Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 22, 2011

“AUR APNI SIMT CHAL DENA”

Kabhi jo waqt par jaye,
Tumhen mujhsay bicharna ho,
Tumhen wady say phirna ho,
To beshak dair mat karna,
Mujhy naraz kar dena,
Tum apna rukh badal lena,
Tum apni simt chal dena,
Mager jub lot k aana,
Tumhen mitti k teelay par,
Main shayad na dikhai doan,
Mager heran mat hona,
Wahin do char qadmo par,
Mazaar-E-bekaran hoga,
Wahan ik phool rakh dena,
Aur ik shama jala dena,
Aur apna rukh badal lena,
“AUR APNI SIMT CHAL DENA”



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...