Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Tujhe bhoolne ki koshish mein



Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi...
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi...
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi...
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi...
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...