Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Poochte ho to suno kaun hoon main

Poochte ho to suno kaun hoon main
Chand simte hue ashaar hoon main

Sirf tareef se yahan kuch nahi hota
Aapki duaon ka talabgaar hoon main

Bayaan-e-dil pesh karta hoon jabh
Log kehte hai dil-e-beemar hoon main

Bolun agar khara to hoon shamsheer
Aur agar likh daalon to talvaar hoon main

Tareef karne par agar utar aaon kabhi
To gulfaam hoon mai, gulzaar hoon main

Jazbaat ko savaarna jaanta hoon bahut khoob
Shayeri ka sar-Taj hoon, shahkaar hoon main

Lafzon se yun khelna sabko nahi aata
Mujhe aata hai, samajhdaar hoon main

Hain aur bhi sukhanwar is hunar ke dost
Mat bolo ke Tanha gunhagaar hoon main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...