Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 9, 2011

Tujhe ek b na safai di

Tujhe ek b na safai di
meri jan ye mera kamal tha
Tujhe doston pr yaqeen tha
mujhe dushmano ka khyal tha

Banti shehr me jo riyai'tain
to panah dhond'li dasht me
Wo ksi ka reham-o-kram sahi
ye meri anaa ka sawal tha

Tere mosmon ka hy ek pal
meri yaad me tha saja hua
Mujhe is se koi gharz na thi
wo firaaq tha k wisal tha

Wo jo lamha bhr ki bahar thi
meri umr bhar ka hisar thi
Na nye gilon ki talab koi
na khizan ka koi malal tha

Bhala waqt se main dronga kya
kabi khof iska kron ga kya
Jisy hans k main ne chuna tha khud
wohi uska ghaiz-o-jalal tha

Mujhe ilm tha
main sarab tha
so naseeb mera khrab tha
Wo jo raiza raiza hua tha main
wohi mera khwab-o-khyal tha



 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...