Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?

Door rehne ki konsi aisi Majburi hogi,
Bina us k Zindagi yakeenan Adhuri hogi

Pyar to wo bhi Hum se Be-Hadd karti hai,
Aayegi tabhi jab apno ki Manzoori hogi

Agar wo nahi aa paye kisi Darr k maare,
Uski Zimmedar bhi ye Dunya Buri hogi

Phirte hain log chehre pe Ronak le ker,
Kab Door Meri Zindagi ki Be-Noori hogi ?

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...