Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 20, 2011

Tum meri wafaaon Ka sila Kyon Nahi Dete"

Tum meri wafaaon Ka sila Kyon Nahi Dete"
Ya phir meri saanso ko ghata kyon nahin Dete"? 

Hai Khaak hui jal kar, hasrat e mohabbat,
Chingaariyon ko Bujhhti, hawa kyu nahi dete? 

Jeene ka maqsad ab to, kuch bhi nahin baki,
marne ka bahana bhi bata kyun nahin dete? 

Badhne laga hai dard andheroN sa zameen par
Tum ummeed-e-shama koi, jala kyon nahi dete? 

Mujhe had se guzarne ka koi shauq nahi hai
meri had kya hai mujhko bata kyon nahi dete. 

Rookhsat hui ja rahi hain khushiyan sabhi
Tum bachi hui aas ko bhi baha kyon nahin dete? 

yadon ka dariya simat kar ek boond reh gaya hai,
is boond ko aankhon se baha kyon nahi dete. 

ruk ruk ke subakne se to achha yahi hoga
ek baar hee jee bhur ke rula kyon nahi dete 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...