Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, December 21, 2011

Apni tanhaioon se poocha hai

Apni tanhaioon se poocha hai
Shab-e-hijraan se baat ker li hai
Mere under ki sehmi khamoshi
Mere bahar ka hunsta chehra bhi
Raat k sunsanatay lamhay bhi
Din ka dasta hua ujala bhi
Zabt ka chout-ta yeh bandhan bhi
Sabar ka toot-ta yah daman bhi
Uss ki yadain bhi kuch isharoan main
Mujh ko majboor kar rahay hain sub
Aao sub us k paas chaltay hain
Uss se kehtay hain kuch dawa ker do
Apni fitrat ko chor ker ik pal
Koi wada to tum wafa kar do
Inn ki batoan se kuch nahi hoga
Akhri faisla to dil ka ha
Dil yah kehta hai uss k milnay se
Apni tanhaaiyaan he achi hain
Ab akelay main lug gaya ha dil
Uss se milnay hamain nahi jana
Uss ki batain uddas ker dain gee!
 




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...