Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, December 19, 2011

Ab ore kis sobha saiy main aas lagaon

Ab ore kis sobha saiy main aas lagaon
Jab shaam tak bhe osko main yaad na aaon

Wo khho gayia haiy shayed apni rafaaqaton main
Ab baarishon k moasum main yaad kya dilaon

Tadpa nahi haiy ab tak wo kisi ke judaiyon main
Main apnay aansowon ko faryaad kyun banaon

Zahir bhe haiy chhopa bhe ore keh raha haiy mujh ko
Apni ebaadaton ko main aag khod lagaon

Charcha abhi nahi haiy ruswaaiyon ka meri
Darta hon kal jahan main ruswa ho na jaon

Kehta raha hon usko meray saath saath chalna
Wo aagay nikal gaya haiy main kehin bichhad na jaon

Wo kar raha haiy sauda sudyon ka iss jahan main
Main jeewen k chaar din main apni jugah na paon

Shaukat nahi haiy mushkil gar daikh lay wo modd kar
Sung mairay chal sakay tau koe raasta banaon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...