Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 27, 2011

! Ek hijr musalsal hai,

! Ek hijr musalsal hai,
Aansu hain mere saathi,,

Kuch khawaab puranay hain,
Kuch paas nhi baaqi !!

!! Teray paas chala aon
teri neend chura lon,

Mere dil se na janay Q,
Ye khwahish nhi jati !!

!! Din raat tumhen daikhon,
Or pyar kiye jaon,

Meri aankhoon se,
Mere hontoon se,
Teri piyas nhi jaati !!

!! Ek doojay se dono ko,
Ye kaisi adawat hai,

Teri yaad jo aa jaye,
Phr neend nhi aati …...........

Maosam badal Gaye magar Manzar wohi Rahey.

Hoti rahin Sargoshian TanhaioUn k Saath.

Lehrain badal Gayin magr sahil Wohi rahey.

KUch aisay Taqdeer ne Faisley kiye,

Duaien badal Gaien magr Daman wohi Rahey.

HUm chah k b Umar bhar Nashad hi rahey,

Umar beet gayi Magr jazbay Wohi rahey.

Kia hUwa jo Rishton ki Pehchan badal Gäyi "DOST",

HUm b wohi Rahey aUr tUm b Wohi rahey




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...