Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 31, 2011

Bekar Hai Sahab.......!!!

Bholna Akhtiyar Se Bahar...

Aazad Kar Day..!!!

Udan Ki Khashboo

Ankhon Mein Raha Dil Mein Uttar Kar Nehi Dekha

Zindagi Bewafa Si Lagti Hai

Na Kaha Hua na Suna Hua ...

Koi Shaam Ghar Bi Raha Karo...!!!

Magar Woh Raat...!!!

Aik Lamhay ko Hawa Tak Bi Na Hayal Ho Gi

Pani Jahan Nehi Tha....!!!

Dost Bi Aksar Ghairon Se lagte Hain.....!!!

Rehne Day Meri Ankh Mein Ek Khawab Adhoraa...!!!

Kisi Yaad Mein

Mujh Se Juda Bi....!!!

Woh Tot Bi Sakti Hai

Woh Dua Tum TU Nehi

Ye Ishq Mein Doba Hua

suno aye chand c larki

suno aye chand c larki,
abhi tum keh rahi thi na,
tumhe mujhse mohabat ho nahi sakti..
chalo mana k yeh sach hai,
magar aye chand c larki,
mujhy itna batao tum,
k jab mosam badltay hain,
gulon main rang bharty hain,
tu phir kyon muztarib ho ker,
akely pan se gabra ker,
hawa ko raaz deti ho,
mujhy awaz deti ho..
suno aye chand c larki,
tumhary samnay koi mera jab naam leta hai,
tu phir kyon chonk jati ho?
chalo mana tumhe mujhse mohabat ho nahi sakti..
magar itna samjh lo tum,
jahan chahat nahi hoti,
wahan nafrat k honay ka koi imkan nahi hota,
mera dawa hai chahat main jahan nafrat nahi hoti,
wahan aksar ye dekha hai,
agar kuch waqt kat jaye,
samay ki dhool chat jaye,
tu wehshat bhag jati hai,
mohabat jag jati hai….

Wo Such Na Bolta Mujh Se

Wo jo pochti

Wo jo pochti
hy mjse bar bar
k
”Zindagi” kia hy
or
mout kia hy?
Aaj tuje bata don!
Tuje paa lia to
“Zindagi”hy..
Tuje kho dia to
“Mout”hy.

Ho Gayi Dil

Ho Gayi Dil
Ko Teri
Yaad Se Ik Nisbat_e_Khaas..
Ab To Shayed Hi Muyassar Kabi Tanhayi
Ho…!

Barson ky inatazaar ka anjaam likh diya

Barson ky inatazaar ka anjaam likh diya
kaghaz py shaam kaat ky phir shaam likh diya
Bikhri paree thi toot ky kaliyan zameen par
tarteeb dy ky maine tera naam likh diya
Allah zindagi sy kab tak nibhaon main
kis bewafa ky saath mera naam likh dia
Taqseem ho rahi theen khudai ki naimatain
ik ishq bach gaya so mairy naam likh dia
Qaisar kissi ki dain hy yeh shairee meri
kiski ghazal py kis ny mera naam likh dia

Wednesday, March 30, 2011

Izhar Ho Meri Ankhon Se

samaa Gia Woh

Meri Or Meri Tanhai

Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay

Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay,
Hum ko jana hai kahin shaam se
pehlay pehlay.
Khush ho ay dil, k mohabbat to nibha di tun ne,
Log
ujar jatay hain anjaam se pehlay pehlay.
Ab Us k zikr pe hum
baat badal detay hain,
Kitni rughbat thi Us k naam se pehlay pehlay.
Samnay
umar pari hai shab-e-tanhaai ki,
Wo mjhay chor gaya shaam se pehlay
pehlay.
Kitna acha tha k hum b jiya karte the,
Ghair-maroof
se, gumnaam se pehlay pehlay

qatra qatra bheeg raha hai surat mere khayalon ki

qatra qatra bheeg raha hai surat mere khayalon ki
sath chalon ya rek jaon har tarif lekhi ijazat hai....

Tuesday, March 29, 2011

Hum Sabhi Khawab Churatay Teri Ankhon Se Magar

Hum Sabhi Khawab Churatay Teri Ankhon Se Magar
Teri Palkon Ko
Khabar_Daar Na Hony Detay
Hum Sabhi Rung Churatay Tere Chehray Se
Magar
Be_Asar Tere Lab_o Rukhsar Na Honay Detay
Tujh Se
Miltay Teri Saanson Se Mila Kr Saansain
Ek Bhi Saans Gunah-Gaar Na
Honay Detay
Hum Tujhay Dukh Bhi Sunatay Tu Lateefon Ki Tarah
Hum
Tabiyat Teri Be_Zaar Na Honay Detay
Hum Girha Kholtay Sub Teri
Shanasaai Ki
Tujh Ko Is Tarah Se Pur_iSraar Na Honay Detay..

Misal-e-Moj-e-Hawa dr-ba-dr wo aisa tha

Misal-e-Moj-e-Hawa dr-ba-dr wo aisa tha
bichar k phir na mila
hum’safar wo aisa tha
khud apne sir liya elzam-e-be’wafai tk
kaha na kuch bhi usy Motbar wo aisa tha
usy basaye howe thi bala ki
veerani
dyar-e-hijr me abad ghar wo aisa tha
bus ek khuwab ne
needen nichor lein apni
sama gaya meri nas nas mein dar wo aisa tha

Mohbton men shumar kaisa...!!!

Mohbton men shumar kaisa
Yaqeen kaisa
Gumaan kaisa
Orooj kaisa
Ziwal kaisa
Swaal kaisa
Jwaab kaisa
Mohabten to mohabten hain
Mohabton men hisaab kaisa..!

Kahin Chaand Raaton Mein Kho Gaya

Kahin Chaand Raaton Mein Kho Gaya,
Kahin Chaandni Bhi Bhatak Gayi
Main Chiraag Woh Bhi Bujha Hua,
Meri Raat Kaise Chamak Gai
Meri Dastaan Ka Urooj Tha,
Teri Narm Palkon Ki Chaon Mein
Mere Saath Tha Tujhe Jaagna,
Teri Aankh Kaise Jhapak Gai
Kabhi Hum Miley To Bhi Kya Miley
, Wohi Dooriyan Wohi Faasley
Na Kabhi Hamarey Qadam Barhey,
Na Tumhari Jhijhak GaiTujhe Bhool Jane Ki Koshishein,
Kabhi Qaamyaab Na Ho Sakin
Teri Yaad Shaakh-E-Gulaab Hai,
Jo Hawa Chali To Lachak Gai

Us k nazdeek

Us k nazdeek
Ghum-e-tark-e-wafa kuch B nahi,
mutma"in aise hai jaise hua kuch B nahi,
Ab tu hathon se lakirain B mit"ti jati hain,
Us ko keh do k mere pas bacha kuch B nahi,
Main tu iss wasty chup hoon k tamasha na ban jaee,
wo smjhta hai k mujhe us se gilla kuch B nahi.

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?


Tumein Paa Nehi Sakta.....!!!!

Zara Jee Ke Dekho....!!!

Abb Tu Mumkin Hi Nehi Un se Muaqat Wasi

ret par likh k mera nam mitaya na karo

ret par likh k mera nam mitaya na karo
ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo
log har bat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ki rudad sunaya na karo
ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho
pyar k zaKhm amanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsas main patthar bahut hain ‘Mohsin’
dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo


kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar
huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k
teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake
koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k
mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k
teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k .


Ajeeb Hijar Parasti Thi

Ajeeb Hijar Parasti Thi
Us Ki Fitrat Main
Shajar K Tuutey Patty
Talash Krta Tha
Tamam Raat Wo Parde
Hata K Chaand K Saath
Jo Kho Gaye Wo Lamhe
Talaash Kerta Tha …

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Man Me Hi Chup Chaap Phira Kartay Thay
Aankhon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Tufan Utha Kartay Thay
Sach Samajhte Thay Teri Muhobbat Ko
Dil Main Kya Phool Khila Kartay Thay
Ghar Ki Dewaar Sajaanay Ki Khaatir
Ham Tera Naam Likha Kartay Thay
Kal Tujhay Daik Kar Yaad Aaya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay thaY

Mujhay Tum Se Mohabbat Thi

Mujhay Tum Se Mohabbat Thi
Main Ab Iqraar Karta Hoon
Bahut Pehlay Jo Karna Tha
Woh Ab Izhaar Karta Hoon
Bahut Chaaha Tha Ban Jaoo’n
Kabhi Saaya Tumhara Main
Tumhari Aankh Mein Chamkoo’n
Kabhi Ban Ke Sitaara Main
Koi Jazbaa He Ban Jaoo’n
Tumharay Dil Mein Pal Jaoo’n
Adaa Ho Jaoo’n Honto’n Se
Naye Lafzo’n Mein Dhal Jaoo’n
Hawaa Ka Jhau’nka Ban Jaoo’n
Tumhari Zulf Se Khailoo’n
Tumhain De Kar Khushi Apni
Tumharay Saaray Gham Le Loo’n

wo jo teray dil k qareeb tha

wo jo teray dil k qareeb tha,
wo na jane kis ka naseeb tha,
tujay hans k jis ne bhula dia,
tu bhi muskara k usay bhool ja
BaNa K ChoR dEte HaIn wo APnI ZaAt Ka AadI.....
KuCh
Log is TrHA b MUhAbbaTon Ki SaZa DeTE hAin......

LAAKH AZEEYATEIN APNI JAGAH USKE ISHQ MEIN


LAAKH AZEEYATEIN APNI JAGAH USKE ISHQ MEIN
USKI AIK MUSKAAN BOHOT HAI MERE GHAM MITANAY K LIYE

Phir Ussi Kahani Ki Log Baat Karte Hain

Alfaz Mein Par Jaye Gi

Khush Hon Yaadon Ki

Aye Shehr Hasti Dekh Zara

Tere Jamal Ki Tafseer Kar rahaa Hon

Manazar Kyun Nashelay Lag Rehy Hain

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...