Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Waqt Aaraha Hai Ab Judai Ka,


Waqt Aaraha Hai Ab Judai Ka,
Nata Hoga Khatam Ab Shanasai Ka,

Beetay Din Gaye Mausam Say Beet Gaye,
Safar Hoga Shuroo Ab Tanhai Ka,

Bhool Ker Bhi Tujh Ko Bhulana Na Chaheingay,
Janay Wo Wafa Ka Hoga Sisila Ya Bewafai Ka,

Tumhara Hamara Nata Jo Bun Na Saka To Kiya,
Jo Bundhan Bun Gaya So Wo Bhi Hai Sachai Ka,

Tumhari Muskurahaton Ko Palkon Per Sajaliya Hum Nay,
Sabab Wohi Bun Gaya Apni Ruswai Ka,

Jis Ka Naam Ashkon Say Likha Dil Pay
Ussay To Rishta Tha Bus Judai Ka....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...