat Badal Jaye To Chor Detay Hain Log

Log Mohabbat Karte Hain Matlab K Liye
Matlab Nikal Jaye To Chor Detay Hain Log


Tou Wohi Khwab Hai

Bhool

Dhiyan Rekhna

Chand Jalta Rahaa

Chand Jalta Rahaa

Wo Mera Kab Tha Jo Abb Nehin Hai

Chand Or Main

Anchal

Wo Samaa Lajaawab Hota Hai

Udaas Tum Bi Ho...!!!

Udaas Tum Bi Ho...!!!

Meri Har Khushi Tere Naam

Ye Thora Sa Jevaan Adhura sa Mausam

Ye Thora Sa Jevaan Adhura sa Mausam
YE Rangon Ki chahat, Ghulabon Ki Hasrat

YE Roshan Sawere, Ye Madham Andhere
Kisi Roz Taha Milo To BAtayen

Khaalon Ki Rahen, Chamakti Nigahen
Wafayen Nibhana, Adayen Dikhana

Ye Ek Silsala Hay, Magar Fasla Hay
Agar Jaan Jao To Ehsah Rakhna, Esay Raaz Rakhna

Karo Aik Waada, Banao Irada
Mulaqat Karlo, Wohi Baat Karlo

Kisi Roz Tanha MIlo To Batayen
Hamaro Muhabbat Tumhari Wafayen


Wednesday, August 24, 2011

Chalo Khawab Aankhon Main SAja Kar Dekhttay Hain

Chalo Khawab Aankhon Main SAja Kar Dekhttay Hain
Ham hi Kisi Ko Apna Bana Kar Dekhtay Hain

Khoon K Rishton Se To Aetbar Uth Gaya
Chalo Benaam Rishtay Bana Kar Dekhtay Hain

Zindgi Aasan ho jaye Shayad Hamari
Chalo Hath KI Lakiren Mita KAr Dekhtay Hain

Andheri Shab To Kisi Surat KAt’ti Nahi
Chalo GHar APna Jala Kar Dekhtay Hain

HAmen MAloom Hay K Usne Hamara Hona NAhi
Chalo Us Per Ye Zindgi Luta Kar Dekhtay Hain



Chalo Khawab Aankhon Main SAja Kar Dekhttay Hain

Chalo Khawab Aankhon Main SAja Kar Dekhttay Hain
Ham hi Kisi Ko Apna Bana Kar Dekhtay Hain

Khoon K Rishton Se To Aetbar Uth Gaya
Chalo Benaam Rishtay Bana Kar Dekhtay Hain

Zindgi Aasan ho jaye Shayad Hamari
Chalo Hath KI Lakiren Mita KAr Dekhtay Hain

Andheri Shab To Kisi Surat KAt’ti Nahi
Chalo GHar APna Jala Kar Dekhtay Hain

HAmen MAloom Hay K Usne Hamara Hona NAhi
Chalo Us Per Ye Zindgi Luta Kar Dekhtay Hain



Agar main dil lagi karta To jeene se na youn darta

Chalo Phir shart lag jay
Main sabit aaj kar dongi

K tum ne Dil lagi ki hay
Mohabbat naam ki ki hay

Sun kar uski Baton ko
Main bola saada dil larki

Agar main dil lagi karta
To jeene se na youn darta

Mohabbat nam ki karta
Wafayen aam si karta

Magar phir bhi
Teri taskeen ki khatir ye kehta hon
Haan! Main ne dil lagi ki thi

Tujay apna he samjha tha
Tuj se dil lagaya tha

Jahan na koi gham pohanchay
wahan tuuj ko chupaya tha

Magar jaana’n yaqeen jaano
Tumhare hosle ki daad deta hon

K kitni Be rukhi se tu ne keh dala
Chalo Phir shart lag jaye
K tum ne Dil lagi ki hay



Tumhen jab rubaru dekha karengay

Tumhen jab rubaru dekha karengay
Ye socha hay buhat socha karengay

Nazar main chodvin ka chaand hoga
samandar ki zuban bola karengay

Tumhara aks jab utray ga dil main
Badan main aainay tuta karen gay

Bicharna hay to ye tay kar lein ab se
Judai ka safar Tanha karen gay

Na aae ga koi ilzam tum per
Ham apne aap ko Ruswa karen gay

Es uljhan mein kati hayumer Mohsin
k pal do pal main ham kaya kaya karen gay


Main akser usay kehat hon,

Main akser usay kehat hon,
Tum shor buhat Machati ho

Phir wo mujse kehti hay
Jab kalai meri tum pakro gay

Choori to meri khankay gi
Choori ka shor to hota hay

jab payar se mujay bulao gay
Tab Daur k main aaoungi

phir payal meri khanke gi
payal ka shor to hota hay

jab bindiya meri chamke gi
Ye aankh mein teri dhamke gi

Jazbay phir shor machayen gay
Jazbon ka shor to hota hay

Zulf meri suljhatay hoe
Jab ghajre ko bikhrao gi

Tab saansen meri mehken gi
Saanson ka shor to hota hay


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...