Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 22, 2011

Mein so nahi pata raat khud so jati hai,

Mujhe sulane ke khatir jab raat aati hai,
Mein so nahi pata raat khud so jati hai,
Puchne per dil se yeh aawaz aati hai,
Aaj yaad karlo raat toh roz aati hai.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Kaha se lauu woh shabd jo tere tarif ke qabel ho
kaha se lauu woh chand jisme teroo khubsoorati samil ho
aye mere bewafa sanam ek baar bata de
kaha se lauu woh kismat jisme to bas mujhe hasil ho…

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Taaron mein akela chaad jagmagata hai…..
mushquilo mein akela insaan dagmagata hai….
kaate se ghabrana mat mere dost…..
kyoki kaaton mein hi akela gulab muskurata hai…..

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Aankhon mein manzilein thi………
gire aur sambhalte rahe……….
aandhiyon mein kya dum tha……….
chiraag hawa mein bhi jalte rahe………

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...